Masih Dajjal Mirza va Ahmadiyya hi hai? Eesayi Nahin!-7/14

Loading...

Sign in or sign up now!
Alert icon
Upgrade to the latest Flash Player for improved playback performance. Upgrade now or more info.
874 views
Loading...
Alert icon
Sign in or sign up now!
Alert icon

Uploaded by on Sep 23, 2011

7th) 1,2, 3 aur 4 alag alag hadees hum milakar bayan kar rahe hein apne lafzo mein. Zara ghowr karo. Isi ki bina par hum sawaal karenge. (Ye nishanaat hum ek shaqs Maodood ke daave mahdiyat par tehqeeq kiye hein to kuch ajeeb sach zaahir huae aur dil bhi hamara maan raha hai)
(a) Mohmmad (sa) qaab me dekhte hein ki masidajjal bhi ek admi se take lagakar jo surq rang ka hai jiski ek aankh phoolay huae angoor ki tarah hai aur dusri chamak rahee hai (humne do hadees ko miladia hai ankho ki) kaba ka twaf kar raha hai aur eesa alehsalam bhi 2 aadmi se take lagakar jo gandumi (gehoo) rang ke hein jinke baal kaandhay tak, jinke sar se pani tapak raha jab vo sar jhukayein aur pani moti ki tarah uchhal raha jab vo sar uthayen twaf kar rahe hein.(ghaliban waqt subah ya fajr ka bataya gaya hai is qaab ka).
(b) Eesa ibne maryam alehsalam nazil hongay safaid minara par damishq ki mashriqi ilaaqay main subah fajr ke waqt 2 zard chaadarown mein liptay 2 farishto ke kandhay par haath rakhay aur phir namaz hogi aur (dusri hadis ko milakar keh raha hoon) masidajjal ko dhoondenge aur vo usay darwaze ke peechay band payenge aur phir logon se kahenge ki unke aur masidajjal ke beech say hat jaye aur aqir may uska peecha karke qatl kardenge kyunki vo masi dajjal unse bhagega.
(c) Masidajjal makka madina na jaiga kyunki uskay mathay par kufr ka fatwa hoga yani mathay par likha hoga kafir jo har eeman wala chahe usay padna aye ya na aye pad lega.
(d) Masidajjal surq goya uski aankh par koyee cheez jaise hara glass (hadees) {yani aankhon par dhoop ki ainak jo ek taraf chat to dusri taraf chamakdaar reflection ki vajah se}.sawaal ye hai ki in mein se kaunsi hadees ghalat hai ya sab sahee hai ya is mein hikmat chupi hai? Zara ghowr kijiyega in hadeeso ko !! Hadees (d) ko agar hum lein to kaaba ke manay kuchh aur hein yani allah ka ghar iski tabeer hosakti hai. Pehli hadees may kaba (Yani Allah ka ghar yani Masjid jispar safaid minara hota hai), uske atraaf masidajjal ek shaqs ke saath ya uska qadim ya jism ko sambhaalne wala ek aadmi (jaisay bodygaad), dusri taraf masi ke saath 2 aadmi unke jism ko sambhalrahe (yani 2 bodygaad), masidajjal aur masi dono ek hi jagah masjid ke atraaf chakkar laga rahe hein, ek hi waqt. Ab zara sa dusri hadees (b) ko ghowr kijiyega 2 farishte, 2 aadmi, 1 masi ibne maryam 2 zard chadrein,fajr ka waqt, gandum (wheet, gehoo) jab pak jata hai to qudrati do chadar mein hota hai yani "peeli ghaans jaisi bhaans", safaid minar phir dajjal ka peecha karna masi alehsalam ka, masih dajjal ka bhagna, aqir us masidajjal ki tabahi jo mashriqi ilaaka safaid minara say door bhaga huaa hoga. Kya aapko nahin lagta ki ek hi vaqia ko Nabi nay do tareeqay say bayan kia hai. Masi gandumi rang ke hein aur Masi dajjal surq. Masidajjal ki ankhon par ainak aur vo boodha aur ek bodygaad ke saath. Gandum yani wheat yani Masi alehsalam ko isiliye do zard chadar mein lipta bayan kia gaya hai kyunki vo doosri hadees ke mutabiq gundumi hein. Ab aapsay sawaal ye hai ki jaisay mahdi alehsalam ko masi bhi kaha gaya hai kya isi tarah masi dajjal va mahdi alehsalam ko hadeeso mein do tareeqown se bayan kia gaya hai? Hadees may aata hai ki Masi ayenge aur qanzeer ko bhi qatl karenge aur qatl karenge Masidajjal ko? Qatal se murad bilkul qatima ke hein? Aapke Masi Mirza ne eesayat ko masidajjal kaha aur unka aqeeda qatl karne ka daava kia lekin ye qanzeer kaun hein jo qatl na hosaka unsay? Agar ye eesayee hazraat hein to ye qatl nahin huae aur nahi unke dilo ka qanzeerpan. Jab eesayee log masi dajjal hi nahin to qanzeer bhi eesayi ya yahudi nahin. To kaun hai ye qanzeer aur Masidajjal aaqir? Lafz qatl dono ke liye istemaal hua hai jis se pata chalta hai ki dono ek hi masi dajjal hai ya phir usi ko qanzeer kaha gaya hai? Aaqir kaun hai ye qanzeer jo Masi Maud alehsalam qatl karne walay thhe? Mirza sahaab nay do zard chadar ko do beemariyan bayan ki hein jis mein vo mubtela rahe. Ek to paishaab ka baar baar aana, dusra unko sar ki beemari. Iski tasdeeq mein un honay ibne arabi ki sadaqat pesh ki hai "qaab ki tabeer" se murad 2 zard chadar. Ibne arabi na to nabi hein, na rasool, na sahabi, na tabayeen na tabbe tabayeen. Hum ek nabi ki qaab ki tabeer ek aam insaan say kaise qubool karein aur vo bhi do beemari yaani ayeb ki shaqal mein jo ek allah ke numainde ke liye shaye nahin? Kya masi ke zard chadar se murad khud nabi Mohammed (sa) ki oopar di gayee tabeer behter hai jismein Masi Maud ko gandum aur do zard chader ko 2 peeli bhaans kaha hai (yani Masi maud jo gandumi hein kaba ka twaf kar rahe thhe aur Masi jo safaid minara par nazil honay walay thhe ek hi hein) ya 2 beemari waali tabeer?

  • likes, 2 dislikes

All Comments

Adding comments has been disabled for this video.

Alert icon
0 / 00Unsaved Playlist Return to active list
    1. Your queue is empty. Add videos to your queue using this button:
      or sign in to load a different list.
    Loading...Loading...Saving...
    • Clear all videos from this list
    • Learn more