aye khaasa-e-khaasaan-e-rusul waqt-e-dua hai
ummat pe tiree aakay ajab waqt parha hai
jo deen barhi shaan say nikla tha, watan say
pardais mein woh aaj ghareeb-ul-ghuraba hai
woh deen, huee bazm-e-jahaan', jiss say charaaghaan'
aaj iski majaaliss mein na batti na diyaa hai
jo deen keh tha shirk say aalam ka nigehbaan
ab iska nigehbaan', agar hai, to KHUDA hai
jiss deen nay ghairo kay thay dil aakay milaaye
iss deen mein khud bhai say ab bhai judaa hai
aalim hai so bay-aqal hai, jaahil hai so wehshi
mun'im hai so maghroor hai, mufliss so gadaa hai
choto mein itaa'at hai na shafqat hai barho mein
pyaaro mein mohabbat hai na yaaro mein wafaa hai
faryaad hai aye kashti-e-ummat kay nigehbaan'
berha yeh tabaahi kay qareeb aa lagaa hai...
Download videos
http://www.videos.Faizaneraza.org
Largest Islamic Portal
http://www.Faizaneraza.org
mashallah beautiful
dantehood1985 5 days ago
MashaALLAH... very great. May ALLAH bless Dawat-e-Islami and the Ummah aameen.
koenajane 1 year ago
JO Deen bari Shaan se nikla tha Watan se ..........Pardes main woh aaj Gareeb ul guraba hai
Zulfi3233 2 years ago
Dekhay hai Yeh din apni hi Gaflat ki badoolat ................Sach hai Buray kaam ka Anjam Bura hai
Zulfi3233 2 years ago
MashaAllah
Zubno 2 years ago
SUBHANALLLAH MASHALLAh tone bht zabr10 hy !!!!
KainatBwp 2 years ago