Nauha - 01 - Jayati Bawari - Hilti Hai Zameen, Rota Hai Falak

Loading...

Sign in or sign up now!
Alert icon
Upgrade to the latest Flash Player for improved playback performance. Upgrade now or more info.
2,776
Loading...
Alert icon
Sign in or sign up now!
Alert icon

Uploaded by on Dec 16, 2010

Imam e Hussain (a.s.) ki zaat e gerami firqa o mazhab ke imtiyaaz se bari hai.
Waqaey Karbala ke baad se yeh Shaheed e Insaniyat tamaam aalam se khiraaj e aqeedat hasil kar raha hai.
Ahle Hunood ki Imam Hussain (a.s.) se aqeedat koi naii baat nahiN hai. SadyoN se woh Hussain ka gham manaate aa rahe haiN. Unke jazbaat ki kya khoob
tarjumaani Janab Dibakar Rahi* Sahab ne ki hai:

Tum mitey, lekin tumheiN mitne na deiNge aey Hussain
Woh tumhaara kaam tha, aur yeh hamaara kaam hai.

Pichle baras Soazkhwani ki eik video "Hindu Khatoon" ke unwaan se Lucknow ki mohtarma SUNITA JHINGRAN ko logoN ne kaafi pasand kiya.
Aaj maiN Kolkata ki Mohtarma JAYATI BAWARI Saheba ki 3 audios upload kar raha hooN. Aap NGOs ke liye kaam karti haiN,ya yuuN kahiye ke khalq e Khuda ki khidmat karti haiN.
Jis khoobsurti se unhoN ne paRha hai, uss se Karbala waaloN se unki aqeedat ka andaza lagaya ja sakta hai.

Souz:
Hilti hai zameeN, roata hai falak, andhiyaari chaane waali hai
Kya qatl huEy, utTho Akbar, MaaN qayd se jaaney waali hai

Khaimey se sada dee Baano ne, Asghar ko chupa leejey Maula
Paani ke eiwaz fauj e aada, ab teer chalaaney waali hai

GhoaRe se girey jab Shaah e Huda, ye khaimey ke darr se aai sada
Ghar loot ke naana ki ummat, ab aag lagaaney waali hai

Woh teira humakna jhooley meiN, woh baal jhandooley, laal tere
Maadar ke liye har baat teri, Asghar taRpaaney waali hai

BachchoN ke liye Abbas e Jari, ab paani laaney aaey haiN
Be'taabi se mashkeezey meiN, har mauj samaaney waali hai

Category:

Education

Tags:

License:

Standard YouTube License

  • likes, 0 dislikes

Link to this comment:

Share to:

Uploader Comments (mahakavi)

  • mashaallah .atiyabahtareen nouha hai lucknow ki yaad taza ho gai

  • @abhusssain

    Shukriyah Anwar Sahab.

  • so nice, like it a lot...

  • @kishoriray

    Janab Kishori Saheba,

    Adaab Arz,

    Mere liye ba'esey izz o sharaf hai ke ap jaisi zi'ilm o zi'fahem wa ba'shaor o ba'kamaal shakhsiyat meri upload mulaheza farmaaeiN.

    Mohtarma Jayati ki soazkhwani ki madah meiN aapka ta'reefi kalema harf'e aakhir hai aur sanad ki haisiyat rakhta hai.

    Aapke tabsere ka bahot bahot shukriyah,

    Aapka eik madDaah,

    Mirza Jamal

see all

All Comments (8)

Sign In or Sign Up now to post a comment!
  • she recite as good as begum akhtar. Aap ne bhi khub kaam kya, pictures ki mixing bahooy khub. Jazakalla

  • Mashaallah, what a wonderful nauha.

    Thanks for uploading mahakavi.

  • Thanks for the comment! 

Loading...

Alert icon
0 / 00Unsaved Playlist Return to active list
    1. Your queue is empty. Add videos to your queue using this button:
      or sign in to load a different list.
    Loading...Loading...Saving...
    • Clear all videos from this list
    • Learn more