Maine Har Kanta Teri Raah Ka Palkoon Se Chuna
Artist: Sadia Malik
Lyrics: Khwaja Parvez
..............................................................................................
Maine ne har kaanta teri raah ka palkoon se chuna
Log kehtay hain, main dushman hun tera tu ne suna
Maine ne har kaanta teri raah ka palkoon se chuna
Log kehtay hain, main dushman hun tera tu ne suna
Maine ne har kaanta teri raah ka palkoon se chuna...
Jaane kya soch ke har zulm ravaa rakha hai
Kaya main pathar hun jo khadmoon main sada rakha hai
Main ne rakha hai faqat apni mohabbat ka bharam
Varna harjayi tere pyaar mein kya rakha hai
Maine ne har kaanta teri raah ka palkoon se chuna...
Bewafaai ka gila lab pe nahin launga
Tu muqaddar main nahin dil ko yeh samjhaunga
Haal-e-dil sun ne ki shayed tujhe fursat na miley
Teri dunia se bahut door chalaa jaunga
Maine ne har kaanta teri raah ka palkoon se chuna
Yeh muqaddar ka likha hai koi takraar nahin
Meri khismat main kahin saaya-e-deewar nahin
Ab main tujh se bhi inayat ka talabgaar nahin
Yeh gunah sab se bara keh gunahgaar nahin
Maine ne har kaanta teri raah ka palkoon se chuna
Log kehtay hain, main dushman hun tera tu ne suna
Maine ne har kaanta teri raah ka palkoon se chuna
Wah madam ji k pass pass Gaya hai.bahaut khoob.
aamayna 2 months ago
Please listen to the original by Madam Noor Jehan.
MaheenNajeeb 1 year ago
@TheLailaNYC
She is relatively new singer. She is from Karachi
sayeid 1 year ago