woh jis ki deed main: the complete poem with typographical errors corrected:
Woh jiski deed mein laakhoun masarratein pinhaaan
Woh husn jiski tamanna mein jannatain pinhaan
Hazaar fitney tah-e-paa-e-naaz, khaak-e-nasheen
Har eik nigaah khumar-e-shabaab se rangeen
Shabaab jis se takhaiyul pe bijliyaan barsein
Waqaar jiski rafaqat ko shokhiyaan tarsey
Ada-e-laghzisheiy paa par qayamatein qurbaan
Bayaaz-e-rukh pey sahar ki sabahatein qurbaan
Siyaah zulfoun mein warafta nikhatoun ka hujoom
Taweel raatoon ki khwabeedah raahatoun ka hujoom
Woh aankh jiski banao pe khaliq itrraaye
Zabaan-e-shair ko tareef kartey sharm aaye
Woh hont faiz kay jis say hai bahar-e- lala farosh
Behshat-o-kausar-o-tasneem o salsabeel badosh
Gudaaz jism qaba jispe sajke naaz karey
Daraaz qad jisey sarw-e-sahi namaz karey
Garaz who husn jo muhtaaj-e-wasf-o-naam nahii
Woh husn jis ka tasawur bashar ka kaam nahii
Kisi zamaney mein iss rehguzar say guzraa thaa
Basadh guroor-o-tajammul idhar say guzraa thaa
Aur ab ye raah guzar bhi hai dilfareb-o-haseen
Hai uski khaak mein kaif-e-sharab-e-shair makeen
Hawa mein shokhi-e-raftaar ki adaayein hain
Faza mein narmi-e-guftaar ki sadayein hain
Garaz vo husn is raah ka juzu-e-manzar hai
Niyaz-e-ishq kou aik sajda gaah maiyassar hai
ye poem kis k liye likhi gyii thi....dats so beautiful
ranaqaiss 1 month ago