AN ODE TO MATHER NATURE :
SINGER : MUKESH
LYRICS : BHARAT VYAS
MUSIC : SATISH BHATIA
MOVIE : BOOD JO BAN GAYEE MOTI
LYRICS :
hari hari vasundhara , neela neela ye gagan , neela neela ye gagan
hari hari vasundhara pe neela neela ye gagan
ye jispe baadalon ki palki uda raha pawan
dishaayein dekho rang bhari ,
dishaayein dekho rang bhari , chamak raheen umang bhari
ye kisne phool phool pe ,
ye kisne phool phool pe kiya singaar hai
ye kaun chitrakaar hai , ye kaun chitrakaar
ye kaun chitrakaar hai
ye kaun chitrakaar hai , ye kaun chitrakaar
tapasviyon si hain atal ye parwaton ki chotiyaan
ye sarp si ghumerdaar gherdaar ghaatiyaan
dhwaja se ye khade huey,
dhwaja se ye khade huey hain vriksh devdaar ke
galeeche ye gulab ke bagheeche ye bahaar ke
ye kis kavi ki kalpana
ye kis kavi ki kalpana ka chamatkaar hai
ye kaun chitrakaar hai , ye kaun chitrakaar
ye kaun chitrakaar hai
ye kaun chitrakaar hai , ye kaun chitrakaar
kudrat ki iss pavitrata ko tum nihaar lo
isske gunon ko apne man mein tum utaar lo
chamka lo aaj laalima ,
chamka lo aaj laalima apne lalaat ki
kan kan se jhaankati tumhe chhabi viraat ki
apni to aankh ek hai
apni to aankh ek hai uski hazaar hai
ye kaun chitrakaar hai ye kaun chitrakaar
ye kaun chitrakaar hai
ye kaun chitrakaar hai ye kaun chitrakaar
ye kaun chitrakaar hai ye kaun chitrakaar
mukeshji had an awesome voice which really touched our hearts
drashishseth13 2 months ago
@drashishseth13 yes , the singers of that byegone era are incomparable ! thank you .
crazyoldsongs 2 months ago
Truly awe inspiring !!
alaknanda3 3 months ago
@alaknanda3 thank you .
crazyoldsongs 3 months ago