Adab tehzeeb ka parcham uthale, Taasub apna chera nooch dale, Muhabbat raks karma chahti hai, Siyasat se kaho nazrein jhukale. Kaabao Kashi Ko kush nazdeek lanekeliye Mai Bhatakta phir rahuhu Pul banana keliye. Be Jhijak mere lahuka katra katra kheenchlo Ape ape zakhamka marhum banane ke liye. Kafiron ke liye phakat ek shoor Momino ke liye Azaan hun mai Aey nai nasl mujko gaur se pad Ghalib aur Meer ki Zaban hun mai.
دیا ن جلا ہو تو دل جلاکر دیتا ہوں .
اسکے کام ن آ سکا تیرے کام آتا ہوں .
indrahavan 8 months ago
खाक दिल में मिला दिया, अब ये कहती है क्यूँ सिला दिया |
गम का मंज़र क्यूँ पिला दिया, रूह को मेरी क्यूँ रुला दिया |
indrahavan 8 months ago
Kaaba-O-Kashi Ko kuch nazdeek la-ne-keliye
Mai Bhatakta phir rahahun Pul banana keliye.
Be Jhijak mere lahuka katra katra kheenchlo
Apne apne zakhmoka marhum banane ke liye.
hekk100 10 months ago
Nazar Nazar me utarna kamaal hota hai,
Nafas Nafas me bikharna kamaal hota hai,
Bulandiyon pe pahonchna koi kamaal nahin,
Bulandiyon pe teherna kamala hota hai.
hekk100 10 months ago 2
Apne Maazi se na sharminda raho,
Rooz suraj banke tabinda raho,
Maot se bachne ki bhi ek tarkeeb hai
Dusron ke zahen me zinda raho.
hekk100 10 months ago
Sifr lavzon ki sajawat nahi karta Sahil
Uske har sher me paigaam chupa rehta hai.
hekk100 10 months ago
Kaon duniya me samajta hai kisi aur ka dukh
Rail ka wazn to patri ko pata hota hai.
hekk100 10 months ago
Teri bakshi huwi is zindgi ko, kahan lejaon aakhir, ye batade
Tabiyat kuch banana chahti hai, Mukaddar kuch banana chahta hai.
Theek kehte ho nazakat me nasha hota hai,
Saadgi ka bhi magar apna maza hota hai.
hekk100 10 months ago
Nasle Aadam ho ya koi makhlook
Har dukhi ko gale lagata hun
Khidmate khalk mera mazhab hai
Mai Muhabbat ke geet gaata hun
Dushmashmon par bhi ho musibat to
Har adawat ko bhool jata hun
Naam mera Ashok Sahil hai
Mai Gazal ko lahu pilata hun.
hekk100 10 months ago
Urdu ke chand lavz hain jabse zabaanpar
Tehzeeb Meherban hai mere khandaan par.
hekk100 10 months ago
Kafiron ke liye phakat ek shoor
Momino ke liye Azaan hun mai
Aey nai nasl mujko gaur se pad
Ghalib aur Meer ki Zaban hun mai.
hekk100 10 months ago
hekk100 10 months ago
Comment removed
hekk100 10 months ago