Hai Abbas ko ladne ki ijaazat na mili recited by Mohsin and Raza @ Mira Road Mumbai. Matam
----------
Nauha And Its Lyrics
Haye abbas ko ladhne ki ijazat naa mili.
Jung ki arzoo sine me tadhapti hi rahi.
1.Bhagne ka na layi no pe bhi rasta bachta.
Ek bhi dushmane shabbir na zinda bachta.
Gazi bawafa sabr e karbala sabka hausla ibne Murtaza.
Hukme shabbir se majbur rahi tegh e jari.
2.Samne sani e zahra ke main sharminda hu.
Mar gaye aun o mohd main abhi zinda hu.
Gazi bawafa sabr e karbala sabka hausla ibne Murtaza.
Sar jhukaye hue abbas ne yeh baat kahi.
3.Mashq jab chhid gayi har shaks yehi kehta tha.
Mashq ke saath se ghazi ka lahu behta tha.
Sakina ka jo bada maan tha sakina se woh sharam saar tha.
Kaise bin hath ke maqtal me gira sher e ali.
4.Aakhri waqt hai kehte hai yeh shahe abrar.
Bhai abbas hume bhai to kehdo ek bar.
Gazi bawafa sabr e karbala sabka hausla ibne Murtaza.
Ungliya phir gayi aaya jo zuba per bhai.
5.Haye woh waqt sakina ke chhine jab gauhar.
Haye woh waqt ke lagte the tamache muh per.
Sakina ka jo bada maan tha sakina se woh sharam saar tha.
Yaad aati thi sakina ko bht ghazi ki.
6.Aye qamar shame ghariba me the abbas nahi.
Kaha us waqt sakina ne mujhe pyas nahi.
Sakina ka jo bada maan tha sakina se woh sharam saar tha.
Chahiye pani ke daman me hai ab aag lagi.
Salam Bhai Bohat Bohat Shukriya....Ilte Ma Se Dua....
mohsin18181 2 months ago
@mohsin18181 ure welcome bro :)
asadali92 2 months ago