Mohammed Mohiuddin Hasnein Badr Qadri
Shehzada-e Maulana Badr al Qadri Khalifa Huzoor Mufti-e Azam Hind
Kalaam of:
Maulana Badr al Qadri Khalifa Huzoor Mufti-e Azam Hind
Full lyrics of this Naat:
Har ek pe yoon teraa ehsaan nazar aaya
Sab jism nazar aye to jaan nazar aaya
Ziruh insaan woh jaan rakh kar be jaan nazar aaya
Jis ko na shahe deen par iqaan nazar aaya
Imaan ki tabiat ko irfaan ki basirat ko
Faiz unka har ek lamha har aan nazar aaya
Paa band hai yeh dunya irshaad-e nabuwat ki
Har daur me sirf unka farmaan nazar aaya
Aayat-e khuda unki sirat me chamakti hain
Aaqa ka saraapa to quraan nazar aaya
Quraan mushakkal ek insaan nazar aaya
Arwaah me Aqsa me meydaan-e qayamat me
Sultaan-e Rusool sab se zishaan nazar aaya
Aye waane sharyat me deewaan-e tariqat me
Ek hoebbe Nabi jaane Imaan nazar aaya
Har daur ke ilhaadi hamlon ko kare paspaa
Quraan sadaqat ki mizaan nazar aaya
Quraan pe jisne bhi an-gusht numaayi ki
Thaa laakh zaki lekin nadaan nazar aaya
Aghaz-e sadi par jab uttha koi haq waala
Dabtaa hua fitnon ka tufaan nazar aaya
Tu naat me wusat ka aye Badr Moharrik hai
Daaman tera ulfat ka guldaan nazar aaya
Islamic Academy Holland
www.islamicacademy.info
SubhanAllah.. Beautifully recited
Sheryy786 1 year ago
Masha Allah.
MrShahnawaaz 1 year ago
subhan allah
masha allah
minhaju2cool 1 year ago