Lahore Party
Sajaad pay hai zulm kee wo intihaa howi.
Ankhon kay samnay hee, binte Nabi kee ladalee, hai bey rida howi.
1) Tunay jo sar kata liya, maqtal may sogayay Kufa oh Shaam ab meri kismat may hogayay Sayay may patharon kay, khyalon meray qatal kee, yeh ibtida howi.
2) Bazaray shaam natiqay Quraan agayay Tha showr khaso aam may, mehmaan agayay Zahra kee betiyon kay, hathon may rasiyan kya, insay khata howi.
3) Zindaan may sehmee huwi, beytee hai Sakina Deykha hai isnay khaab mai, hai baap ka seena Soyee nahee hai pal bee, baba say upni ujari, aisee judaa howi.
4) Zainab ka sar Sajaad nay, deykha khula huwa Ashkon ka rang josh may, akar badal gaya Ghazi kee yeh behnain hain, tasheer Kufiyon kee, jab jaa baja howi.
5) Zanjeer bee vaznee tha, Abid bemaar thay Zakhmon say choor Shaam may, saab pardadaar thay Ik Karbala Hussain kee, aur dusaree bazaar may, yeh Kerbala howi.
6) Sadqa Shabbir ka hay, Islam bach gaya Kalma Quran ambeeya, ka naam bach gaya Khoon-e-Hussein jab gira, Karbal kee tap dee rait pay, khakay shifah howi.
7) Ya Rab meray kalaam ko, karmay Hussein day Ale-Nabi ka vasta, har dil ko chain day Karta raha jo reh kay, Akhtar kee aaj momino, puree dua howi.
Link to this comment:
All Comments (0)