Na ho ab udaas tu
Na kar aankhein nam
In sooni sooni raaton mein
Aayenge tujhse milne ham
In sooni sooni raaton mein
In pyaari pyaar baaton mein
Main laut aaunga X 2
Un bheeni bheeni shaamon mein
Kiye the humne waade jo
Un saare kasmon waadon ko
Main mar ke bhi nibhaunga
Pehnaani thi jo choodiyan
Mujhko teri kalai mein
Pehna jaunga X 4
Adhoori saari baaton ko
Un sadiyon ke waadon ko
Poora kar jaunga
Main laut aaunga
Tu jab meri yaad mein
Tu meri ummeed mein
Tu karwatein badal ke jab
Saari raat kaategi
Toh aisi kisi raat mein
Main chupke se aaunga
Aur tujhe choom jaunga X 4
Aur hongi barsaatein toh
Main un barsaaton mein
Baras jaunga X 4
Baahon mein bhar ke main tujhe
Teri aankhon mein kahin
Sapne de jaunga X 4
Main laut aaunga...
i love this lyrics.. kay likha hai... main baras jaunga....
ishashamshad 2 months ago