Added: 2 years ago
From: asimhabib
Views: 13,780
Sort by time | Sort by thread (beta)

Link to this comment:

Share to:

All Comments (12)

Sign In or Sign Up now to post a comment!
  • سعید انور صاحب اتنی اچھی اچھی باتیں کرتے کرتے آخر میں شرکیہ الفاظ بول گئے ۔۔۔ یہ دین آپ کی حکمت کا محتاج نہیں ہے ۔۔۔ وسیلہ شرک ہے لیکن آپ اس کی تائید کرگئے

  • exam pass karne ke liye na padho...darr ke na padho...padho sirf isliye kyun ki tumhain padhna acha lagta hai...jab imtihaan ho to parche pe isliye likh do ki examineer ko tumahri samajh ki samajh aaye....usi tarah imaan isliye na kaayam karo kyun ki qayamat ke din imtihaan hai..par isliye kaayam karo kyun ki isi imaan se tumahri pehchaan hai...

  • aur Allaah behtar janne wala hai.. wallaahu a3lam.

  • yehi qol fatawa a3lim qeeri jild 5 safha 280 mein bhi naqal hai. Imam abu yusuf jo imam abu hanifa k shagird thay kehtay hain (mafhoom) ka mein yeh na pasand karta hon k kisi k haq k waste yah Allaah aur rasolon k haq k waste se dua ki jaye. (hadaya akhireen, kitaab al karahat) is se sabit howa k in waston k ilawa jaysa wasta am awaam mein rayj hai waysa wasata dena deen-e-islam mein nahi.

  • abu al hasain qaduri, shraha karkhi main bab al karahat mein likhe hain (mafhoom) k Allaah se uski makhlooq ka wasta dekar mangna jayz nahi q k kisi makhlooq ka bhi khaliq par koie haq nahi. fiqha hanafi ki mu3tabar kitab durre mukhtar mein likha hai k imam abu hanifa rahimahullah ne kaha (mafhoom) hai kisi k liye laiq nahi k woh Allaah se us k waste k ilawa dua karay. (jild 2, safha 280)

  • isi tarha muawiya ra ne yazeed bin sowd aljarashi rahmatullahi alayhe se dua karwai, (alasaba aur tareekh ibn asaakar sahee sanad k saath). wasate ki in 3 aqsaam k ilawa kisi bhi tarha ka wasta de kar Allaah se mangna na jayaz aur bid3at hai.Qur'an mein bhi kisi shakhs ki zaat, maqam, hurmat, haqq, barakat waghira ka wasta de kar nahi manga qiya.

  • isi tarha theesree kisam ka waseela zinda muttaqi aur saleeh shakhs se dua karwana hai jaysa k nabi asw k zamanay mein qahat aya tu apse araabi ne dua karwai, daleel sahee bukharee, alistasqaa, hadeeth 967 hai. yah qehat k dinon mein umar ra ne paygmeber asw ki wafat k bad ap k chacha abbas ra se dua karwae daleel, bukharee hadeeth 964.

  • dosra khalisatan Allaah ki raza k liye apne kiye howe nayk a3maal ka waseela pakrna maslan yeh kahe k ayy Allaah mein tujj se aur tere nabi se muhabbat karta hon, maal aur awlaad ki qurbani, tere kalame ko buland karne k liye Allaah k dushmanon k khilaaf jihaad kiya hai uska waseela mein tujh se sawal karta hon.. iski daleel sorah al imraan ayaah 16, 53,193,194. aur sahee bukharee hadeeth 2101.

  • salamu a3laykum, acha bayan tha saeed anwar sahab ka. magar kuch waseela k hawlay se jo guftugu howe ismein kuch kalam zaror hoga, maloom nahi end kya howa uska q k guftugu mukkamal nahi tha. magar jahan tak mujhe maloom hai islam mein 3 tareeqa ka waseela hai. Aik tu Allaah ki sifaat ka waseela pakarna jis ki zikar Qura'n mein sorah al-a3raaf ayah 180 mein mojoud hai.

  • ALLAH hum sab ko aisay banai jaisa WOH pasand farmata ha.........

  • MashaAllah very thought provoking biyan,

  • Allah Pak Hamein bhi apnay Rastay mein Qabool Farmayee....Aameeen!

Loading...
Alert icon
0 / 00Unsaved Playlist Return to active list
    1. Your queue is empty. Add videos to your queue using this button:
      or sign in to load a different list.
    Loading...Loading...Saving...
    • Clear all videos from this list
    • Learn more