Writeup Below!!
A nauha from Ali Safdar's 2006 album.
_________
Ay Lashkar-e-Sahib Zamaan Aamad-e-Baash Aamad-e-Baash
Aao azadaron suno gar ho aza ke pasbaan
Tum matami ho is liey tum ho shahidon ki zabaan
Yeh chahtey ho tum agar ho karbala ke hukumraan
Banjao tum is daur mein ik lashkar-e-Sahib Zamaan
Tum ko sada dey yeh zameen tum ko pukaare asmaan
Tum sog mein Sarwar ke ho haq hai tumhara Sarwari
Tum mein ho Azm-e-Haideri tum mein ho Shaan-e-Askari
Dekhe tumhein to khud kahe tareekh ki deedawari
Yeh hain Imam-e-Asr ke lashkar ke saarey lashkari
Nusrat kareinge aaj phir sarey Zaeef-o-Nawjawaan
Pesh-e-Nazar ho Karbala maqtal ka manzar saath ho
Ibn-e-Mazahir ki tarhan boorhon ka lashkar saath ho
Lashkar mein bachey hon magar Kirdar-e-Asghar saath ho
Jaab nawjawan aagey barhein Awaaz-e-Akbar saath ho
sar par alam Abbas ka honton pe Akbar ki azaan
Aisa na ho lashkar sar-e-sehra na reh jaye kahin
Halqey mein phir aghyar ke Maula na reh jayein kahin
Hum benawa beqafila Aqa na reh jayein kahin
Maula humaarey doston tanha na reh jayein kahin
Jab Parda-e-Ghaibat uthey phir saath ho yeh Karawaan
Dekheyn sabhi aaney ka yeh manzar Imam-e-Asr ke
Sab raastey un ke liye sab dar Imam-e-Asr ke
Yeh ghar humaarey ghar hain jo hon Ghar Imam-e-Asr ke
Mashriq se Maghrib tak hon sab Lashkar Imam-e-Asr ke
Har ek Ufaq har Roshni likhey Unhi ki daastaan
Dekho ke phir chaaron taraf ek Karbala tayyar hai
Dekho ke ahl-e-jabr ke haathon mein phir talwar hai
Phir zulm ke saathi hain sab shar ki wohi raftar hai
Lekin jo hur hai aaj bhi woh aaj bhi bedaar hai
Jo qaum hur ban kar uthey woh qaum hogi hukumraan
Ahl-e-Shahadat ki qasam Shaam-e-Ghariban kab dhali
Ek mukhtasir si fauj phir maqtal ki janib se chali
Hai karbala ke naam se ab bhi dilon mein khalbali
Awaaz deta hai tumhein Khoon-e-Hussain Ibn-e-Ali
Ay matami halqon chalo hona hai khanjar par rawaan
Ban kar hilal is daur mein ek Shola-e-Paiham chalo
Jo Karbala ki hai ata lekar woh Soz-e-Gham chalo
Yaad-e-Shahidaan mein liey yeh Deeda-e-Purnam chalo
Manzil abhi kuch duur hai Kartey huey Matam chalo
Hum hi nahin Nauha kuna Insaaniyat hai Nauha khwaan
al ajal ya imam
naqvisyed72 1 month ago
"Namazay Haq Ko Batchaya" Nauha 2012 by Ali Safdar
naqvisyed72 1 month ago