NAUHA:
Zikre Shah karke mohibboN ko rulaaya maiN ne
Apna ghar mujrai Jannat meiN banaaya maiN ne
Shah kahte thEy, mere bhaai ke baazu kaatey
Iss pa bhi haath na Ummat pa uthaaya maiN ne
Maan yeh kahti thiiN, na deiti maiN raza maidaaN ki
Haaey Akbar tumheiN haathoN se gaNwaaya maiN ne
Koi hasrat na mere dil ki, nikalne paai
Tuko doolha bhi na aey laal, banaaya main ne
Bano kahti thiiN, maiN jeeti rahi hai hai qismat
Teer badley Ali Asghar ke, na khaaya maiN ne
Jalti reiti pa kiya aaj unhoN ne aaraam
Chaa mahiney jinheiN chaati pa sulaaya meiN ne
Shimr kahta tha, dikhaaya kiye woh khushk zabaaN
Aur paani ba dam'e zebha, pilaaya maiN ne
Zikre Shah karke .. .. ..
Mola in ko Ajr-e-Azeem atta farmaye
sohailrazarizvi 1 year ago