NAUHA
mohammed ka gharaana, Karbala waal'e bayabaaN meiN
Qayaamat ki khizaaN aai hai, Zahra ke gulistaaN meiN
KahaN ho tum Ali Akbar, zara aawaaz to deina
Akeila rah gaya hai, Fatima ka laal maidaaN meiN
Zameen'e Karbala isko, zara aaraam se rakhna
Sulaya Ali Asghar ko hai, Shah ne tere damaaN meiN
Loota jo Karbala meiN, MusalmaanoN ne kya loota?
Ali ki beitiyoN ki cHaadareiN, aai haiN saamaaN meiN
GaribaaN chaak, sar meiN khaak, Zainab ke bandhey baazoo
Bhala, pahcHaanti kya Hind, iss haal'e pareishaaN meiN
Beautiful Recitation (Mashallah)
uzmashoaib786 3 months ago
masha Allah
taurus20one 1 year ago
masha Allah, beautiful recitation,
rohiabbas1 1 year ago
Jazakallah. Amazing recitation.
almandhai 1 year ago
bahut khoob
hassanrashid110 1 year ago