Jab jab dard ka baadal chaya...
Jab ghum ka saya lehraya...
Jab aansoo palkon tak aaya...
Jab yeh tanha dil ghabraya...
Humne dil ko yeh samjhaya...
Dil aakhir tu kyun rota hai...
Duniya mein yunhi hota hai.....
Yeh jo gehre sannate hain...
Waqt ne sabko hi baante hain...
Thoda ghum hai sabka kissa...
Thodi dhoop hai sabka hissa...
Aankh teri bekaar hi nam hai...
Har pal ek naya mausam hai...
Kyun tu aise pal khota hai...
Dil aakhir tu kyun rota hai.....
An Immortal Scene from An Eternal Movie.....
Voice: Farhan Akhtar
Lyrics: Javed Akhtar
Music: Shankar-Ehsaan-Loy
Director: Zoya Akhtar
Film: Zindagi Na Milegi Dobara
Thank You.
tyler54durden 5 months ago