Shab-e-Zarbat of Imam Ali (a.s.)
Jaffari Community Centre, Toronto, Canada
on 18 Ramadhan 1432, Friday August 19th 2011
Write Up:
Haye Masjid mai katal Gha-zi ka baba hogaya
Fatima ki Betiyon pay (x2) Zulm kaisa hogaya
Josh main aakar farishton say laga kehnay Khuda
Sar khula hai Fatima ka, Ro rahay hain Mustafa
Hashr say pehlay yeh kaisa (x2) Hashr barpa hogaya
Aagaye pardes mai Saadaat pay barbaadiyaan
Lut gayin hai koofa main konain ki shahzaadiyaan
Kat gaye sajday mai Haider (x2) Deen zinda hogaya
Dekh kar Baba ko zakhmi, Ro rahee hain baytiyaan
Arsh pay saaray faarishtay, lay rahay, hain siskiyaan
Aasmaan hilnay laga (x2) Nabiyon pay sakta hogaya
Hai abhee Shabbir-o-Shabbar aur Alambardaar hai
Ghar hai teray baba ka kab, Shaam ka bazaar hai
Saniye Zahra tumhaara (x2) Sir kyun nunga hogaya
Rakh lia jhooli main sir aapka Shabbir nay
Dekh kar baba ko zakhmi yeh kaha dilgeer nay
Haye koofa main yeh manzar (x2) Karbala ka hogaya
True bro jaloos5, same nawha has been reicted in few different Tarz.
This is the different version recited by Br.Abbas Haider Lalji of UK.
sabir14 6 months ago