Syed Nasir Hussain Yatim Amrohvi ka shumaar Sarzameen-e-Amroha kay jayyad aur mustanad marsia nigaaron mein hota hai. Ap Farazdaq-e-Hind Hazrat Shameem Amrohvi kay shagird-e-rasheed thay.
Sahib-e-"Marsia Nigaaraan-e-Amroha" Azeem Amrohvi kay mutaabiq Yateem Amrohvi ka taqreeban saara kalaam gheir matbooa hai jo agar shaya ho jaye to usey baland paaya marsia nigaaron kay kalaam k saamney rakha ja sakta hai.
Mazkoora baala kitaab mein Azeem Amrohvi ney Yateem kay aik ghair matbooa marsiye Dar Haal-e-Hazrat-e-Abbas Alamdaar(a.s.) kay kuch band darj farmaye hain jin mein sey raaqim-us-sutoor ney ikhtesaar kay sath kuch bandd parhney ki jurrat ki hai. Is vdo ka maqsad jahan shayeqeen-e-marsia ko Yatim Amrohvi sey mutaarif karwana hai wahin aik khwaahish yeh bhi hai k agar "Yatim Amrohvi" kay Khanwaadey sey koi hazrat yeh video dekhein aur un kay paas Yatim ka ghair matbooa kalaam maujood ho to usey zuroor munassa-e-shahood par laa kar waraasat ka haq ada karein.
Parwardigaar Daada Marhoom par apni rehmaton ka nuzool farmaye k yeh 27 saala qadeem maaya naaz kitaab jo k 1984 mein shaya hui thi, mujhey un kay zaati zakheera-e-kutub sey warsey mein naseeb hui.
Duaon Ka Taalib:
Jauhar Abbas
Taawun Kay Liye Syeda Saba Hussain Ka Az Had Mamnoon Hoon.
Link to this comment:
All Comments (0)