Soul absorbing Hamd Shareef by Muhammad Ali Haider. Dedicated to the victims who were hit by catastrophic floods in Pakistan. Ive provided lyrics so you read along with Ali Haider..........
LYRICS:
Allah Hu Allah, Allah Hu Allah (x2)
Khaliq-e-do jahaan, mehrbaan mehrbaan (x2)
Tujhse hai yeh dua, malik-e-khushk-o-tar
Taal de har balaa, tu ke hai chaar-a-gar
Rehmatein hain teri, la abad bekaran
Khaliq-e-do jahaan, mehrbaan mehrbaan
Tera hi noor hai, jalwa gar chaar soo
Sahib-e-laamakaan, dil ke andar bhi tu
Zaray Zaray se hai teri azmat ayaan (x2)
Khaliq-e-do jahaan, mehrbaan mehrbaan
Meethay bolon se hum, jeet lein sabke dil
Khidmat-e-qalb bhi, hum karein mustaqil
Chahta hai yehi Rabb-e-Qono Makaan
Khaliq-e-do jahaan, mehrbaan mehrbaan
Tu ke Rehman hai, hain khata kaar hum
Hum sambhalte nahin, hai kamaal iska gham
Beet jayegi kya, yunhi Umar-e-Rawaan (x2)
Khaliq-e-do jahaan, mehrbaan mehrbaan
Mehrbaan, Mehrbaan
Mehrbaan, Mehrbaan
Mehrbaan, Mehrbaan
Credits:
Hasan Akbar Kamal
Farrukh Abid Shoib Farrukh
Suhaib Hassan
Ahsan Raza
Rasheed @ A-One/ Ayaz
Mesam Raza @ Body Complex
D.O.P Altaf
Dir: Yousuf Khan
Royal Music
Masha Allah he has done a great job, Way better than his songs. 1 good to go.
asimhsi 2 months ago
well m 100% sure !!! dil se parh raha hy mashallah
shahzadafridi 6 months ago
ماشاءاللہ۔۔۔۔۔۔۔۔ علی بھائی اللہ آپ کو استقامت نصيب فرمائے آمين۔۔۔۔۔۔ مزيد البمز کا انتظار رھے گا۔۔۔۔۔۔
Huzaifi1 1 year ago
Beshak, Allah boht mehrbaan hai!!! beautiful hamd....
YaRasulullah 1 year ago
Mashallah
ubaideraza 1 year ago