Alert icon
We're changing our privacy policy. This stuff matters.  Learn more  Dismiss

Masih Dajjal Mirza va Ahmadiyya hi hai? Eesayi Nahin!-5/14

Loading...

Sign in or sign up now!
Alert icon
Upgrade to the latest Flash Player for improved playback performance. Upgrade now or more info.
865 views
Loading...
Alert icon
Sign in or sign up now!
Alert icon

Uploaded by on Sep 22, 2011

Ab aapse mera sawaal ye hai ki apke masi Mirza sahab nay ye saari hadeeso se eesayat ya Muslim ulema ko ya doosray kafirown ko masi dajjal saabit kyun nahin kia jabki un honay masidajjal unhi ko qarar diya hai? Ya phir unki ye majboorie thee ki ye sab nishaan aur iske alava bahut se hein jo na to Muslim ulema par saabit hotay hein aur nahi to eesayee mubbaliqown par aur na kisi aur kafir par? Kya isi vajah se unhonay sirf ek hi sura kahaf va usko padhne ki takeed say eesayat ko masi dajjal saabit karne ki ek na kaam aur bevajah kosheesh ki taa kay unke daavay masihat ko ek sahara miljaye? Kyun unhonay sirf 1 hi hadees ko lekar aur sura kahaf ko lekar eesayat par masi dajjal honay ka najayaz aur jhoota ilzaam lagadia jabki eesayee hazraat ke nabi eesa alesalam nay na to khud rabb hone ka daava kiya is duniya kay (yani badshah), na allaah honay ka dava kia na vo jhootay masi va nabi thhe nauzobillaah aur nahi unki ummat nay aisay apne liye kabhie bhi khud daavay kiye sirf iske ke vo mushrik hogaye ek nabi ko khuda maankar? Jis zamaanay mein masiha va mahdi alehsalam hongay usi zamanay mein saal ka kaam maheenay mein aur dinow ka kaam seconds me hoga. To bataiye aisa waqt aaj hai jo masi ke kaheen na kaheen vajood ki gahavi deta hai ya ye aisa waqt mirza sahaab ke waqt 1908 tak thha kabhie bhi? Kyunki hadees mein aata hai ki masidajjal meri yani Mohammed (sa) ki ummat mein niklega aur 40 din rahega jismein 1 din 1 saal ke barabar aur dusra din 1 mahinay ke barabar, teesra 1 hafte aur chowtha ek din aur baqi aam din. Dusri aur ek hadees mein aaya hai ki saal ka kaam mahinay aur mahinay ka kam haftow mein aur haftow ka kaam din mein aur din ka kam aag ke sholay ki chingari jaisa. Yani aaj ka jaisa dowr. Lehaza masidajjal ke qurooj ka aaj jo dowr hai na kay 1908 tak. Kyunki Masi Maud iska qatima aisay hi dowr mein karega inshallah. Ab aapkay Masi Maud Mirza alehsalam nay to na vaisa waqt paya na Masidajjal ka safaid gadha jo hawayee jahaz hai dekha na hi unka ye dava ki masidajjal eesayee va ulema hai sach nikla. To phir aaplog kis bina par unko Masi Maud va Mahdi Maud alehsalam mana hai? Hadees mein ye nahin likha hai kahin ki masidajjal ya uska gadha Masi Maud ke qalifa ya unki jamat usay qatal karegi balki ye mamla khud Masi Maud ke haath hona tha unhi ki zindagi mein. Kyun aap is haq ka inkar karte ho? Jab Masidajjal hi nahin to kia jamat ahmadia ya unke Masi Maud alehsalam ki koyee bhi taraqqi ya taadaad ya taqat koyee ahmiyat rakhti hai? Kyun log sirf Ahmadia jamat ki tadaad ya naikia ya qurbania ya aqlaaq ya unka Islami ravayya ya unki tableeq ya eesa alehsalam ki sirf maut ki daleelein ya Masi va Mahdi Maud ka ek hi shaqs honay ki daleelein dekhkar Ahmadi hojate hein? Kya aapko is mein ahmadiyown ki bahut badi ghalti aur munafiqat aur ilm ki kami ya Masidajjal ki haqeeqat say doori aur laa -ilmi nazar nahin aati? Kya Allah hamein ye na poochega ki aye bande aapnay bina Masidajjal ki tasdeeq aur saboot ke kyun kisi ko Masi Va Mahdi maanlia aur kyun haq par daaka daala Mahdi Va Masi ke rutbay par aur kyun itna bada jhoot Islam mein phailaya? Kia tujhay sabar na tha ya tu ye chaahta tha ki teri hi zindagi mein Masi va Mahdi Maud aajayein aur kisi ko bhi apni jhooti daleel say Masidajjal banalein? Kia isi ka naam eemaan hai? (6th)Kyun aapki jamat ahmadiya sirf dajjal dajjal dajjal hi kehti hai aur asal lafz masidajjal ko chupadeti Hai ya usko sirf kanadajjal kehdeti hai aur is andaz say bayan karti hai Masidajjal ko ki log usay sirf dajjal ya kana dajjal hi samjhein aur kyun usay assal masidajjal kehne se ya likhne se parhaiz karti hai? Kaheen isiliye to nahin ki lafz masi dajjal se khud mirza sahaab ke daava --e-masihat ko log jaanchne ki kosheesh karenge? Kyun nahin aapki jamat ye duaa sab ko sikhati hai aur kyun nahin takeed karti hai har namaz mein padhne ke liye "Allahumma inni auzobika min sharr-e-fitnatil masih dajjal (yani:- aye allah mein fitne masidajjal ke sharr se teri panah maangta hoon"). Is dua mein lafz sirf dajjal ya kana dajjal ke nahin balki Masidajjal ke lafz hein aur jabki ye dua sahih muslim shareef ke mutabiq sunnat-e-maukeda maani gayee hai. Beshak eesayee va yahudi jo mushrik hein vo kafir hein lekin masidajjal to nahin. To kya apko nahin lagta ki
un ko masidajjal zabardasti sabit karna ya Muslim ulema jisne ahmadiyyat ka inkar kia hai unko masidajjal zabardasti sabit kardena ek zulm va zyadati va fareb aur dhoka hai? continuation next...vdo..dekho...sawalaat....

Category:

News & Politics

Tags:

License:

Standard YouTube License

  • likes, 4 dislikes

All Comments

Adding comments has been disabled for this video.

Alert icon
0 / 00Unsaved Playlist Return to active list
    1. Your queue is empty. Add videos to your queue using this button:
      or sign in to load a different list.
    Loading...Loading...Saving...
    • Clear all videos from this list
    • Learn more