Zeeshan Morvi reciting nauhas near the entrance of Zari of Bibi Zainab Salamullahe alaiha
(1) Amma Fizza Bata dey mujh ko, Pathar kyu aa rahey hain
(2) Aye Sham kay logo, mein binte Ali hoon
(3) Hal Chal hai Fauje sham mein, Abbas aatay hain
(4) Hai Ebadat Hussain Ka maatam, hum ko quran ne ye bataya hai
(5) Shaam ki aurtoan ek waada karo, roz qabre Sakina par aao gee tum
Barae khusnodiye chardaa masoomeen buland tareen salawaat
aliabbashasnain 8 months ago
Qabre bekas pay aansoo bahane, haal qaide sitam ka sunane
Qafla karbala ko chala hai, is kay baba ka chelum manane
Itna keh do hamari tarf say, is ka chelum manao gi tum
Shaam ki aurtaun ek wadaa karo, roz qabre Sakina pay aao gi tum
Jab kabhi qaid khanay mein aana, berida bibion ko na lana
tum ko asghar bhi dey gaa duaein is ki tanhaeeyan yu mitana
chotay chotay say bachoan ko la kar, paas is kay sulao gi tum

Hum nay zindaan say paee rihaee, ab behan paas ho gee na bhai
Baat itni si bas yaad rakhna, Meri bachi hai gham ki sataee
Tum ney bazaar mein bhi sataya, Ab na is ko satao gi tum

Shamiyo ki bahu baitiyo say, keh rahi thee wo akbar yeh ro kay
yeh amanat hai pardesiyon ki, kar rahi hoon tumare hawaley
Mujh say ek baar bas itna keh do, apna waada nibaho gi tum
Shaam ki aurtaun ek wadaa karo, roz qabre Sakina pay aao gi tum
aliabbashasnain 8 months ago
Jab kabhi qaid khanay mein aana, berida bibion ko na lana
tum ko asghar bhi dey gaa duaein is ki tanhaeeyan yu mitana
chotay chotay say bachoan ko la kar, paas is kay sulao gi tum
Shaam ki aurtaun ek wadaa karo, roz qabre Sakina pay aao gi tum
Ek yasrab ki thee shahzadi, us ka saka tha abbase ghazi
Mashk ley kar gaya suae darya, Aur qabze mein kar li taraee
Lorion mein yeh sachi kahani, roz is ko sunao gi tum
Shaam ki aurtaun ek wadaa karo, roz qabre Sakina pay aao gi tum
aliabbashasnain 8 months ago
Shaam ki aurtaun ek wadaa karo, roz qabre Sakina pay aao gi tum
So rahay shahe deen bekafan bhi, meray jaisi aseere mehan bhi
Khali kurtay mein madfoon gurbat,misle asghar rahi bekafan bhi
Kya kafan ki tarah roz chadar, is lahad par charao gi tum
Shaam ki aurtaun ek wadaa karo, roz qabre Sakina pay aao gi tum
Hum nay zindaan say paee rihaee, ab behan paas ho gee na bhai
Baat itni si bas yaad rakhna, Meri bachi hai gham ki sataee
Tum ney bazaar mein bhi sataya, Ab na is ko satao gi tum
aliabbashasnain 8 months ago
Khaich leta hai jo niqaboan ko, itna mazboot haath hai is kaa
is haqiat say bhi yeh waqif hai, khoon kis ki ragoan mein hai kis kaa
Raz nasloan kay khoal deta hai, sab ka namo nasab batata hai
Hai Ebadat Hussain ka matam, Hum ko Quran ney yeh bataya hai
Dekh kar is ki saf mein nabiyon ko, dekh kar is ka maujizati asar
Sun kay is ki fazilato azmat, baat teh ho gai hai yeh Gohar
Wo karay gaa Hussain ka maatam, aadmi jo shareef zada hai
Hai Ebadat Hussain ka matam, Hum ko Quran ney yeh bataya hai
aliabbashasnain 8 months ago
Hai Ebadat Hussain ka matam, Hum ko Quran ney yeh bataya hai
Nauhay parthay hain nuh jaisay nabi, ambia khud safain banatay hain
Wo ebadat hai maatame shabbir, arsh walay bhi jis mein aatay hain
Farsh maatam ka wo musalaa hai, Jis pay kaaba namaz parhta hai
Hai Ebadat Hussain ka matam, Hum ko Quran ney yeh bataya hai
Taaqate maatame Hussain bani, lal saein ki taakate parwaz
yehi lahoote lamakan ki sada, yehi abdulla shah ki awaz
yehi naara bhi hai malango ka, yehi rasme qalandarana hai
aliabbashasnain 8 months ago
Dil pani pani hota hai bachoan ka piyas say
Sukhi zaban hoatoan pay asghar phiratay hain
Halchal hai fauje sham mein Abbas aatay hain
Ghoray doraey sham say lashkar jo aatay hain
Kam umar bachay khaimoan mey ghabraey jatay hain