MashaALLAH awesom Hamd recited by Owais Qadri! Kaabay Kee Rounaq Kaabay Ka Manzar
Kalaam = Sabeeh Rehmani
Kaabay Kee Rounaq Kaabay Ka Manzar Allaho Akbar Allaho Akbar
Dekhon Tou Dekhay Jaon Barabar Allaho Akbar Allaho Akbar
Hamd-e-Khuda Say Tar Hain Zubaanein Kaano Mein Russ Gholtee Hain Azaanein
Buss Ik Sadaa Aarahi Hai Baraabar Allaho Akbar Allaho Akbar
Teray Haram Kee Kiya Baat Maula Teray Karam Kee Kiya Baat Moula
Taa Umar Karday Aana Muqaddar Allaho Akbar Allaho Akbar
Maangee Hain Mein Nay Jitnee Duain Manzoor Hoongi Maqbool Hoongi
Meezab-e-Rehmat Hay Meray Sar Par Allaho Akbar Allaho Akbar
Yaad Agayein Jab Apni Khatayein Ashkon Mein Dhalnay Lagee Iltijayein
Roya Ghilaaf-e-Ka'aba Pakkar Kar Allaho Akbar Allaho Akbar
Bheja Hai Jannat Say Tujh Ko Khuda Nay Chooma Hai Tujh Ko Khud Mustafa Nay
Ae Sung-e-Aswad Tera Muqqadar Allaho Akbar Allaho Akbar
Maula Sabhi Aur Kiya Chahta Hai Buss Maghfirat Kee Ataa Chahta Hai
Bakhshish Kay Talib Pay Apna Karam Kar Allaho Akbar Allaho Akbar
Allah ho Akbar
gru013 4 months ago
herat se khud ko kabhi dekhta hun r dekhta hun kabhi m haram ko laya kahan mujko mera muqaddar Allah o Akbar Allah o Akbar
MrTalha08 1 year ago