Assalamualaikum.
Hamare nabi (S.a.s) jab se Chote the tabhi se unke upar takleefon ka pahad pad gaya.
6 saal ke the jab unke waalida ka inteqaal huva.
Aur aap (S.a.s) farmate hain ki agar meri maa zinda hoti aur mein isha ki namaaz ke liye khada hota aur hujre se meri maa mujhe awaaz deti "Beta Muhammed" toh mein rakaat tod deta aur baad me namaaz padta.
Itna bada maqaam hai maa ka.
Mere bhaiyon aur behenon aaj dekho iss azeem-o-shaan nabi (S.a.s) ka ummati apni maa ko be-inteha rulata hai.
Pata nahi hamare nabi(S.a.s) ko hamare aqlaaq dekh kar kya lagta hai.
Allah hame maa baap ki farmabardari karne ki taufeeq de.
Link to this comment:
All Comments (0)