LYRICS PART 1:
Woh Sarware Kishware Risalat Jo Arsh Par Jalwah Gar Hoye Thay
Naay Nirale Tarab Ke Saman Arab Ke Mehman Ke Liye Thay
Bahare Shadiyan Mubarak Chaman Ko Abadiyan Mubarak
Falak Falak Apni Apni Lay Mein Yay Ghur Anadil Ka Boltay Thay
Wahan Falak par yahan Zameen Mein Rachi thi Shadi Machi Thi Dhoomein
Udhar Se Anwar Hanstay Atay Idhar Se Nafhat Uth Rahe Thay
Ye jod padhti thi Unke (S.A.W) Rukh ki ke Arsh tak chandni thi chanki
Woh raat kya jag maga rahi thi jaga jaga nasb Ainay thay
Naee Dulhan Ki Phaban mein Kaaba Nikhar Kay Sanwra Sanwar Kay Nikhra
Hajar Ke Sadqay Kamar Ke Ek Til Mein Rang Lakhon Banao Kay Thay
Nazar Main Dulha kay Pyare jalway haya say mehrab sar jhukaaye
Siyah Parday ke moon pe anchal tajalliye zaat e bahat ke thay
Khushi ke badal umad ke aaye diloun ke taoo sirang laaye
Woh naghmae naat ka sama tha haram ko khud wajd arahay thay
Yeh jhooma mizab e zar ka jhoomar ke araha kaan par dhalak kar
Phuwar barsi to moti jhadkar hateem ki gode main bharay thay
Dulhan ki khushboo se mast kapday naseem e gustakh anchaloun say
Ghilafe mushkeen jo udh raha tha ghazaal naafay basa rahe thay
Pahadiyoun ka woh husn e tazeen woh unchi choti woh naaz tamkeen
Sabaaz sabzay pay lehrein aaein dupattay dhani chunay huay thay
Naha ke nehro may woh chamakta libas aabay rawan ka pehna
Ke mouj e jhadiyan ki dhaar lachka hababe taban ke thal takay thay
Purana purdagh malgaja tha uthadiya farsh chandni ka
Hujoom e taaray nigah se koso qadam qadam farsh baadlay thay
Ghubbar Ban Kar Nisar Jaein Kahan Ab Us Rah Guzar Ko Paein
Hamare Dil Hooryoun Ki Ankhein Farishtoun Ke Par Jahan Biche Thay
Khuda Hi Day Sabar Jan Pur Gham, Dikhaoon Kyun Kar Tujhe Woh Alam
Jab Unko (S.A.W) Jhurmut Mein Lay Ke Qudsi Jinan Ka Dulha Bana Rahe Thay
Utar Kar Unke (S.A.W) Ruq Ka Sadqa yay Noor Ka Bat Raha Tha Bada
Ke Chand Sooraj Machal Machal Kar Jabeen Ki Khairat Mangtay Thay
Wohi To Ab Tak Jhalak Raha Hai Wohi to Joban Tapak Raha Hai
Nahane Main Jo gira tha Pani Katoray Taron nay bhar Liye thay
Bacha Jo talwoun ka Unke (S.A.W) Dhowan Bana Woh Jannat ka rang o roughan
Jinhoun ne Dulha ki pai Utran woh phool Gulzar Noor Ke Thay
Qabr yeh teh weel e mehr ki thi ke rut suhani ghadi phiray gi
Wahan ki poshak zaib e tan ki yahan ka joda badha chukay thay
Tajalli e Haq Ka Sehra Sar Par Salat o tasleem ki nichawar
Do roya qudsi paray jama kar khaday salami kay wastay thay
Jo Hum bhi wahan hote qak e gulshan lipat ke qadmoun say laitay utran
Magar karain kya naseeb main to yai namuradi ke din likhay thay
Abhi na aaye thay pusht zeen tak ke sar hui maghfirat ki shallat
Sada shafaat ne di Mubarak gunah mastana jhoom tay thay
Ajab na tha raqsh ka chamakna ghazaal dam khurdah sa bhadakna
Shuaayn bukkay uda rahee theen tadaptay ankhon pe saayqay thay
Hujoom ummed hai ghata o muradain day kar inhain hatao
Adab ki bagain liye badhao malaika main yai ghalghalay thay
Uthi jo gard rahay munawwar woh noor barsa ke rastay bhar
Ghiray thay badal bharay thay jal thal umad kay jungal ubal chalay thay
for Lyrics Part 2 click below:
http://www.youtube.com/watch?v=7P9-xV8ZSGw
Click below for Lyrics with English Traslation:
Part 1- http://www.youtube.com/watch?v=RnBp_K118No
Part 2- http://www.youtube.com/watch?v=O0n-Q57aogo
Beautiful Qasida Mairaj written by AlaHazrat Imam Ahmed Raza Khan Barelvi (RaziAllahu Ta'ala Anhu) recited in QTV Mehfil of Shab-e-Meiraj 2008
SubhanAllah!!
Can you please get me the lyrics to this Qaseeda..
JazakAllah
qadriboy 3 years ago 9
Salam...the lyrics are posted in the video descripion box on the right
AllahRulz99 3 years ago 5