About this user
Kash Tehreek Ka Apni Tanzeem Ka
Main Sahaara Banon... Dast_O_Baazo BanoN
Jis Ko Too Naaz Se Keh Sakay Pyar Se
"Yeh Wafadaar Hay...Yeh Wafadaar Hay"
HaqParasti Ka Sacha Parastaar Hay....
Teray Fikr_ONazariye Ki Is Raah Par..
Meri Khuwahish Bhi Hay Mera Armaan Bhi..
Apni Khuwahish Tamanna Mitata Chalon..
Rishton Naton K Bandhan Sabhi Toor Kar
Apny Kirdaar Ko Jagmagata RahoN...
Aabla Paa Rahon Muskurata Rahon
Soy_E_Manzil Qadam Mery Barhtay Rahen
Aourhna Aur Bichona Nazarya Rahay...
Youm_E_Azam_OAmal Day Raha Hay Sada
Jo Likha Jo Kaha, Ab Wo Pora Karon
Jis Tarah HaqParasti ki Paadash Main
Teray Dewanay Parwanay Hanstay Hoy
Soy_E_ZindaN Gaye Her Saza Seh Gaye
Chhomtay He Rahay Hans K Daar_O_Rasan
Azam_O_Himmat Ki Ik DaastaN Ban Gaye
Jaan Par Khail Kar Her Saza Jhel Kar
Aaj Bhi Wo Teray He Wafadaar Hain
HaqParasti K Sachay Parastaar Hain
"Kash ! In Jesa Main Bhi Mujahid Banon "
Jis Ko Too Naaz Se , Keh Sakay Pyaar Se
" Yeh Wafadar Hay .. Ye Wafadar Hay "
Haq Parasti Ka Sacha Parastaar Hay!!!
Age
27
Hometown
Karachi
Country
Pakistan
Occupation
MQM WORKER