c est un menteur cette imam a chaque fois il ns montre des noirs qui sont posseder qu il arrete c est salade c du pure mito arreter monsieur dieu vs voit
sura anbiaayat 34 aur hum nai kisi insan ko tujh sai pahle gair tabai umar nahi bakshi kya agar tu mar jai to woh gair tabai umar tak zinda rahengai.?...haqiqat aap par wazai kar di hai magar aap nai ilam sai kam nahi lia balki tassub sai kam lia hai ..mirza sahab as aur hum ahmadi galat hain yan sahi faisla karna allah ka kam hai insan ka nahi ...na quran na hi hadis pak yah haq insan ko daite hai jo aap kahte aur karte hain yani mukhalfat ...khair allah aap ka har aan hafizo nasir ho AMIN..
@Luqmanb04 ".....You healed the blind and the leprous by My leave, and revived the dead by My leave. Recall that I protected you from the Children of Israel who wanted to hurt you, despite the profound miracles you had shown them. The disbelievers among them said, 'This is obviously magic." Quran 5:110
Morday qayamat sa phly zinda nhi hty! Ya qanoon e fitrat nhi lakin Isa(as) k hatoun murday zinda kiya khuda na or qanoon e fitrat mo'atal hogya!
@artistdigital(1) nahi mohtaram hazoor saw kai hath sai to murday zinda na huai ? yahan bhi aap galat hain essa as nai jin murdo ko zinda kia kiun na unho nai us waqt jab aap ko salib par charhaya ja raha tha kaha kai nahi nahi yah to sacha nabi hai daikho is nai hum ko zinda kia hai hum to sadiyyon pahle mar chukay the ??han essa as nai ruhani tor par un murda dil insano ko zinda kia jo deene pasti ka shikar the..kiun essa as ko khalqiat main shamil karte ho? khaliq allah hai banda khulq hai.
@artistdigital :aap kis tarah ka ilam rakhte hain hairani hai aap kai ilam par ?? insan aur allah main koi farak hai kai nahi ?kulho wallaho ahad allhusomad lam ya lid walm yu lad walam ya kullo hu kofowan ahad"kiun allah ahad hai kiun na yahan wahad ka ilfaz istimal hua??is main bahut bari hikmat hai kai ahad kai baad doyam soyam nahi magar wahad kai baad doyam soyam hai ..wo tamaam sifat aur tarefon wala allah jis kai sharik aap essa as ko thahra rahe hain ?zindagi aur mout ka malik allah hai
@artistdigital Or jo Qurani 5:110 khta ha, os k baray ma kya khayal ha? Apki tafseer bir'raayay kya khti ha k Isa(as) na murda diloun ko rohaaniyat sa zinda kiya or andhoun or koriyoun ko thek kiya Allah k hukam sa(yani Rohani :) ), tou es per kufaar na kaha k ya Jadoo ha?? Jadoo kaisy?? >>"Profound Miracles" << Mojzaat!!
@artistdigital ::AUR HAZOOR SAW KI LAI SHARIYYAT KAMIL TOUR PAR UN KAI DILO MAIN BAITH GAI YAH HAQIQAT HAI CHAND KAI 2TUKRAI HONE KA ALLAH KA KALAM MANVI HAI tamseli hai jis ko samjhne kai lia allah ka fazal aur karam hona zaruri hai allah farmata hai ""hudallil muttakeen ""hadayat hai muttakiyyo kai lia hazrat mussa as ka assa marnai kai waqt jawar aai hua tha yani samundar ka pani jab utarta hai bhata yani jab dubara charta hai yah haqiqat hai assa marne ki ........
@Luqmanb04 [21:35] Every soul will taste death, after we put you to the test through adversity and prosperity, then to us you ultimately return.
Paishangoi k mutabiq, Isa(as) k dobara nazool k bad wo tabai tor pa wafat payaingy or apni zindagi ma 40 saala aman ka dor daikhaingy! Tou ya ayat kisi tor per naskh nhi hti!
@Luqmanb04 Jis pa fazal na ho or wo smjhy k os pa bara fazal ha, ya fazl e Naqis ha! Ya b Fazl e Naqis ha, jiska Allah k sth rabt mazboot na ho or wo gumrahi ko hidayat samjh baithy. iLm iblees k pas b bht ha!
Mosa(as) ka darya pa lathi marna or darya ma rasta bn'na kya ha? Isa(as) ki paidaish k bary ma kya aqeeda ha Ghulam Ahmad ka?
@Luqmanb04 Hadith Qudsi no 25 feseeh wazahat krti ha Awliyaa Allah k muqaam ki! Ambia or Mursaleen ka maqaam Awliya sa bht barh kr ha! Hadith Qudsi k alfaaz bht wazeh hn!
Muhammad(saw) na murday zinda nhi kiya, darya ma rastay nhi nikalay, lakin chand ko 2 tukray kiya ha or baqi Ambiyaa(as) na aisa nhi kiya! Mojzaat her Nabi ko alag alag milay hn! Ma Qurani hawalay dyskta hn! Mosa(as) ko kya mojzaat milay thay? or Qanoon e fitrat kya khta ha un k baray ma?
@artistdigital:kis kadar iftarah sai kam laete hain aap .allah quran main baishtar mukamat par farnata hai kai main hi murday zinda karta hun. allah kai kalam kai baraks aap kai maine hain. allah ka kalam fasi-o-baleg tamseele hai is kai zahri maine karna allah ki sifte khalkiyat main rakhna hai.yah tamaam tamsile kalam hai zahir par mamool nahi kia ja sakta .hazrat maryam kai pait sai hazrat essa as allah kai ilham sai yani kalam sai paida hua.yah allah ka mojza hai kiun kai allah khaliq hai
@Luqmanb04 Krta tou sab kuch Allah he ha, kabi bil'wasta or kabi bilawasta. Mara point ya tha k Allah qanoon e fitrat ko mo'atal krta ha mojzaat ma, jis pa ap na Naozobillah kaha! Ab Isa(as) ki paidaish mai, Mosa(as) ki lathi maar ki darya ma rasta nikalny k waqt Qanoon fitrat kahan gya, or es baray ma qanoon e fitrat kya khta ha?
Jab Allah na Mosa(as) sa kaha k apni lathi darya pa maro, tou wo b Allah ka Kalaam he tha, lakin mojza tha!
@artistdigital nahi nahi bhai chand kai 2 tukray hona haqiqat hai magar us lihaz sai nahi jo aap karte hain wo allah kai nizam main rakhna dalta hai .asal haqiqat yah hai kai chand arabo ka nishan tha yani badshaho ka aur allah farmata hai kai chand kai phatne kai sath hi qyamat aa jai gi sa'at ka lafz hai na >kya sa'at aai QYAMAT? sa'at kai aik aur maine hain ruhani inkilab kai sa'at agar nahi aai to quran jhuta magar sa'at aai yani ruhani inkalab. aur dajal shirk un badshaho ka khatam ho gaya
@Luqmanb04 Mantaq or daleel khti ha k jb Isa(as) na muday zinda kiya, koriyoun or andhoun ko thek kiya tou Kufaar bolay ya jadoo ha! Ab zara ya daikhty hn k hidayat ma aisa kya tha k Isa(as) pa jadoo ka ilzam laga, kyn k siwaya chand logoun k, Isa(as) ki rah per koi nhi chala or taqreban saray he log khilaf thy, tou es ma kon c aisy bari bat hogyi thi k hidayat ko wo jadoo khny lagy?? :)
@Luqmanb04 :)) Ab zara tareekh daikhty hn k Chand waqi 2 tukry howa tha ya yay b isharatan ha! :)
Chand k 2 tukray honay sa aik tareekh juri ha! India ki sab sa phli masjid es hawalay sa bht aham ha!
Chakarwati Farmas, Malabar ka badshah tha! Wo apni balcony pa khara tha k os na chand ko 2 tukry hty hwy daikha! :) .... Os k baity na India ma sab sa phli masjid bnayi! Agr sahih hawalay chahiyain tou ma dyskta hn! Eska elawa Ahadith or rewayat ma bilkul mojood ha! Wo b chahiya tou dyskta hn!
@artistdigital ;han yah baat zaroor hai kai us ko india main malabaar kai raja nai daikha .dainasor dunia sai kis tarah khatam huai aik zamin main lakir hi to pari the na ?kis wajah sai ? chand kai tukrai girnai sai ..us waqt bhi hazoor saw kai ishara kai waqt bhi allah kai izan sai aik dhuai ka badal jo aaj bhi daikha jata hai adha chand dhak jata hai utha us ki wajah sai india main aur arab main is ko daikha gaya ..allah har cheez par ghalib hai magar akal kai barkhilaf nahi karta .
@Luqmanb04 The incident relating to King Chakrawati Farmas is documented in an old manuscript in the India Office Library, London, which has reference number: Arabic, 2807, 152-173.
Cheraman Juma Masjid the first mosque of India.
Built in 629 AD, this is the first mosque in India and the second in the world where Juma prayers were started. ...
@Luqmanb04 Cherman Perumal became Abdullah Sameri and undertook Haj pilgrimage to meet prophet Mohammed at Mecca. On his way back, Sameri died at Zulfar, a coastal town in Yemen, where records show that a grave with the name of Sameri engraved on it still exists.
@Luqmanb04 Abu Saeed al Kaudri, regarding the arrival of Cheraman Perumel. "A king from India presented the Messenger of Allah with a bottle of pickle that had ginger in it. The Holy Prophet distributed it among his companions. I also received a piece to eat ". (Hakim reports in 'Al Musthadrak)
@Luqmanb04 Chand k do tukray hna, Sahih Bukhari ma:
Sahih Bukhari 4:56:830, Sahih Bukhari 4:56:831, Sahih Bukhari 4:56:832, Sahih Bukhari 5:58:208, Sahih Bukhari 5:58:209, Sahih Bukhari 5:58:210, Sahih Bukhari 5:58:211.... :)
@artistdigital :yah sabhi bate sahi hain indian Raja ka bayan pahli masjid india main etc magar us baat ko usi tarah mano jo allah ki mansha hai kiun apni chalate hain phir aik baat our kiun na yah chand kai 2 tukray hona puri dunia main daikha gaya kiun siraf india main hi ??
kiun kai woh ghubar ja aaj bhi chand par uthta rahta hai us waqt chand sec kai lia utha aur khatam ho gaya..
warna chand main aai badlaw ko aaj tak ki tac kiun na pakar saki....... kiun kai woh aik ghubar ttha gard ka
@Luqmanb04 Hoskta bht jaga daikha gya ho or or b bht rewayat ma mehfooz ho or bht sary mehfooz na kr sky hn! Ghubaar uthna koi mojza nhi! Waisy ya ghubaar uthny wali tafseer kahan sa li gyi ha or Islami rewayat ma aisi koi bat payi jati ha? :)
Chand k tukry hona tou phr b daikha gya lakin ghubaar ka koi hawala kahein mojood nhi! Or mantaq ya khta ha ghubaar uthny ko koi kisi sorat pa Jadoo nhi khyga or na he esy tukry hny sa tashbeeh di jaya gi!
@artistdigital :yah koi mamoli baat hai kai us ko mahfooz na kia gaya ho??
hazaro saal kai mamle mahfooz hain magar yah nahi yah kayse ho sakta hai ?
asal haqiqat hi woh hai jo mene bayan ki warna suraj chan ka apna apna kam hai allah kai hukum aur us kai izan sai wo kam karte rahte hain kabhi koi rakhna nahi aaya ...
chand ka haqiqat main 2 tukray hona koi mamoli baat nahi nizam-e-kamare tahas nahas ho jai ga aap kai kisso kahaniyyo ki wajah sai !!!
@Luqmanb04 Mai na hawalay diya hn jahan mehfooz kiya gya ha! Baqaya tehqeeq ki zrorat ha!
Abi apny hawaly paish krain, nhi tou apki tafsir bilkul qayas arai ha or kuch nhi!
Ya sb kuch jo qaim ha, ya Amr e Rab'bi sa qaim ha or jis Rab na es nizam ko qaim rkhny k liya jo mayaar rkha ha wo kisi dosry tareeqy sa b esko qaim rkh skta ha, jaisa k Isa(as) ki paidaish!
Ya daleel k nizam tahas nahas hojayaga, Allah ki sift "Qaadir" sa inhiraaf ha jo bazate khud kufr ha!
@Luqmanb04 bay tuki or baybunyaad batain krha ha ya bnda! :) Kam ilm or sadaa logoun ko, ya phr Allah ki qowat pa bay emaan logoun ko ghairny ki koshish krha ha! Jo rewayat ma na paish ki hn, es admi ki her bat sa afzal ha! Ya bat kry ya na kry barabar ha!
@artistdigital :chand kai do tukray hona aik paishan goi the.arab walo ka nishan chand tha do tukre hone ka matlab hai kai un ki hukumat khatam ho gai aur hazoor saw ki lai shariyat kai samne woh nahi tik pae.
un ka zawal aur islam ka aruj.yah asal hikmat hai.
magar aap kisso main hi jina chahte hain to koi baat nahi aap ki marzi waisy kisso ki islam main koi jagah nahi..pahle komo kai zawal ki wajah yahi the yani yahudiyyo kai paas issaeyyo kai paas majusiyyo kai paas bahut kissy the

@Luqmanb04 Qissoun or tarikh ma farq ha! Ma na daleel sa bat ki ha or daleel pa mabni jawab chahta hn! Khud sa koi kuch b keh skta ha! Jitny moun utni batain! :) Jis ki jo mrzi ha bolta rhyga! Khud sa aisi tafseer koi b kahein b nikaal skta ha, es ma koi msla he nhi! Misaal k tor pa: "Ababeel kbi b nhi ayay, kyn k Arab b lrty agr abraha ata! Arab kbi b itny baighairat nhi thy k larai sa bhagtay!" Ya b aik tafseer ha per Kufria ha! :))
@artistdigital aap ki bat say hasil kya hua ? yani is mojza sai kitne is mojza kai baat islam main dakhil huai kitno nai hazoor saw ki risalat ko mana ? sare tarekhe islam hadis-e-nabvi saw daikh lain kisi nai is mojza kai baad raisalat mab saw ki haqaniyat ko mana.. indian raja kai musalman hone ki baat chor kar aik bhi aaisi shadat nahi milte..
mojzat ka talluk nabi ki amad sai roshnaz karwana hota hai ".jaa al haqqo wazah kal batil innal batila kana zahuka" ki misal hain rasool-e-arabi saw.
@Luqmanb04 Lughat ma bht mtlb hty hn lakin tafsir k liya siyaaq o sabaaq ko daikha jata ha! Jo kufria tafsir ma na ki ha, kya wo ghalat ha? Agr koi kaam he apni tafsir bnany ka kry tou kuch b keh skta ha, jaisa k ma na kaha k ya koi mushkil kam nhi ha! Ma apni daleel ko Qur'an o Sunnah k mutabiq isliya khta hn kyn k ma na Qur'an o Sunnah k mustanid hawaly diya hn, na k tafsir bir'raayay ki ha! Ma na sth juri tarikh ka hawala b diya ha or os tarikh sa jura Islami hawala b diya ha, jo kafi ha!
@Luqmanb04 Ab krty hn bat k Quran k nazool ki zarorat kyn pari! Torat sirf Bani Israel ko mukhatib krti ha! Torat sirf Bani Israel tak mehdood ha, tabhi Yahood dosri qomoun ko tableegh nhi krty! Tableegh tou dor ki bat, agr koi yahood k pas jayay or kahay k os na yahoodi ban'na ha tou Yahood osy 3 bar jhutlaaty hn, agr phr b bazid ho tou shamil kr laity hn! Injeel Torat ki shariat ki tayeed krti ha, or Touheed ka paigham b daiti ha, lakin es ma bari tabdeelian ki gyi hn or khud ko Ahle ...
@Luqmanb04 ...khud ko Ahle Injeel khny walay bunyadi paigham sa he bhatak gyay hn! Agr mojooda Injeel parhi jaya tou sabit ho k Injeel b ghair Yahood(Gentiles) ko Tableegh sa mana krti ha! Jo ghair yahood ko tableegh wali bat ha, wo Paul(Saul) ki bat ha, jo khta ha k os per wahi ayi ha k baqiyoun ko b tableegh kro or wo sb kufria batain b osi ki shamil ki hwi hn jo Isaae b mantay hn k ya lafz Paul k hn! Ma hawalay dy skta hn!
@Luqmanb04 Qur'an ka paigham tamam insaaniat k liya ha or Qurani Shariyat her dor k liya ha! Tamam insaniyat ko hidayat ki zrorat thi, or mustakil nafarmanoun ki waja sa Yahood ka gharoor khak ma milana maqsood tha, jo khty hn k hum chuny howay log hn, jo marzi ha karin!
Ab ya daikhty hn k mojzay kyn milty hn Ambiya ko or es sa kya maqsood hota ha! Jitny b sachy Nabi guzray hn, un sab ko Allah ki taraf sa mojzy milay, ta k wo log jo tehqeeq krna chahain k Nabi sacha ha ya jhota unhain...
@Luqmanb04 ...Nabi sacha ha ya jhota, unhay daleel mil sky! Bawajood Mojzoun k, Qomoun na Ambiya ko thukraya, lakin mojzay phr b hty rhy, Rab na apni Qowat k izhar ma koi jhijhak rawa na rakhi, kyn k ya Rab k liya kuch mushkil na tha! Mojza Rab ki taraf sa nishani hti thi! Nabi(saw) ko Quran sab sa bara mojza mila, lakin or b bht mojzy howay un k hathoun sa, jaisy k musht e khat ka mojza, Ontni ka mojza, Abu Jahal ko bayjan chezoun ki shahadat k mojza, naiz 2000 approz mojzy ahadith ki kutb ...
@Luqmanb04 ...ahadith ki kutb ma mehfooz hn! Agr koi nabowat ka dawa kry or Rab ki taraf sa koi nishani na dikha sakay tou wo Nabi nhi Kaazib ha! Jab shariyat mukamal ho chuki, Nabowat o Risalat pa khatmay ki mohr lag gyi! Ab kisi Nabi ki tableegh ki zarorat nhi rhi, or na he kisi nayay saheefay ki! Abu Jahal sab manta tha lakin munkar tha! Kafir mara! Mojzat ka taluq qat'an Nabi ki amad sa roshanaz krwana nhi hta, balky Nabi ki sachai ki daleel hti ha, jo Nabi ki hatoun hota ha!
@Luqmanb04 Ab zara Shaq ul Qamar k phlo daikhty hn! i) Wo Sahaba Karam(ra) jo Nabi(saw) k sth thy, un ki taleef e Qabli howi es sa, or nayi Nabowat thi, tou agr un k dil kuch thora shak o gumaan b hta, ya mojza wo dor krny k liya bht tha! ii) Malabar ma bar e sagheer ki phli masjid ki bunyaad pari or pata nhi kitnay he logoun na Islam qabool kiya! Malabar k Muslamaanoun na Araboun ka sath diya, jis sa Hind ma Islam k or darwazay khul gayay! iii) Mazeed rewayat mehfooz hogyein k Shaq ul Qmr hq ha
@artistdigital : main aap ki har baat sai muttafiq hun magar mojzat ka siraf aik hi maksad nahi hota balki nabi ki zindagi kai kam aur us kai dawa-e-nabuwat kai baad ki zindagi kai halat bhi us sai munsalik hote hain ..yahi waja hai kai hazoor saw kai dawa-e-nabuwat kai baad un tamaam halat ka aks milta hai ..
us mojza kai baad kisi nai islam main shamuliyat nahi ki nahi jange badar kai baad "wama rameta is ramaita wala kinalaha rama"wale waqya kai baad ..asal haqiqat ko samjhe bhai ...
@Luqmanb04 "Baqi sab kahaniyan hn" > Kon kehta ha?
Tarikh or kahani ma tou phr koi farq he na hoa na! Tarikh b kahani ha! Krny wala sab Allah he ha, jaisa k oper di gayi video ma banda khud kuch nhi krha, Allah krha ha or Allah k kalam ki taseer he kaam krhi ha! Baat ma na boht saaf tor sa bayan ki ha! Main na pehly b kaha k bat saaf zahir ha! Isiliya ma behas nhi krha tha!
@artistdigital Baqi sab kahaniyan hn" > Kon kehta ha? quran pak farmata hai maine aap kai samne do qurani ayat ki dalile rakhe us kai hisab sai jawab dain ..
bahas ki baat nahi iman ki baat hai ..aur is vedio main jo ho raha hai sara sar jhut hai main kai is tarah kai babaw sai mil chuka hun khuch haqiqat nahi un kai paas ..
un ko dawe sai kahta hun kai mujh par kuch kar kai dikho hath jorte hain kai luqman yaar kamai karne do rote rozi ka sawal hai ..allah ki kasam yah vedio jhute hai ..
@artistdigital (1)"wama rameta is ramaita wala kinalaha rama" 8:17aur 48:10.. pahli ayat main allah farmata hai .muhammad saw jab tunai un ki taraf (kankar) phainkae tunae nahi phankai balki allah hai jis nai phankae ..dusre ayat main allah farmata hai ..yaqinan jo log tere bait karte hain woh allah hi ki bait karte hain allah ka hath hai jo un kai hath par hai ..CON
@artistdigital :gour talab baat yah hai kai..kankar phaikne wala allah tha yan muhammad saw ...neez bai'at laine wale muhammad saw the yan allah ta'lla ..isi tarah us mojze ka hikmat sai bharpur maine hain ..baqi sab kahaniyyan hain gair mazhab walo ki tarah ..ramayan main hai kai hanuman nai pahar hi utha kar ram kai samne la rakha ..aur rawan kai 10 ser the ...etc
@artistdigital : aap ki dalil main wazan tab mana jai ga jab islam ki haqaneyat zahir hote ho ..is tarah kai kissay quran main nahi quran ka nazil hona in sab ko batil thahrana hi hai ..warna allah ki wahdaniyat to tourat ..anjeel .zabur bhi bayan karte the kya zarurat the quran kai nazool ki ?kiun kai un ahle ktab nai us main bhi apni marzi ki bate shumar kar di the jinka rad karna lazmi tha ..ta kai kahaniyyo kai khuda ka asal chahra sai insan sarfaraz ho .......
@artistdigital : dalil nahi mantaki bahas hai aap apni dalil ko quran sunna kai mutabik kahte hain aur mere dalil ko nakis yah kis tarah hosakta hai kai ilmo marfat ki baat ko kisso ki zuban sai sahi thahraya jai ?
arabi lugat ki kitabo main daikhe saa'at kai maine ruhani inkilab kai bhi hain is ka matlab saf hai kai allah ki hikmat yahi the kai paishangoi kai zaria un ko samjha dia jai kai tumhara zawaal mukarrar ho chuka ..allah ka kalam manve hai tamseele hai. aur quran kai kai batan hain
@Luqmanb04 iLm e Marfat ma Allah(swt) ki Rahmat o Haibat Mard e Kamil pa Zahir hjati ha or wo koi aisi bat kr he nhi skta jo Asma ul Husnaa k Mukhalif ho, kyn k Ahle Ma'arfat Mushahida e Haqq kr laita ha or Rahmat ma ajata ha! Phr Allah(swt) aik mukamal mard e kamil ki Rooh b osi jaga qabz krta ha jo baesay sharam na ho! Hadith Qudsi 25 aisy mard e kamil he k baray ma ha! iLm e Marfat, Ahle Tassawaf na bht achi tarah define kiya ha!
do hi logo ko hazoor saw nai salam kaha hai aik owais karni ra ko aur imam mahdi as ko hum jante hain kai mirza sahab as wohi allah kai rasool saw ki hadis kai mutabik mahdi as hain jin kai bara main hadis hai kai woh jab aaiga to ramzan kai mahina main us ki mukarar karda tarikho ki darmayani tarikho ko suraj aur chan ko garahan lagai ga (sahi bukhari) aur yah nishan aur kisi kai lia nahi hua 1894 main yah zahir ho chuka.
ALLAH KA LAKH LAKH FAZAL AUR KARAM HAI KAI MUJH KO AHMADI GHARANE MAIN PAIDA KIA JIS KI WAJAH SAI QURAAN PAK KI HAQIQI TALIM AUR HAZOOR SAW PAR CHALNAE KI TALIM MILE ..ALHAMDOLILLAH ..
@Luqmanb04 Islam ki taleem ya thi k india mai qadyan sa aik nabi ayay ga or wo Maseeh b hoga or mehdi b or wo btayga k jin nhi hoty or jihad nhi hota or bartania k khilaf tou bilkul b nhi hota, or baqi logoun per Allah(swt) ka fazal nhi tha jo Ghulam Ahmadi gharany mai paida nhi howy, khwa wo Ashaab e Nabi(saw) he kyn na houn!
Saray parhay Hazrat Muhammad Khatim ul Ambiyaa wal Mursaleen Salalaahu Alaihi Wasalm!
@artistdigital ;jee sahab ..kya aap nai kabhi socha hai kai kiun walayat ka silsila jo 1000 saal sai arab main tha hindustan main muntakil hua ??
mujaddadiyyat ka silsila ilmon fan ka silsila kiun hindustan main muntakil hua ??
aur gazwae hind wale hadis .yani yahi hindustan hai jahan sai phir islam ko taraki milni the tabhi to hazoor saw nai is gazwae hind wale hadis farmae ..
yahi woh khita-e-araz tha jis kai lia kuch khas tha tabhi to imam mahdi as ka zahoor qadian main hua ..
@artistdigital :(2) aur hadis pak saw kai mutabik imam mahdi aur issa as koi do wajood nahi allah kai rasool saw farmate hain ""lan mahdio illa issa "" mahdi as hi issa as hain ..
aur quran pak main hazrat issa as ki wafat ka khula khula zikr hai ."falamma tawffetani kunta anta rakiba alaihim "sura maida ayat 117:118..
koi wafat kai baad wapis is jahan main nahi aat ..
gairat ki jaa hai kai issa hon zinda asman par ..
madfoon ho zamin main shah-e-jahan(saw) hamara ...
@Luqmanb04 Wafaat ka koi tassawar kisi riwayat ya taleem mai nhi mila, na he kisi dour mai Ummah ka es bat pa ijmah raha hai. Tafseer bir Raayay Kufr hai, es per hamisha say ijmah raha hai!
Esa(as) na murdoun ko zinda kiya! Kon khta hai nhi ata! Jb Rub ka hukam hota hai, sb aata hai! Or Aik din ya daleel b pori hojayaygi or Ghulam Ahmadi aisy he kahain gy jaisy ya video daikh kr khty hain!
@artistdigital : agar wafat ka tassuwar nahi mila to batae kai kis tarah asman par jana maan lia aap nai ? sura al imran main allah farmata hai ""ya issa inni mutwafika wa rafioka illyya .." is main pahlai wafat hai baad main rafa hai AAP RAFA KAI LAFZ SAI UTHA LAINAI KAI MAINA KARTE HAIN JAB KAI YAHAN RAFA RUHANI HAI NA KAI JISMANI ..
AUR ALLAH KIS SIMT (TARAF) HAI ?
jidhar hazrat issa as ko lai gaya ?aur jo aap kahte hain kai allah kadir hai to mirza sahab as ko nabi banane main kadir nahi ?
@Luqmanb04 Hazrat Muhammad(saw) ki Nabowat or Risalat ko tamaam Nabowat or Risalat per Muhr bna k laga dia! Agr kisi or Nabi k anay ki koi daleel hoti tou jo log Nabi(saw) k sth thy, un mai aisa koi tasawar paya jata, ya ummah mai aisa Ijmah lazmi paya jata! Lakin jb b kisi na Nabowat o Risalat ka dawa kiya, Abhaab(ra) na Jihad ka direct elaan kiya!
Asmaan per Uthayay janay ka Ijmah Ummah mai her dour mai rha hai Os bandy ki roohani or jismani dalel mazaq hai jo Shaitan or Jin k wajud ka ...
@artistdigital :aap ki baat manta hun kai nabuwat khatam, to hazrat issa as jin ko quran farmata hai "rasoolan alla bani israial" kiun aaingae ?hazrat issa as kai aanai sai mohre nabuwat nahi tutte kya ?baad main aanai wala khatam hoga yan hazoor saw khatam hongay ??aur phir quran sai "rasolan alla bani israil wale ayat nikal daingai kya ?
khatam AFZALIYAT KAI LIA HOTA HAI khatam kai lia nahi .
Esa(as) Ummati k tour per ayaingy, Nabi ya Rasool k tour pay nhi, or esi daleel ko qaim krny k liya wo Mahdi(ra) k pechy Namaz parhain gy! Khatam koi afzaliat mafzaliat k liya nhi hota! Kon c tafsir ha ya? Kis riwayat mai hai?
Khaatim ka matlab "Seal", "Mohar Band". Agr es k or matlb nikalty tou Ashaab(ra) Jihad na krty kaazibeen k khilaf.
Sura 3, ki ayat 144 or 145 ko mila k parhta hon or bata hon k ya kya khti hai!
اور جو بھی اللہ کی اور اِس رسول کی اطاعت کرے تو یہی وہ لوگ ہیں جو اُن لوگوں کے ساتھ ہوں گے جن پر اللہ نے انعام کیا ہے (یعنی) نبیوں میں سے، صدیقوں میں سے، شہیدوں میں سے اور صالحین میں سے۔ اور یہ بہت ہی اچھے ساتھی ہیں
@Luqmanb04 O Bhai, Sura Ali Imran, 144 or 145 sa ya matlb Ghulam Ahmad he nikal skta hai. :)
Kon c Tafsir sa daikhain es ko?? Agr Allah na Esa(as) ko Zinda uthaa liya to wo dunya pa na rahy naa??? Or es mai es bat pa zor diya he nhi gaya! Es tary tou Arboun paighambar ayaingy! Her banda apni tafsir pakar k layayga!
@artistdigital :bhai mere tamaam tafsir aap kai ulema ki hi parhe hain jamaat ki tafseer ki to baat hi nahi ki ..
mohar afzaliyat kai lia hi to hai na jis tarah kahte hain khatamul aulia ..khatamul muhaddaiseen ..khatamul itabba ..khatamul masjid ..etc etc .aur aap kahte hain khatam karnai wala hum kahte hain afzal saab sai bahtar .tamaam nabiyyo ki mohar-e-tasdeeq .
@Luqmanb04 Jab tafsir ki baat he nhi ki tou Quran kon samjhayay ga? Ghulam Ahmad? Kis ayat ka kya pas e manzar hai or kis hadith k pechay kya muharikaat hain, kon batayay ga? Ghulam Ahmad?
Sab sa phly tou hamain ya daikhna hoga na k ya Ghulam Ahmad hai kon, or os k pas kya sanad ha or os ki zindagi ki tamaam tareekh parhni hogi naa? Phr discussion k liya ya daikhna hoga k akhir kon sa mayaar rakha jayay jis ki bina per janchaa jayay?
@Luqmanb04 Kon c tafsir mai hai k Esa(as) Zameen per he hain? Kon c tafsir mai hai k Esa(as) fout hogyay hain ya unhain Naozbillah, qatl kr diya gya hai? Kis dour mai aisi kisi bat per ijmah raha hai? Kis tafseer mai hai k Jin or Shaitan or Insan aik chez k naam hain? Kis dour mai aisi kisi bat per ijmah e ummah raha hai! Ghulam Ahmad nai jo kaha hai wo batain mojoud hain na os k followers mai? Ijmah hai un batoun pa na? Mai Qadyaniyoun mai firqay nikaloun?
@artistdigital :aap mujh ko quran paak ki wo ayat batadai jis sai sabit ho kai issa as zinda bamain jismae ansare ASMAN par moujud hain ..wazai rahe kai us ayat main lafz ASMAN ho ..
warna RAFA kai maine siraf darjat bulande kai lia hote hain na kai jism samait asman par lai jane kai >>
woh ayat woh hadis batae jis sai sabit ho kai lafz ASMAN sarahat kai sath moujud hai ..??
mirza sahab ki tafsser paish karoga to aap kahte hain kai yah galat hai is lia aap kai ulema sai istambat karta hun ..
@Luqmanb04 Hazrat Isa(as) Rasoolan bani Israel thy! Bani Israel nai unhay reject kiya! Ab Isa(as) Nabi ban kr nhi ayaingy! Mehdi(ra) Nabi nhi hongy or Isa(as) un k pechy namaz parh kr es bat ki daleel qaim kraingy k wo Nabi k haisiat sa nhi balki Muhammad(saw) k ummati ki haisiyat sa ayay hain! Wo apni Zindagi mai Dajaal ka khatma karingy or Zameen per unki Zindagi mai 40 saala aman qaim hoga! Mahdi(ra) Khurasaan k lashkar k leader houngy or Ghazwa e hind mai Jihad kringy!
@artistdigital : (1)to phir issa as ki kya galte hai kai un ko un ki nabuwat sai hata kar siraf ummate bana kar bhaija jai ..
quran to farmata hai "khaleduna fiha "jannat hamesha rahnai ki jagah hai kisiko nikala nahi jai ga aap bila wajah issa as ko jannat sai nikal rahe hain .
dua to hazrat mussa as nai ki the kai ummate muhammadiyya main nabi nahi to ummate hi bana kar bhaij ..allah nai inkar kar dia aap pahle aa chukai ho .
@artistdigital :(2) agar koi koum nabi ka inkar kare to kya allah us ki nabuwat ko raad kar daita hay ??
har nabi nai apni kom ko paigame haq dia mannana na manna un kam hai nabi ki nabuwat par farak nahi aata ..
sahi muslim ki hadis kitabul fitan safa 460 main saw farmate hain aanai wala nabi ullah ho ga us kai ashab bhi hongay ..to hum thora hi mirza sahab as ko khud nabi bana rahe hain balki hazoor saw khud is ka faisla farma chukai hai 1432 saal pahle ..
@Luqmanb04 1432 saal phly, ya os k bad aj tak koi aisa faisla nhi howa!
Isa(as) ka maqaam Nabi wala hamaisha rahayga, lakin jb wo ayain gy tou Nabi k haisiat sa nhi! Deen mukamal hogya Hijjat ul Wida k moqay pa! Ab Mahdi(ra) Khorasan sa uthny waly laskhar ko lead kraingy or Musalman khob nuqsaan uthayaingy or utha rhaingy jb Isa(as) ka Nazool hoga or wo Dajjal ko khatim kringy or apni zindagi mai 40 sala aman ka dour daikhaingy, or Islam mukamal tour par Ghalib hoga!
@artistdigital yah haqiqat hai kai deen mukammal ho gaya ..to phir khilafate rashda ki kya zarurat the ? aaj musalman hazrat issa as ki aamad kai kiun muntazir hai ?
khurasan sai uthnai wala lashkar talwaro wala nahi ho ga balki woh ruhani lashkar hoga ..jo islam ki tabligh kai lia uthega ..taraki kai lia uthega woh imam mahdi as kai sath hoga ..
hazoor saw ko allah nai kai moujazat sai nawaza magar is tarah ka moujza nahi dikhaya kai 23 saal main islam dunia ka mazhab ho jata issa as 40 saal !
@Luqmanb04 :) Khilafat Rashda political chez hai! Aj hai koi Khilafat e Rashda? Tou Islam b nhi hai?
Tableegh k liya Ghulam Ahmad ki zarorat nhi ha! Tableegh k liya aik dunya her zamany mai kam krti ayi hai! Aj b Tableeghi jumaat ki tadaad mai sari qadyani gum hojayin! :)
Ya os dour ki paishgoyiyan hain jis mai mojzat aam hojayaingy! Faislay k waqt ki bat hai! Jis tarah ya jinn ki hazri ki video oper hai na, es sa croroun guna barh k, zahir mai aisy mojzy hongy jo aqal ko paidal kr dngy!
@Luqmanb04 Imam Mahdi(ra) ka zahoor or unki dajjal k khilaaf uthny walay khurasani lashkar ki sipa saalari, or Dajjal sa jang, akhri waqt ki nishaniyoun mai sa hai! Or 40 saala Aman k waqt mai sa Imam Mahdi(ra) b wo waqt daikhaingy! Kyn k Dajjal jab pory zor mai hoga or Imam Mahdi(ra) k lashkar lar rha hoga tou Isa(as) ka zahoor hoga, jin ki saans sa Dajjal halaaq hojayayga!
Isa(as) k zahoor ki jaga per b mustanid asnaad mojoud hain!
@artistdigital bilkul sahi mahdi as ka lashkar lar raha hoga dajjal ki fooj kai sath dajjal kon hai ? kya yah issae kom nahi jo aaj islam ko nauzubilla nabood karnai kai darpae hai ? aur jab mirza sahab as nai dawa kia tab musalman islam ko chor kar isseyat main shamil nahi ho rahe the aur aaj bhi kahte hain kai sacha deen us ka jis ka nabi zinda jis main aaj ka musalman un kai sath kande sai kandha mila kar chalta hain siraf ahmadi musalman kahte hain kai hamara nabi saw ruhani tour par zinda
@Luqmanb04 :) Conversions her dour mai hotein hai! Apny Sheikh saab ko daikh lain! Unhoun na tehqeeq ki or aj apni tehqeeq dunya ko bata rhy hain! Dajjal ka symbol, 1 ankh! Aik hath mai roti aik mai talwaar, Israel ki saltanat ko Saudi Arab tk phailayayga lakin Makkah or Medina mai dakhil nhi hosky ga! Zameen sa kahayga, khol apny khazaany or zameen apny khazaany khol dyga! Mousam b os k tabeh hoga! Mashaikh khty hn k ya aik system b hskta ha or aik skhs b, jo khudai k dawa kryga!
@artistdigital shaikh sahab nai koi tahkiq nahi ki balki un ka gussa hai kiun unho nai mujh ko block kia is lai kai main mirza sahab ki tahreero ko sahi sabit karta tha ..tang aa gai the mujh sai .raha dajjal ka mamla to yah saab khuc ho chuka hai aaj issae kom roteyon kai pahar lai kar pakistan ko khared rahe hain arab bhi gulam hai us ka .kiun na sari muslim hakumato nai aik ho kar saddam hussain ki shadat ko galt kaha kiun pakistan bhek mangta hai us sai khud kafil kiun nahi hota ?
@Luqmanb04 Nahi bhaijan! Abi sab nhi howa! Mahdi(ra) sa Ka'aby k andar logoun na bait nhi ki, Abi Khursan mai kali pagri waloun k lashkar ki sarparasti Mahdi(ra) na nhi ki, abi Isa(as) nai Dajjal ko Khatam nhi kea or apni zindagi mai 40 saala Aman qaim nhi kea! Dajjal ka system achuka hai, or ab baqi paishangoyiyoun k intezar hai!
@Luqmanb04 Tm log Dajjal k sath hogy or Munkary Imam Mahdi(ra) or Munkar e Isa(AS) hogy! :)
Mry pas itny hawalay hain k ap sheikh saab ko bhol jayaingy! Main na kaha na k sirf Jinnat o Shiateen wali baat pa mai Ghulam Ahmad ko taa Qayamat rad krta hon, or Allah(swt) ko es per Gawah banata hn! :)
@artistdigital(1)pyare bhai jab koi jawab nahi hota to aap log yahi kam karte hain kai mirza sahab kogaliyyan daite hain ..maion allah ko gawah kar kai kahta hun kai aap koi ilzam sabit hi nahi kar sakte ,,
sireaf aap kai ulema nai jo gande books likhe hain un ko samnai rakhte ho warna mirza sahab kai waqt kai aalimo ki tahreero ko parh kar daikhe mirza sahab ki books ko parh kar daikhe baat wazai ho jai gi .inshaallah ..rahe baat dajjal ki to mere bhai un ka sath aap daite hain CONTI>>
@Luqmanb04 Agr abujahal rad krta tha Nabi(saw) ko tou eska mtlb ya nhi ha k muslima kazab ya Ghulam Ahmad k pechy chalna farz hogya ha! Ma na kaha na k osy rad krny k liya, mry liya os ki jin or shaitan ki definition he kafi ha! Mai na idhr Shahadat di ha or Allah(swt) ko os pa gawah banaya hai!! Nabowat or Risalat Nabi(saw) per Khatm ha or es ka munkar Islam ka munkar ha!
@artistdigital :hamara mazhab hai"" lailla ha illalla muhammadur rasululla""is kai ilawa jo aap ilzamat daite hain baibunyad hain issai aur yahuddi hazoor saw ki baist kai waqt kya kahte the yahi na kai hamare paas to kitab hai nabi hai hum tere( saw )kai khuda ko kiu mane ..rasool-e-arabi saw kai rad main woh loog hazrat aaisha ra ko bhi ilzam ka shikar banate the hazoor saw ko bhi naouzubilla jaddugar shar aur janai kya kya elzamat daite the..kya hazoor saw ki shan azmat risalat rad hui?
@Luqmanb04 :) Gohar Shahi ka naam suna ha? Wo b Mahdi hai! Kya khayal ha, os k pechy jain? Wo en points pa zyada pora utarta ha! Gohar Shahi tou Mahdi hony k daway krta howa b nhi phira! Wo tou os 1 bat pa pora utarta ha k Mahdi(ra), Mahdi hony ka dawa nhi kringy, blky log unhain pehchanain gy or ba zid ho k baid kringy! Ghulam Ahmad sa ziada Haqq Gohar Shahi ka nhi ha?
Os per Emaan lay ana? Kis jaga likha ha ya? Hawala? :)
@artistdigital :(1)gohar shai nai kabhi hazoor saw ki rawayat kai mutabik imam mahdi honai ka dawa nahi kia na hi quran pak ki pakiza talim kai mutabik baat ki hai un ka dawa siraf sufiat ki talim kai mutabik tasawwuf ki talim par mabni hai .
phir gohar sahab kai lia allah talla nai woh nishan nahi zahir kia jis kai bara main hazoor saw nai farmaya tha .
yani ramzan kai mahina main suraj aur chand ko un ki mukarrara tarikh main sai darmayani tarikho ko grahan lagna jo 1894 main ho chuka .CON
@artistdigital : mahtamem darulalum dawband mohd tayyab sahab farmate hain : hazoor saw ki shan mahaz nabuwat hi nahi nikalte balki nabuwat bakhs bhi nikalte hai kai jo bhi nabuwat ki istaidad paya hua fard aap kai samne aa gaya nabi ho gaya yahi shan khatam ki hai aap saw ki yah faiz rasani sarchashm-e-kamalat-e-nabuwathone ki imtayaze shan agaz-e-bashariyat sai shuru hui to intahae kainat tak ja pahunchi(((aftab-e-nabuwat safa 109: 111)in ki books sai hi khch hasil karlo yah to ahmadi nahi.
@artistdigital :hazoor saw farmate hain main to khatamul anbi tab bhi tha jab hazrat adam miti aur pani main lath path the kya matlab hai khatam ka zamani lihaz sai to hazoor saw khatam hain hi yahan maksad martabi lihaz sai afzal ka hai qasim sahab nanotvi aur muhammad tayyab sahab ka bhiyahi maksad hai in tahrerat main aur yahi hum ahmadi mante hain kai khatamul anbia rasool-e-arabi saw khatam ba aitabar martabi alla aur arfa mukam rakhte hain jo aur kisi nabi ko hasil nahi (mohar /seal)
@Luqmanb04 Jab kisi chez pa seal lag jati ha tou os k neech kuch nhi hota! Zamaany k lihaaz sa thy ya bat 100% thek ha! :) Matlb ya ha k jis zamany ma mohr lagni thi, lag gyi. Ab un k bad koi dosra nabi ya rasool nhi ayaga! Nabi(saw) ki Rooh e Mubarik ko bht phly takhleeq kiya gya tha or un per Nabowat Khtm krny ka faisla b! Jb Nabi(saw) dunya ma ayay, Noboowat o Risaalat pa khatmay ki mohr lag gyi. Eska mafhoom ya ha! :)
@artistdigital :is ka matlab to yah hua kai qasim sahab nonotvi mohammad tayyab sahab aur digar ulema ibnai arabi yahan tak kai hazrat aaisha RA bhi khatam kai maine na samajhte the ?
aishabibi ka kaul hai aai logo yah to kaho kai saw khatamul anbia hain magar yah na kaho kai aap kai baad koi nabi nahi (duray mansoor ..
qasim sahab bhi isi akida par hain seal ka matlab hai kai saw ki baisat sai pahle bhi tamaam anbia aap kai wasf kai mohtaj the yani saw ki tasdeek kai bina koi nabi nahi .
@artistdigital :yahibaat to main kahta hun kai hazoor saw to khatam tab bhi the jab hazrat adam as takhliq kai awaleen dour main the tab bhi khatam kai maine mohar hi to tha yan koi aur ? mohar tha na us kai baad bhi nabi aate hi rahe to mohar to baimaina hui na ..
isi lia aaima nai is kai maine zamani nahi martabi lihaz sai lia hain afzaliyat ba aitabare martabi hi fazilat rakhte hai ..
yani guzashta nabi aap saw kai faiz kai mohtaj magar aa kisi kai mohtaj nahi ...con
@artistdigital con : quran pak ba awaz buland kahta hai kai "la nfarriku baina ahdim minrosolay"quran main kahe nahi kai hazoor saw kai baad aane wale nabi par iman na lana
kiun nahi allah talla nai is ki nafi farmai?aur bhi to quran kai kai mukamat the .gharaz sura nisa ki ayat 69 is kai mukhalif tasad paida karte hai jo aap ka muakkif hai un 4 darjaat main sai "minnan nabieen "ko nikal dain to saddiq shohda salaiheen sab ki nafi lazim ho jate hai magar allah kai kalam main kabhi tasad nahi
@artistdigital :Rasol-e-arabi khatamul anbia saw nai farmaya aai ali tun khatamul owlia hai aur main khatamul anbia .to khatam kai maine bhi yahan yahi karne chahia kai walayat bhi band.(mishkat kanzarulamal)saw kai sahib zade wafat pate hain san hijri 9 ko ayat 33:40 nazil hote hain san hijri 5 us waqt bhi aap farmate hain ibrahem zinda hota to yaqinan saddiq nabi hota .aap saw nouzbilla bhul gay kai ayat khatamul anbia nazil ho chuki to yah nabuwat ki saf lipat chuki ?
@artistdigital;;aur phir aap hi to is seal ko tor rahe hain hazrat issa as ka zaria .zamana kis ka khatam kahega saw ko yah issa as ko zahir hai aap kahte hain kai zamani lihaz sai khatam to khatam to issa as huai na. mustakil nabi the issa as shariyat nazil hui the un par. yah to toheen hai allah kai rasoolsaw ki agar martaba kai lihaz sai mane to tamaam nabiyyon kai faiz band siraf khatamul anbia saw ka faiz jari ab islam aur quran ki khidmat kai lia ummate nabi aa sakta hai ...
@Luqmanb04 Agr Isa(as) na dobara aa kr nabowat ka dawa kiya tou koi musalmaan unhy nhi manay ga! Isa(as) wohi Isa ibne Maryam hongy, lakin Umati ki haisiyat sa ayaingy, na k nabi ya rasool ki haisiat sa! Seal nhi toot rhi yahan!
@artistdigital>>Agr Isa(as) na dobara aa kr nabowat ka dawa kiya toui .yah batae kai nabi ka lafaz aane wale kai mutalik kis nai farmaya khatamul anbia saw nai. yah to hazoor saw ki wazai tour par nafarmani hoge .hazoor saw nai khud 4 baar akhare zamana main aane wale ko "NABIULLAH" farnaya aur us kai ashab bhi hongay ( sahi muslim kitabul fitan safa 460 alama wahidduddeen sahab ki shara) ..
allah kai rasool jis ko nabi kahe aap us kai inkare baan rahe hain..tahqeeq karle bhai ...
@Luqmanb04 Nabiullah esliya farmaya k koi or khara ho kr ya bat na kry k mai wo hn jis ka wada k baray ma bataya gaya ha! Nabiullah Isa(as) sa matlb ha Isa ibne Maryam(as) :)
@Luqmanb04 Isa(as) k nazool k bary ma kitni riwayaat hn? Kahan hoga zahoor? jaga? Os waqt kya krain gy wo aa k? Unhoun na apni zindagi ma kya kam mukamal krna ha? Aik shaks ko 2 2 namoun sa pukaarna mantaq wa daleel sa bahir ha, or dono k aa k alag alag kaam krna b hadis sa sabit ha! Deen ma ya kaam nhi chlta k kuch lay lo or kuch chor do!
@artistdigital yah koi dalil nahi kai is lia essa as ka nam nabi kaha kai koi dawa na kardai ..
allah is par kadir nahi kai dawa bhi kare tab bhi allah us ko nabi na banai ?
aap kai ulema saw kai sahibzada ibrahim kai bara main farmai hadis kai bhi yahi maine karte hain kai is lia wafat dai di ta kai nabi na ban jai ..allah chahe tab hi to nabi ho sakta hai yan apni marzi sai koi dawa kar sakta hai allah us ko tabah karnae ki salahiyat nahi rakhta kya ??
@artistdigital : tamaam nabiyyon kai faiz band siraf khatamul anbia saw ka faiz jari ab islam aur quran ki khidmat kai lia ummate nabi aa sakta haiaap bhi wahi akida rakhte hain main janta hun kai issa as par shariyat nazil nahi hui ap mussa as ki shariyat kai tabay nabi the yah main aap sai kahlawana chahta tha kiun kai mussa as kai tabay nabi aa sakte hain to hazoor saw kai bara main to sura nisa ki ayat 69 main wazahat hai 'annamallaho alaihim "mirza sb bhi to ummate nabi ka dawa karte ha.
@artistdigital :farzi Essa as ki baat yah hai kai hazrat aaisha RA ka kol hai kai Essa as nai 120 saal ki umar pai (durrai mansoor)quran "tawaffi kai lafz sai Essa as ki wafat zahir karta hai ."yaa Essa inni muttawafika wa rafiyyo ka illaya "alimran 55tawaffi pahle hai aur Rafa baad main aur jab allah faal ho aur mukhatib koi zai ruh to wafat kai hi maine hote hain (arabi qaida >lisanul arab) digar arabi lugaat ki books main bhi daikh lain..........
@artistdigital (2) aur hazoor saw ki paishangoiyon kai aain mutabik mirza sahab as ko allah tallah nai imam mahdi banaya .
13ve sadi kai khatam par 14ve kai agaz par .
aur hazoor saw nai farmaya tha kai woh hakam aur adal hoga ummat ko aik hath par jama kare ga .
jang ka khatma kardaiga .hazoor saw kaii zamana main bhi yahi issai the aaj bhi yahi dajjal hain sumaliya ho misar ho iraq ho pakistan ho rotiyyo kai pahar nahi rakhta sath ?
gohar shah sahab nai koi is tarah ka kam kia hai ?
@Luqmanb04 Agr Dajjal Nabi(saw) k dor mai b tha tou phr os k any ki paishgoi ki zaroorat he nhi thi! Gohar Shahi na logoun ko Allah k zikr pa lagaya or firqa wariat sa door khuda ki taraf logoun ko bulaaya!
Ghulam Ahmad kon sa aman laya? :) Kahan jama kiya ha ummat ko? "Yahi ha", "Wohi ha", "Ya matlab ha or wo matlab ha" k elawa kya kea ha?
Huzoor(saw) na bht kch farmaaya ha, Mahdi or Dajjal k bary mai! Or kuch lay lo or kuch chor do k khilaaf b bht kuch farmaya ha!

@artistdigital(2) hum nahi kiun kai hum quran kai kayal hain hadis kai kayal hai jis ki ruh sai hazrat issa as wafat paa chukai hain ..phir aap ka farzi DAJJAL hadis pak kai zahre maino kai mutabik jo karte hain abhi to us ki MAA BHI PAIDA NAHI HUI JO US KO JANAM DAIGE
to wo dajjal to bahut dur hai .han jo tassawur un hadis pak ka hum karte hain us kai mutabik dajjal bhi aa chuka aur us ka gadha bhi aa chuka . aur yahi waqt hai toba ka ..abujahal bhi to rad karta tha saw ko.saw ki zindage main
@Luqmanb04 Ghulam Ahmad nai aisa kya kr diya jo os na Muslamanoun ko esai hony sa bachaa liya?? :)
Shah Wali ullah(ra) sa manazray tk mai tou aa na ska! Ghulam Ahmad ka koi teacher tha ya nhi?? :) Os nai iLm hasil kiya ya nhi? Wo tou kafi arsy tk isaayoun k sath manazry krta rha, or apni zindagi mai kitni bar apny aqaaid ki tardeed ki ha os na? :) Mai paidal nhi hn!
@artistdigital :musalmano ko aik qurani dalil di kai ta kyamat rahne wala deen islam hai ruhani tour par hamare nabi saw zinda hain .musalmano ko baidar kia jab hi to ahle hadis kai aalim muhammad husain sahab batalvi nai kaha tha kai yah shaks islam ki jis tarah khidmat kar raha hai 1400 kai zamana main kisi nai nahi ki .(ishate sunna )aaj dunia kai 198 mulko main jamaat islam ki sarbulandi kai lia kam kar rahe hain ..
@artistdigital : kya is qurani talim kai baraks koi aur paigam hai mirza sahab as ka >> yah qurani talim ka nichor hai mulahza farmae .. nabuwat ke daawedar ki nishaniyan zaroor dekhlena
1=woh apne se pehlon ki tasdeeq karta ho
2=jo uske daawe se pehle shariyat ho uspar amal karta ho
3=tumko meri taraf(ek khuda)ki taraf bulata ho
4=tumpar meri Ayaat ki talawat karta ho ya tumko meri ayaat ki taraf bulata ho
to tum uspar Emaan le ana Aur uski madad karna inkaar na kana.>magar aap bazid hain >
@Luqmanb04 Quran ki taleem ko samjhny k liya classical interpretation ko samjhna bht zrori ha, agr koi khud sa tafsir bna kr or apni marzi k tarjumay laga kr matlb nikalayga tou hoskta ha k os k khilaaf bat na ho, lakin agr classical interpretations/translations ko smjha jaya tou bat saaf zaahir jhati ha! :)
Nabowat o Risaalat Nabi(saw) pa khtm ha or es pa kisi Muslim ka iktelaaf nhi rha! :)
@artistdigital .allah farmata hai "Rasolan alla bani israeal" aur aap kahte hain Hazrat Isa(as) Rasoolan bani Israel thy! Bani Israel nai unhay reject kiya! kya kom kai na mane par allah nabi ki nabuwat ko mansokh kardaeta hai ..ba farzae muhal woh issa as jinh par injeel nazil hue jo mustakil nabi the bashariat nabi the un kai aanai par is ayat ko quraan pak main sai nikal daenge yan nouzubilla mansookh samjhaingay .allah kai kalam main to tasad nahi hota phir aap kiun tasad karte hain >>
@artistdigital : aur jis nabi ki aamad kai aap muntazir hain us ka hulia sahi bukhare ki hadis main rasul-e-arabi saw nai un bayan kia hai kai >jo nabi hazrat musa as kai sath tha us ka rang surkh hai aur baal ghungrale hain ..aur jo akhre zamana main aai ga us massih ka rang GANDUMGO ho ga aur us kai baal kano ki lao tak hongai aur sidhae rasham ki tarah ..is hadis pak sai bhi pata chalta hai kai wo massih aur hain aur yah massih aur hain jis ki bisharat hazoor pak saw nai farmae ..
@Luqmanb04 Bhaijan ya Kufria Tafsir bir Rayay apny pas rakhain! Hadith mai ata hai k Ulmaa Ambiyaa k waaris hain. Ya daleel ha Ijmaah e Ummah ki! Mehdi(ra) nai b kuch krna hai or Isa(as) nai b kuch apni zindagi mai aa k krna hai! Koi Qadyani khul kr Ahle Sunnah k Ulmaa k sath manazra nhi krskta! Hadith mai rasty dhond kr new nabi ya rasool ki gunjaish nikalny ki gunjaish nhi hai! :)
Kuch mamloun mai Islam bht clr ha or yhi wja ha k taman maslaqoun na Qadyanioun ko kharij ul islam qarar dyaha
@Luqmanb04 ...wajud ka munkar ho! Jihad wo hai jo Ashaab(ra) nai Rasoolulah(saw) sa sekha! Jab Britain
India pay Qabiz tha, un k khilaf Jihad jaez tha ya nhi?? Ajkal b log hain jo thek jihad krhy hain or aisy b hain jo ghalat hain! Wo alag masla hai! Deeni Masaail ko aik rang nhi diya jata! Her masla mukhtalif hota hai! Baat hai bunyadi aqaaid ki! Islam Aman ka deen b hai, or Jang barayay Aman ka b!
Umar(ra) k alfaaz zaati thy, Ijmah nhi tha! Ijmah Abu Bakr(ra) ki bat per howa tha!
@artistdigital : mirza sahab as kio paidaish hui 1835 main aur 1857 main jihad karnai wale musalman ulema kahan the mirza sahab as nai to dawae nabuwat 1891 main kia ..
1857 main to mirza sahab ki umar siraf 22 saal the aap kai akabar the bazurg jin ka faraz tha kai kisi bhi tarah jihad ka ailan karte aur angraiz ko bhagate magar deli ki haqumat tabbah ho chuki the ayashiyan had sai pare the islam barai naam tha aur kon tha amirulmomeneen jis ka hukum saab mante ??
@Luqmanb04 145. And no person can ever die except by Allah's Leave and at an appointed term. And whoever desires a reward in (this) world, We shall give him of it; and whoever desires a reward in the Hereafter, We shall give him thereof. And We shall reward the grateful.
Kahan likha ha?? Kon c tafsir hai ap k pas?? Ya tou or paki daleel hai! >> :And no person can ever die except by Allah's Leave "<<
@artistdigital :ummat ka ijma hazoor saw ki wafat par hua jab hazrat umar ra nagge talwar lai kar farmate the jis nai kaha muhammad saw wafat pa chukai hain kardan kalam kar dunga .is baat ka hazrat abbu bakar ra ko pata chala aap nai al imran ki ayat 145 parhe yani muhammad saw aik rasool the aur aap kai baad tamam nabi wafat paa chukai hain tab ja kar hazrat umar nai mana .wafat siraf allah tallah ko nahi issa as to allah kai bande the kiun allah ki sifat main shumar karte hain aap ??
@Luqmanb04 Ya pata hai k Nabi(saw) ki Qabr e Mubarik un k hujray mai kyun hai? Hadith mai ata hai k Khuda apni Nabi ki Rooh os jaga qabz krta hai jahan osy dafan hona hota hai! Ya Hadith Abu Bakr(ra) na parhi thi jis k mutabiq Huzoor(saw) ki qabr e mubarik un k hujry mai bani gayi! Kuch smjhy es sa?
koi alaag sai nabuwat nahi ..hazoor saw ki khalis ittiba main
hamara quran hamara kalima wohi hai jo aap ka hai
hazrat kasim sahab nounotvi bani darulallum dawband apni kitab tahzerunnas main farmate hain so awam kai khayal main saw ka khatem hona bain maina hai magar ahle faham par roshan hoga kai takaddum wa takhure zamani main bilzat khuch fazilat nahi.koi nabi bhi paida ho to khatmiyyate muhammadiyya main koi farak nahi aata
@artistdigital :(1)aap aik baat to mante hain kai Essa as ka zahoor hoga to yah kiun nahi mante kai woh rasolan alla bani israiel""(alimran) the guzashta koi nabi alami nabi nahi siraf aik kom kai lia aik waqt kai lia aai .siraf rasol-e-arabi saw rahmatul allamihn hain jo har zamana kai lia hain aur aap saw ka waqt qayamat tak hai .is par sura nisa 69 dalalat karte hai.quran pak farmata hai allah aur allah kai rasool saw ki ita'at kai natija main nabuwat shahadat saddiqiyat salhiat CON
@Luqmanb04 Nhi, apni marzi sa itni bari tashreeh nhi ki jati, jab k zahoor ki jaga tk hadis ma mojood ha or ya b k wo kis k pechy namaz parhaingy!
1) Isa(as) na wapas a k sirf Bani Israel ko Tableegh krni ha? Agr hn tou phr wo bilkul Bani Israel k liya Nabi hoty, kyn k Nabi ko jis qoum ki taraf bhaija jata ha unka kaam sirf osi qoum ko ashaat krna hta ha! Ya wo tashreeh ha jo apki bat ko tasleen krny sa nikalti ha!
@artistdigital (2)to bhala kisi nabi ki itti'ba ki zarurat hi kya hai .wazai ho kai jahan hadis pak main Essa aska nam hai us ka matlab hai kai us ki misal hoga aane wala .allah kai rasool saw nai dajjal sai bachnai ka tarika kiun sura kahaf ki shuruate aur akhari 10ayat batai is ki wajah hi yah hai kai us waqt ESSAI kom aruj par hoge aur unkai batil aqida bandai ko khuda manna ko qurani talim sai batil kia jai ga issi lia farmaya wo hakam aur adal hoga (sahi bukhari)con...
@Luqmanb04 2) Kon khta ha k misal hoga? Naam ma'aa walida ka naam tk es bat per zor daita ha k any wala kon hoga! Mahdi(ra) kahan sa hngy? Hadeesain send krn? :)
Mai na kaha na k deen mai aisay kam nhi chlta k jahan sa jo marzi ho utha lo, jo chorna chaho chor do, jahan dil kry Tafseer bir'raayay kro or jahan dil kry apni marzi ka tarjuma kro. :)
@artistdigital (3)aur wazahat bhi kar di usi hadis main kai ""immama kum minkum"tumhi main sai tumhara imam ..yani ummat-e-muhammadiya main hi sai aik ummate islah kai lia khara hoga ..yah woh haqiqat hai jo hazoor saw ko khatam afzaliyat kai maino main sabit karte hai ...kai aap ka khatam hona ba dastoor jari aap ki ghulami main aap ki ittiba main aap ki nabuwat ka risalat ka ikrar karta hua ummati nabi aai."la rai ba" yahi haqiqat hai
@artistdigital kahan baat saf hai bhai un hadisso kai zahri maino sai pata kya hota hai husaini kahengai hum nahi mante .hadis to is tarah bhi hai kai husaini hogay imam mahdi as to fatmi inkar kar daingai .
phir dusrai firkai to shiao ko waisai hi nouzbilla kafir kahte hain koi un main aane wale ko kis tarah man lai ga.asal haqiqat yah hai kai woh us martaba ka hoga kai jis tarah hazoor saw kai nawaso ra par zulm kia gaya usi tarah is par bhi zulm kia jai ga jo ho raha hai .zahri maine nahi
@artistdigital :you and your Imam is from among you......sahi bukhari ki is hadis ka matlab hi yahi hai kai ummate muhammadia main sai hi hoga ..aur ahle ba'iat..ruhani rang main ...zahri maino main nahi ..
@Luqmanb04 Saaray Syed Shia nhi hn! Or jb Allah k liya bht asaan ha, aqal k liya mushkil ha!
Agr kisi aik jga Ishaarvi maanay lay b liyay jayain tou zrori nhi k her jga Isharvi maanay he houn. Jo jan kr kuch matlb na nikaaly tou bat bilkul saaf ha, phr jo koi chahy hidayat lay or jo chahy gumrahi lay, Rub ko koi farq nhi parta!
Kafir ki definition bht saaf hai! Daleel e Qat'taee ka munkar kafir ha! Jaisy kaha ma na, bat bilkul saaf ha! Ahadith ma na samny rakh di hn!
@artistdigital ;;;;;;;;;;jab aap mante hain kai allah hi har cheez par kadir hai to kya mirza sahab as ko masheeh-e-moud wa mahdi-e-moud banane par kadir nahi ??
@Luqmanb04 Kya Allah es bat per Qadir nhi k baghair Nabowat o Risaalat k Hidayat aam kr daita? Ya her kisi per Wahi ka nazool kray or sb ko khas o khas ma shamil kr lay? Khuda baymaqsad koi kaam nhi krta! Allah dastoor e Elahi k mutabiq kaam krta ha! Hidaayat or Gumrahi k bech aik patli laqeer ha or shaytaan ka sb sa khatarnaak harba yahi ha jb wo es patli laqeer per baith kr gumrahi ko hidayat bana k paish kry or sth es k agr apny na hny ka yaqeen dila dy to gumrahi baykhatar apna kaam kry!
@Luqmanb04 Manadi dainy wala koi b hoskta ha! Manadi daina koi mushkil kaam nhi! :) Her manadi dainay wala ki awaz ko sun k sath nhi diya jata! :)
"Hum" sa kya matlab ha? Kitny logoun ko aik qabr ma sth lay janay ka iraada ha? Rujoo or Emaan infiraadi chez ha!. Farzi Esa wali bat ka jawab ma kaisy dun? Waisy jaisy kufaar ko diya jata ha jo Nabi ki batoun ko farzi khty hn?
@artistdigital : ilmul Hadith kai bara main to pata nahi magar :daar kutni jild awal safa 188par imam muhammad bakir ra ki wazahat moujood hai suraj chand kai garahan kai bara main :aima salf ki rai aap lai lain ...
@Luqmanb04 Hum Shia fiqh ko nhi manty or Shia kutb qabil e aitbaar nhi! Ahle Tash'hee tou Hazrat Umul Momineen(ra) ko galian tak daity hn or ya kutb Munafiqeen k hathoun ma rhein hn! Aisi koi daleel qat'an motabar nhi!
@artistdigital ;(1)yah haqiqat hai kai imam mohammad bakir ra ahle ba'iat kai daraksha gohar hain magar aap ko aitaraz hai imam bakir to hazoor saw kai 200 saal baad kai imam hain jin ki sanad ki zarurat hi nahi ..magar aap ko aitaraz hai koi baat nahi .;main quran sai hawala daita hun ..
75:8 9main allah farmata hai jab chan bai noor ho jai ga yani garhan lagnai par hi t bai noor hota hai agli ayat main chand aur suraj dono ko bai noor batlaya yani dono ko garahan lagai ga.......
@artistdigital aur sura qayama main aur sura taqweer main bayan karda nishaniya puri ho chuki ..moulana hali farmate hain uswaqt kai halat ka tazkirain ilfaz main karte hain ..
wo deen hui bazmain jahan jis sai chiragah ....ab is ki majalis main na bati hai na dia hai...
aur jo khuch aaj tak ahmadiyyo kai sath salok rawan hai us kai bara main bhi mufakir waqtan fa waqtan bayan karte rahe hain chunanche mahi-ud-din arabi fatuhate makiya main kalam daraz hain con....
@artistdigital :con.. imam mahdi kai zahoor par siwai ulema kai un ka koi khula khula dushman nahi hoga (fatuhate makkiya jild 3 safa 337..nawab sadiq hasan sahab hajul ikrama main farmate hain ulma-e-waqt imam mahdi as ki mukhalfat main hongai us par kufar aur gumrah hona ka fatwa lagaingay aur kahangay kai yah shaks hamare deen aur millat ko tabah karne wala hai (hajul ikrama safa 336) aap kahte hain kai dawa nahi kare ga yah dawa karne par hi to sab khuch ho ga ...
@Luqmanb04 Jb ma na itni ahadith samny rkh di hn tou batoun ki gunjaish nhi bachti!
Imam Baqir(ra) k maqaam sa kisi ko inkaar nhi, lakin her wo hawala jo ahle tash'hee sa ho kr ata ho wo motabir nhi ha, khaas kr her wo hawala jo Sahaba e Karaam(ra) ya Umul Momineen(ra) sa munsalik ho!
Hazrat Ali(ra) na Nahjul Balagha mai khulam khula bayan kiya ha k 99.99% shia murtadeen hn! Agr hawala chahiya tou ma dyskta hn!
(When the sun is wound round and its light is lost and is overthrown, and when the stars fall.) (81:1,2) It has been reported from Ibn Mas`ud that he recited the Ayah as, (وَجُمِعَ بَيْنَ الشَّمْسِ وَالْقَمَرِ) (and the sun and the moon will be joined between each other.) Allah said,
(On that Day man will say:"Where (is the refuge) to flee'') meaning, the human will see these horrors on the Day of Judgement and he will want to flee. ..
@artistdigital : suraj aur chand ko jama karne say pahle allah chand ko garahan ki baat farmata hai "wa kashfal kamar" yahan sarahat sai khasuf ka zikar hai jama sai kya maqsad nikalta hai kya dono ko mila dia jai ga nahi balki chand aur suraj kai kashoof aur kahshof ka zikar hai ..is garahan ko bibal nai bhi "mati bab 24 ayat 29:30"" main zikar kia hai hinduo ki kutab main bhi budh mazhab ki books main bhi ....
@artistdigital : jo aap nai ahadis paish ki hain un main Essa as ka nam istiaran hai nazool sai murad hazrat Essa as haqiqat main nahi nazool ka lafz to sura talaq main hazoor saw kai mutallik bhi aya hai is ka matlab kai hazoor saw asman sai nazil huai hain ?sura alhadid main allah farmata hai hum nai LOHA nazil farmaya ab kya loha asman sai nazil hua hai ?allah ki sunnat hai kai nabi hamaisha hi paida hote hain asman sai koi nahi aaya karta allah ki sunnat kai khilaf hain aap ki tashrih..
@artistdigital :allah ka qanoon hai kai sura ahraf ayat 26 kai issi zamin say tum paida hogay issi main maro gay aur issi sai tum ko nikala jai ga ..sura anbiaayat 35 aur hum nai kisi insan ko tujh sai pahle gair tabai umar nahi bakshi kya agar tu mar jai to woh gair tabai umar tak zinda rahengai. anbia ayat 96aur har basti jis ko hum nai halak kar dia hai us kai mutalik faisla kar dia hai kai us kai basne wale lout kar is dunia main nahi aaingai .CON...
@artistdigital :sura momin 100:101aur us waqt jab un main sai kisi ko mout aa jai gi to kahaiga aaimere rab mujhe wapis louta dai ta kai main us jagah jis ko main chor kar aa gaya hun (dunia)munasib hal amal karo har giz aaisa nahi hoga yah siraf aik munh ki baat hai jisy woh kah rahe hain aur un kai piche aik parda hai us din tak kai woh dubara uthe jai (paas woh dunia ki taraf zinda kar kai loutae nahi jaingay)allah kai kanoon aur kalam kai khilaf un hadiso ki tashrih sahi nahi ....
@artistdigital :hadis pak ko samajhne kai lia quran pak ki madad zaruri hai kiun kai afzal quran hai baad main hadis kiun kai allah kai kalam main tasad na hai aur na hi paida karne ki koshish karni chahia ..hadis ko qurani QASOUTI par parakhna chahia kiun kai hazoor saw ka kalam qurani talim kai aain mutabik hai ullat nahi..to kis tarah ho sakta hai kai allah kai rasool NOUZBILLA allah kai kalam kai ullat baat kare ?? is lia un hadiso ko qurani QASOUTI PAR PARKHE tab faisla kare ..
@artistdigital aur phir agar wo hadis fisi-o-balig kalam nahi istiaran nahi to kahan hai zahri rang main lafz ASMAN aur kis taraf hai allah allah ki koi aik side hai? quran farmata hai "allaho nurossamawate wal aarz"allah noor hai asman aur zamin ka ..us taraf allah hai jis taraf Essa as hain baqi kainaat ?allah ki sifat main shamil karte hain aap log Essa as ko nouzbilla.Essa as insan nahi the kya ?har insan allah kai qanoon sai bandha hua hai .aur us ka qanoon har insan kai sath barabar hai

@artistdigital :::::: baad naya gar kasai painda buday...
abul qasim muhammad zinda buday..
agar koi wajood apni alla sifat ghubiyyo aur alla ikhlaq ki wajah sai zinda rakhe janai kai kabil tha to woh hamare akka-o-mata khatamul anbia rahmatul allamin sarwari konain sayed-o-mola muhammad-e-arabi SAW..(mirza ghulam ahmad maseeh-e-moud mahd-e-moud as)......
@Luqmanb04 Her chez k bech faislay ka aik waqt hota ha! Humaray bech b faislay ka waqt ajayaga! :)
Istarah ki aik ayat phlay b ap na paish ki thi daleel k tor pa k marny waly kbi wapas nhi aty, jis k jawab ma mai na Ambia k hathoun, amr e Rabbi sa mourdoun k zinda hony ka hawala diya tha! :)
Aik general case hota ha or aik specific case hota! Mojzay mai Allah, Qanoon e fitrat ko mowtal kr daity hn! :)
@Luqmanb04 Quran bayshak afzal ha, lakin es ka mtlb ya nhi k insaan apni tafseer bnayay or os ki bina per hadith ko parkhay! :) "Wa At'ti ullaha, Wa Atti ur Rasool"! Isharatan ma naam nhi liya jatay, or phr naam ma'aa walida k naam ko kayi kayi bar dohraaya gya ha!! Sura Ambiya 35 bilkul pori hogi, lakin dobara nazool k bad, jaisay k ahadith wazahat krti hn! Ab nazool k srif aik he matlb nhi! Kitab ka nazool, Lohay ka nazool...! Agr ma b alfaaz ki hair phair krn to barish ka nazool jis ma pani..
@Luqmanb04 ...jis ma pani zameen sa uthaaya jata ha or phr dobara nazool hota ha! Insaan agr Deen ma gumrah hona chahay tou Tafseer bir'Rayay kry, Ahadith ka khud sa mafhoom nikalay, apni marzi k tarjumay kray, jidhr chahy isharatan lay or jidhr chahy laghwi ma'nay lay! Haqq zaahir hai, jo Rujoo kry ikhlaas o Sidq k sth, Haqq batin ha, jo ankhain band kr lay or gumrah rhna chahay! Bara Zaalim ha jo khud per zulam kry logoun ko gumrah kr k! Boht bhari bojh ha!
@artistdigital :mohtaram bhai sahab yah rah-e- farar hai dalil nahi jo aap nai yah farmaya (((Aik general case hota ha or aik specific case hota! Mojzay mai Allah, Qanoon e fitrat ko mowtal kr daity hn! :))) allah kisi fitrat ko nouzbilla muattal nahi karta ..yah nikas ilam ki wajah hai jo aap allah ki sifat main bhi farak kar rahe hain astagfurlla ..KHATAMALLAHO ALA KULUBAI HIM ..IS KAII LAWA KOI JAWAB NAHI AAP KI NA AHLI KA .,.sadakat aap kai samne quran dalil kai tor par rakhi hai ..
This has been flagged as spam show
WOH DEEN BAZM-E-JAHANJIS SAI CHARAGA HUI....
AB IS KI MAJALIS MAIN NA BATTI NA DIA HAI ..(allama hali)
WAZA MAIN TUM HO NASARA TO TAMDDUN MAIN HANOOD
YAH MUSALMAN HAIN JINHAE DAEKH KAR SHARMAY YAHOOD...
YUN TO SAYAD BHI HO MIRZA BHI HO AFGAN BHI HO ...
TUM SABHI KHUCH HO !! BATAO TO MUSALMAN BHI HO?(alama sir mohd Iqbal)
agar aaj bhi haqiqat ko na mane to aaj bhi islam inhi halat sai do char hai ..
har aalim rota hai kai islam ka baira gark hua para hai kiun? yah nahi batate
Luqmanb04 5 months ago 3
c est un menteur cette imam a chaque fois il ns montre des noirs qui sont posseder qu il arrete c est salade c du pure mito arreter monsieur dieu vs voit
NALAH18 5 months ago
sura anbiaayat 34 aur hum nai kisi insan ko tujh sai pahle gair tabai umar nahi bakshi kya agar tu mar jai to woh gair tabai umar tak zinda rahengai.?...haqiqat aap par wazai kar di hai magar aap nai ilam sai kam nahi lia balki tassub sai kam lia hai ..mirza sahab as aur hum ahmadi galat hain yan sahi faisla karna allah ka kam hai insan ka nahi ...na quran na hi hadis pak yah haq insan ko daite hai jo aap kahte aur karte hain yani mukhalfat ...khair allah aap ka har aan hafizo nasir ho AMIN..
Luqmanb04 5 months ago 8
@Luqmanb04 ".....You healed the blind and the leprous by My leave, and revived the dead by My leave. Recall that I protected you from the Children of Israel who wanted to hurt you, despite the profound miracles you had shown them. The disbelievers among them said, 'This is obviously magic." Quran 5:110
Morday qayamat sa phly zinda nhi hty! Ya qanoon e fitrat nhi lakin Isa(as) k hatoun murday zinda kiya khuda na or qanoon e fitrat mo'atal hogya!
artistdigital 5 months ago
@artistdigital(1) nahi mohtaram hazoor saw kai hath sai to murday zinda na huai ? yahan bhi aap galat hain essa as nai jin murdo ko zinda kia kiun na unho nai us waqt jab aap ko salib par charhaya ja raha tha kaha kai nahi nahi yah to sacha nabi hai daikho is nai hum ko zinda kia hai hum to sadiyyon pahle mar chukay the ??han essa as nai ruhani tor par un murda dil insano ko zinda kia jo deene pasti ka shikar the..kiun essa as ko khalqiat main shamil karte ho? khaliq allah hai banda khulq hai.
Luqmanb04 5 months ago
@artistdigital :aap kis tarah ka ilam rakhte hain hairani hai aap kai ilam par ?? insan aur allah main koi farak hai kai nahi ?kulho wallaho ahad allhusomad lam ya lid walm yu lad walam ya kullo hu kofowan ahad"kiun allah ahad hai kiun na yahan wahad ka ilfaz istimal hua??is main bahut bari hikmat hai kai ahad kai baad doyam soyam nahi magar wahad kai baad doyam soyam hai ..wo tamaam sifat aur tarefon wala allah jis kai sharik aap essa as ko thahra rahe hain ?zindagi aur mout ka malik allah hai
Luqmanb04 5 months ago
@artistdigital Or jo Qurani 5:110 khta ha, os k baray ma kya khayal ha? Apki tafseer bir'raayay kya khti ha k Isa(as) na murda diloun ko rohaaniyat sa zinda kiya or andhoun or koriyoun ko thek kiya Allah k hukam sa(yani Rohani :) ), tou es per kufaar na kaha k ya Jadoo ha?? Jadoo kaisy?? >>"Profound Miracles" << Mojzaat!!
artistdigital 5 months ago
@artistdigital ::AUR HAZOOR SAW KI LAI SHARIYYAT KAMIL TOUR PAR UN KAI DILO MAIN BAITH GAI YAH HAQIQAT HAI CHAND KAI 2TUKRAI HONE KA ALLAH KA KALAM MANVI HAI tamseli hai jis ko samjhne kai lia allah ka fazal aur karam hona zaruri hai allah farmata hai ""hudallil muttakeen ""hadayat hai muttakiyyo kai lia hazrat mussa as ka assa marnai kai waqt jawar aai hua tha yani samundar ka pani jab utarta hai bhata yani jab dubara charta hai yah haqiqat hai assa marne ki ........
Luqmanb04 5 months ago
@Luqmanb04 [21:35] Every soul will taste death, after we put you to the test through adversity and prosperity, then to us you ultimately return.
Paishangoi k mutabiq, Isa(as) k dobara nazool k bad wo tabai tor pa wafat payaingy or apni zindagi ma 40 saala aman ka dor daikhaingy! Tou ya ayat kisi tor per naskh nhi hti!
artistdigital 5 months ago
@Luqmanb04 Jis pa fazal na ho or wo smjhy k os pa bara fazal ha, ya fazl e Naqis ha! Ya b Fazl e Naqis ha, jiska Allah k sth rabt mazboot na ho or wo gumrahi ko hidayat samjh baithy. iLm iblees k pas b bht ha!
Mosa(as) ka darya pa lathi marna or darya ma rasta bn'na kya ha? Isa(as) ki paidaish k bary ma kya aqeeda ha Ghulam Ahmad ka?
artistdigital 5 months ago
@Luqmanb04 Hadith Qudsi no 25 feseeh wazahat krti ha Awliyaa Allah k muqaam ki! Ambia or Mursaleen ka maqaam Awliya sa bht barh kr ha! Hadith Qudsi k alfaaz bht wazeh hn!
Muhammad(saw) na murday zinda nhi kiya, darya ma rastay nhi nikalay, lakin chand ko 2 tukray kiya ha or baqi Ambiyaa(as) na aisa nhi kiya! Mojzaat her Nabi ko alag alag milay hn! Ma Qurani hawalay dyskta hn! Mosa(as) ko kya mojzaat milay thay? or Qanoon e fitrat kya khta ha un k baray ma?
artistdigital 5 months ago
@artistdigital:kis kadar iftarah sai kam laete hain aap .allah quran main baishtar mukamat par farnata hai kai main hi murday zinda karta hun. allah kai kalam kai baraks aap kai maine hain. allah ka kalam fasi-o-baleg tamseele hai is kai zahri maine karna allah ki sifte khalkiyat main rakhna hai.yah tamaam tamsile kalam hai zahir par mamool nahi kia ja sakta .hazrat maryam kai pait sai hazrat essa as allah kai ilham sai yani kalam sai paida hua.yah allah ka mojza hai kiun kai allah khaliq hai
Luqmanb04 5 months ago
@Luqmanb04 Krta tou sab kuch Allah he ha, kabi bil'wasta or kabi bilawasta. Mara point ya tha k Allah qanoon e fitrat ko mo'atal krta ha mojzaat ma, jis pa ap na Naozobillah kaha! Ab Isa(as) ki paidaish mai, Mosa(as) ki lathi maar ki darya ma rasta nikalny k waqt Qanoon fitrat kahan gya, or es baray ma qanoon e fitrat kya khta ha?
Jab Allah na Mosa(as) sa kaha k apni lathi darya pa maro, tou wo b Allah ka Kalaam he tha, lakin mojza tha!
?
artistdigital 5 months ago
@artistdigital nahi nahi bhai chand kai 2 tukray hona haqiqat hai magar us lihaz sai nahi jo aap karte hain wo allah kai nizam main rakhna dalta hai .asal haqiqat yah hai kai chand arabo ka nishan tha yani badshaho ka aur allah farmata hai kai chand kai phatne kai sath hi qyamat aa jai gi sa'at ka lafz hai na >kya sa'at aai QYAMAT? sa'at kai aik aur maine hain ruhani inkilab kai sa'at agar nahi aai to quran jhuta magar sa'at aai yani ruhani inkalab. aur dajal shirk un badshaho ka khatam ho gaya
Luqmanb04 5 months ago
@Luqmanb04 Mantaq or daleel khti ha k jb Isa(as) na muday zinda kiya, koriyoun or andhoun ko thek kiya tou Kufaar bolay ya jadoo ha! Ab zara ya daikhty hn k hidayat ma aisa kya tha k Isa(as) pa jadoo ka ilzam laga, kyn k siwaya chand logoun k, Isa(as) ki rah per koi nhi chala or taqreban saray he log khilaf thy, tou es ma kon c aisy bari bat hogyi thi k hidayat ko wo jadoo khny lagy?? :)
artistdigital 5 months ago
@Luqmanb04 :)) Ab zara tareekh daikhty hn k Chand waqi 2 tukry howa tha ya yay b isharatan ha! :)
Chand k 2 tukray honay sa aik tareekh juri ha! India ki sab sa phli masjid es hawalay sa bht aham ha!
Chakarwati Farmas, Malabar ka badshah tha! Wo apni balcony pa khara tha k os na chand ko 2 tukry hty hwy daikha! :) .... Os k baity na India ma sab sa phli masjid bnayi! Agr sahih hawalay chahiyain tou ma dyskta hn! Eska elawa Ahadith or rewayat ma bilkul mojood ha! Wo b chahiya tou dyskta hn!
artistdigital 5 months ago
@artistdigital ;han yah baat zaroor hai kai us ko india main malabaar kai raja nai daikha .dainasor dunia sai kis tarah khatam huai aik zamin main lakir hi to pari the na ?kis wajah sai ? chand kai tukrai girnai sai ..us waqt bhi hazoor saw kai ishara kai waqt bhi allah kai izan sai aik dhuai ka badal jo aaj bhi daikha jata hai adha chand dhak jata hai utha us ki wajah sai india main aur arab main is ko daikha gaya ..allah har cheez par ghalib hai magar akal kai barkhilaf nahi karta .
Luqmanb04 5 months ago
@Luqmanb04 The incident relating to King Chakrawati Farmas is documented in an old manuscript in the India Office Library, London, which has reference number: Arabic, 2807, 152-173.
Cheraman Juma Masjid the first mosque of India.
Built in 629 AD, this is the first mosque in India and the second in the world where Juma prayers were started. ...
artistdigital 5 months ago
@Luqmanb04 Cherman Perumal became Abdullah Sameri and undertook Haj pilgrimage to meet prophet Mohammed at Mecca. On his way back, Sameri died at Zulfar, a coastal town in Yemen, where records show that a grave with the name of Sameri engraved on it still exists.
Han g?
artistdigital 5 months ago
@Luqmanb04 Abu Saeed al Kaudri, regarding the arrival of Cheraman Perumel. "A king from India presented the Messenger of Allah with a bottle of pickle that had ginger in it. The Holy Prophet distributed it among his companions. I also received a piece to eat ". (Hakim reports in 'Al Musthadrak)
artistdigital 5 months ago
@Luqmanb04 Chand k do tukray hna, Sahih Bukhari ma:
Sahih Bukhari 4:56:830, Sahih Bukhari 4:56:831, Sahih Bukhari 4:56:832, Sahih Bukhari 5:58:208, Sahih Bukhari 5:58:209, Sahih Bukhari 5:58:210, Sahih Bukhari 5:58:211.... :)
Or?
artistdigital 5 months ago
@artistdigital :yah sabhi bate sahi hain indian Raja ka bayan pahli masjid india main etc magar us baat ko usi tarah mano jo allah ki mansha hai kiun apni chalate hain phir aik baat our kiun na yah chand kai 2 tukray hona puri dunia main daikha gaya kiun siraf india main hi ??
kiun kai woh ghubar ja aaj bhi chand par uthta rahta hai us waqt chand sec kai lia utha aur khatam ho gaya..
warna chand main aai badlaw ko aaj tak ki tac kiun na pakar saki....... kiun kai woh aik ghubar ttha gard ka
Luqmanb04 5 months ago
@Luqmanb04 Hoskta bht jaga daikha gya ho or or b bht rewayat ma mehfooz ho or bht sary mehfooz na kr sky hn! Ghubaar uthna koi mojza nhi! Waisy ya ghubaar uthny wali tafseer kahan sa li gyi ha or Islami rewayat ma aisi koi bat payi jati ha? :)
Chand k tukry hona tou phr b daikha gya lakin ghubaar ka koi hawala kahein mojood nhi! Or mantaq ya khta ha ghubaar uthny ko koi kisi sorat pa Jadoo nhi khyga or na he esy tukry hny sa tashbeeh di jaya gi!
artistdigital 5 months ago
@artistdigital :yah koi mamoli baat hai kai us ko mahfooz na kia gaya ho??
hazaro saal kai mamle mahfooz hain magar yah nahi yah kayse ho sakta hai ?
asal haqiqat hi woh hai jo mene bayan ki warna suraj chan ka apna apna kam hai allah kai hukum aur us kai izan sai wo kam karte rahte hain kabhi koi rakhna nahi aaya ...
chand ka haqiqat main 2 tukray hona koi mamoli baat nahi nizam-e-kamare tahas nahas ho jai ga aap kai kisso kahaniyyo ki wajah sai !!!
Luqmanb04 5 months ago
@Luqmanb04 Mai na hawalay diya hn jahan mehfooz kiya gya ha! Baqaya tehqeeq ki zrorat ha!
Abi apny hawaly paish krain, nhi tou apki tafsir bilkul qayas arai ha or kuch nhi!
Ya sb kuch jo qaim ha, ya Amr e Rab'bi sa qaim ha or jis Rab na es nizam ko qaim rkhny k liya jo mayaar rkha ha wo kisi dosry tareeqy sa b esko qaim rkh skta ha, jaisa k Isa(as) ki paidaish!
Ya daleel k nizam tahas nahas hojayaga, Allah ki sift "Qaadir" sa inhiraaf ha jo bazate khud kufr ha!
artistdigital 5 months ago
@Luqmanb04 bay tuki or baybunyaad batain krha ha ya bnda! :) Kam ilm or sadaa logoun ko, ya phr Allah ki qowat pa bay emaan logoun ko ghairny ki koshish krha ha! Jo rewayat ma na paish ki hn, es admi ki her bat sa afzal ha! Ya bat kry ya na kry barabar ha!
artistdigital 5 months ago
@artistdigital :chand kai do tukray hona aik paishan goi the.arab walo ka nishan chand tha do tukre hone ka matlab hai kai un ki hukumat khatam ho gai aur hazoor saw ki lai shariyat kai samne woh nahi tik pae.
un ka zawal aur islam ka aruj.yah asal hikmat hai.
magar aap kisso main hi jina chahte hain to koi baat nahi aap ki marzi waisy kisso ki islam main koi jagah nahi..pahle komo kai zawal ki wajah yahi the yani yahudiyyo kai paas issaeyyo kai paas majusiyyo kai paas bahut kissy the
Luqmanb04 5 months ago
@artistdigital :chand kai do tukray hona aik paishan goi the.arab walo ka nishan chand tha do tukre hone ka matlab hai kai un ki hukumat khatam ho gai aur hazoor saw ki lai shariyat kai samne woh nahi tik pae.
un ka zawal aur islam ka aruj.yah asal hikmat hai.
magar aap kisso main hi jina chahte hain to koi baat nahi aap ki marzi waisy kisso ki islam main koi jagah nahi..pahle komo kai zawal ki wajah yahi the yani yahudiyyo kai paas issaeyyo kai paas majusiyyo kai paas bahut kissy the
Luqmanb04 5 months ago
@Luqmanb04 Qissoun or tarikh ma farq ha! Ma na daleel sa bat ki ha or daleel pa mabni jawab chahta hn! Khud sa koi kuch b keh skta ha! Jitny moun utni batain! :) Jis ki jo mrzi ha bolta rhyga! Khud sa aisi tafseer koi b kahein b nikaal skta ha, es ma koi msla he nhi! Misaal k tor pa: "Ababeel kbi b nhi ayay, kyn k Arab b lrty agr abraha ata! Arab kbi b itny baighairat nhi thy k larai sa bhagtay!" Ya b aik tafseer ha per Kufria ha! :))
artistdigital 5 months ago
@artistdigital aap ki bat say hasil kya hua ? yani is mojza sai kitne is mojza kai baat islam main dakhil huai kitno nai hazoor saw ki risalat ko mana ? sare tarekhe islam hadis-e-nabvi saw daikh lain kisi nai is mojza kai baad raisalat mab saw ki haqaniyat ko mana.. indian raja kai musalman hone ki baat chor kar aik bhi aaisi shadat nahi milte..
mojzat ka talluk nabi ki amad sai roshnaz karwana hota hai ".jaa al haqqo wazah kal batil innal batila kana zahuka" ki misal hain rasool-e-arabi saw.
Luqmanb04 5 months ago
@Luqmanb04 Lughat ma bht mtlb hty hn lakin tafsir k liya siyaaq o sabaaq ko daikha jata ha! Jo kufria tafsir ma na ki ha, kya wo ghalat ha? Agr koi kaam he apni tafsir bnany ka kry tou kuch b keh skta ha, jaisa k ma na kaha k ya koi mushkil kam nhi ha! Ma apni daleel ko Qur'an o Sunnah k mutabiq isliya khta hn kyn k ma na Qur'an o Sunnah k mustanid hawaly diya hn, na k tafsir bir'raayay ki ha! Ma na sth juri tarikh ka hawala b diya ha or os tarikh sa jura Islami hawala b diya ha, jo kafi ha!
artistdigital 5 months ago
@Luqmanb04 Ab krty hn bat k Quran k nazool ki zarorat kyn pari! Torat sirf Bani Israel ko mukhatib krti ha! Torat sirf Bani Israel tak mehdood ha, tabhi Yahood dosri qomoun ko tableegh nhi krty! Tableegh tou dor ki bat, agr koi yahood k pas jayay or kahay k os na yahoodi ban'na ha tou Yahood osy 3 bar jhutlaaty hn, agr phr b bazid ho tou shamil kr laity hn! Injeel Torat ki shariat ki tayeed krti ha, or Touheed ka paigham b daiti ha, lakin es ma bari tabdeelian ki gyi hn or khud ko Ahle ...
artistdigital 5 months ago
@Luqmanb04 ...khud ko Ahle Injeel khny walay bunyadi paigham sa he bhatak gyay hn! Agr mojooda Injeel parhi jaya tou sabit ho k Injeel b ghair Yahood(Gentiles) ko Tableegh sa mana krti ha! Jo ghair yahood ko tableegh wali bat ha, wo Paul(Saul) ki bat ha, jo khta ha k os per wahi ayi ha k baqiyoun ko b tableegh kro or wo sb kufria batain b osi ki shamil ki hwi hn jo Isaae b mantay hn k ya lafz Paul k hn! Ma hawalay dy skta hn!
artistdigital 5 months ago
@Luqmanb04 Qur'an ka paigham tamam insaaniat k liya ha or Qurani Shariyat her dor k liya ha! Tamam insaniyat ko hidayat ki zrorat thi, or mustakil nafarmanoun ki waja sa Yahood ka gharoor khak ma milana maqsood tha, jo khty hn k hum chuny howay log hn, jo marzi ha karin!
Ab ya daikhty hn k mojzay kyn milty hn Ambiya ko or es sa kya maqsood hota ha! Jitny b sachy Nabi guzray hn, un sab ko Allah ki taraf sa mojzy milay, ta k wo log jo tehqeeq krna chahain k Nabi sacha ha ya jhota unhain...
artistdigital 5 months ago
@Luqmanb04 ...Nabi sacha ha ya jhota, unhay daleel mil sky! Bawajood Mojzoun k, Qomoun na Ambiya ko thukraya, lakin mojzay phr b hty rhy, Rab na apni Qowat k izhar ma koi jhijhak rawa na rakhi, kyn k ya Rab k liya kuch mushkil na tha! Mojza Rab ki taraf sa nishani hti thi! Nabi(saw) ko Quran sab sa bara mojza mila, lakin or b bht mojzy howay un k hathoun sa, jaisy k musht e khat ka mojza, Ontni ka mojza, Abu Jahal ko bayjan chezoun ki shahadat k mojza, naiz 2000 approz mojzy ahadith ki kutb ...
artistdigital 5 months ago
@Luqmanb04 ...ahadith ki kutb ma mehfooz hn! Agr koi nabowat ka dawa kry or Rab ki taraf sa koi nishani na dikha sakay tou wo Nabi nhi Kaazib ha! Jab shariyat mukamal ho chuki, Nabowat o Risalat pa khatmay ki mohr lag gyi! Ab kisi Nabi ki tableegh ki zarorat nhi rhi, or na he kisi nayay saheefay ki! Abu Jahal sab manta tha lakin munkar tha! Kafir mara! Mojzat ka taluq qat'an Nabi ki amad sa roshanaz krwana nhi hta, balky Nabi ki sachai ki daleel hti ha, jo Nabi ki hatoun hota ha!
artistdigital 5 months ago 2
@Luqmanb04 Ab zara Shaq ul Qamar k phlo daikhty hn! i) Wo Sahaba Karam(ra) jo Nabi(saw) k sth thy, un ki taleef e Qabli howi es sa, or nayi Nabowat thi, tou agr un k dil kuch thora shak o gumaan b hta, ya mojza wo dor krny k liya bht tha! ii) Malabar ma bar e sagheer ki phli masjid ki bunyaad pari or pata nhi kitnay he logoun na Islam qabool kiya! Malabar k Muslamaanoun na Araboun ka sath diya, jis sa Hind ma Islam k or darwazay khul gayay! iii) Mazeed rewayat mehfooz hogyein k Shaq ul Qmr hq ha
artistdigital 5 months ago
@artistdigital : main aap ki har baat sai muttafiq hun magar mojzat ka siraf aik hi maksad nahi hota balki nabi ki zindagi kai kam aur us kai dawa-e-nabuwat kai baad ki zindagi kai halat bhi us sai munsalik hote hain ..yahi waja hai kai hazoor saw kai dawa-e-nabuwat kai baad un tamaam halat ka aks milta hai ..
us mojza kai baad kisi nai islam main shamuliyat nahi ki nahi jange badar kai baad "wama rameta is ramaita wala kinalaha rama"wale waqya kai baad ..asal haqiqat ko samjhe bhai ...
Luqmanb04 5 months ago
@Luqmanb04 "Baqi sab kahaniyan hn" > Kon kehta ha?
Tarikh or kahani ma tou phr koi farq he na hoa na! Tarikh b kahani ha! Krny wala sab Allah he ha, jaisa k oper di gayi video ma banda khud kuch nhi krha, Allah krha ha or Allah k kalam ki taseer he kaam krhi ha! Baat ma na boht saaf tor sa bayan ki ha! Main na pehly b kaha k bat saaf zahir ha! Isiliya ma behas nhi krha tha!
artistdigital 5 months ago
This has been flagged as spam show
@artistdigital Baqi sab kahaniyan hn" > Kon kehta ha? quran pak farmata hai maine aap kai samne do qurani ayat ki dalile rakhe us kai hisab sai jawab dain ..
bahas ki baat nahi iman ki baat hai ..aur is vedio main jo ho raha hai sara sar jhut hai main kai is tarah kai babaw sai mil chuka hun khuch haqiqat nahi un kai paas ..
un ko dawe sai kahta hun kai mujh par kuch kar kai dikho hath jorte hain kai luqman yaar kamai karne do rote rozi ka sawal hai ..allah ki kasam yah vedio jhute hai ..
Luqmanb04 5 months ago 6
@artistdigital (1)"wama rameta is ramaita wala kinalaha rama" 8:17aur 48:10.. pahli ayat main allah farmata hai .muhammad saw jab tunai un ki taraf (kankar) phainkae tunae nahi phankai balki allah hai jis nai phankae ..dusre ayat main allah farmata hai ..yaqinan jo log tere bait karte hain woh allah hi ki bait karte hain allah ka hath hai jo un kai hath par hai ..CON
Luqmanb04 5 months ago
@artistdigital :gour talab baat yah hai kai..kankar phaikne wala allah tha yan muhammad saw ...neez bai'at laine wale muhammad saw the yan allah ta'lla ..isi tarah us mojze ka hikmat sai bharpur maine hain ..baqi sab kahaniyyan hain gair mazhab walo ki tarah ..ramayan main hai kai hanuman nai pahar hi utha kar ram kai samne la rakha ..aur rawan kai 10 ser the ...etc
Luqmanb04 5 months ago
@artistdigital : aap ki dalil main wazan tab mana jai ga jab islam ki haqaneyat zahir hote ho ..is tarah kai kissay quran main nahi quran ka nazil hona in sab ko batil thahrana hi hai ..warna allah ki wahdaniyat to tourat ..anjeel .zabur bhi bayan karte the kya zarurat the quran kai nazool ki ?kiun kai un ahle ktab nai us main bhi apni marzi ki bate shumar kar di the jinka rad karna lazmi tha ..ta kai kahaniyyo kai khuda ka asal chahra sai insan sarfaraz ho .......
Luqmanb04 5 months ago
@artistdigital : dalil nahi mantaki bahas hai aap apni dalil ko quran sunna kai mutabik kahte hain aur mere dalil ko nakis yah kis tarah hosakta hai kai ilmo marfat ki baat ko kisso ki zuban sai sahi thahraya jai ?
arabi lugat ki kitabo main daikhe saa'at kai maine ruhani inkilab kai bhi hain is ka matlab saf hai kai allah ki hikmat yahi the kai paishangoi kai zaria un ko samjha dia jai kai tumhara zawaal mukarrar ho chuka ..allah ka kalam manve hai tamseele hai. aur quran kai kai batan hain
Luqmanb04 5 months ago
@Luqmanb04 iLm e Marfat ma Allah(swt) ki Rahmat o Haibat Mard e Kamil pa Zahir hjati ha or wo koi aisi bat kr he nhi skta jo Asma ul Husnaa k Mukhalif ho, kyn k Ahle Ma'arfat Mushahida e Haqq kr laita ha or Rahmat ma ajata ha! Phr Allah(swt) aik mukamal mard e kamil ki Rooh b osi jaga qabz krta ha jo baesay sharam na ho! Hadith Qudsi 25 aisy mard e kamil he k baray ma ha! iLm e Marfat, Ahle Tassawaf na bht achi tarah define kiya ha!
artistdigital 5 months ago
do hi logo ko hazoor saw nai salam kaha hai aik owais karni ra ko aur imam mahdi as ko hum jante hain kai mirza sahab as wohi allah kai rasool saw ki hadis kai mutabik mahdi as hain jin kai bara main hadis hai kai woh jab aaiga to ramzan kai mahina main us ki mukarar karda tarikho ki darmayani tarikho ko suraj aur chan ko garahan lagai ga (sahi bukhari) aur yah nishan aur kisi kai lia nahi hua 1894 main yah zahir ho chuka.
Luqmanb04 5 months ago
il a reussit a le faire sortir ?
maleek68 6 months ago
@maleek68 à faire ressortir ce??
artistdigital 5 months ago
@artistdigital ce djinn
maleek68 5 months ago
Very sweet accent of the recital! Mashallah!
artistdigital 7 months ago
islam ki talim yah nahi the ...
islam main yah tarika nahi hai
islam nahi hai yah ..
quraan pak ki pakiza talim kai sath khilwar hai
hazoor saw khatamul anbia nai sahi farmaya tha ..
LA YABKA MINAL ISLAME ILLA ISMOUHU ...
LAYABKA MINAL QURANE ILLA RASMOUHU ...
ALLAH KA LAKH LAKH FAZAL AUR KARAM HAI KAI MUJH KO AHMADI GHARANE MAIN PAIDA KIA JIS KI WAJAH SAI QURAAN PAK KI HAQIQI TALIM AUR HAZOOR SAW PAR CHALNAE KI TALIM MILE ..ALHAMDOLILLAH ..
ALLAH IN KO BHI HADAYAT DAI ..AMEEN.....
Luqmanb04 7 months ago 14
@Luqmanb04 Islam ki taleem ya thi k india mai qadyan sa aik nabi ayay ga or wo Maseeh b hoga or mehdi b or wo btayga k jin nhi hoty or jihad nhi hota or bartania k khilaf tou bilkul b nhi hota, or baqi logoun per Allah(swt) ka fazal nhi tha jo Ghulam Ahmadi gharany mai paida nhi howy, khwa wo Ashaab e Nabi(saw) he kyn na houn!
Saray parhay Hazrat Muhammad Khatim ul Ambiyaa wal Mursaleen Salalaahu Alaihi Wasalm!
artistdigital 7 months ago
@artistdigital ;jee sahab ..kya aap nai kabhi socha hai kai kiun walayat ka silsila jo 1000 saal sai arab main tha hindustan main muntakil hua ??
mujaddadiyyat ka silsila ilmon fan ka silsila kiun hindustan main muntakil hua ??
aur gazwae hind wale hadis .yani yahi hindustan hai jahan sai phir islam ko taraki milni the tabhi to hazoor saw nai is gazwae hind wale hadis farmae ..
yahi woh khita-e-araz tha jis kai lia kuch khas tha tabhi to imam mahdi as ka zahoor qadian main hua ..
Luqmanb04 7 months ago
@artistdigital :(2) aur hadis pak saw kai mutabik imam mahdi aur issa as koi do wajood nahi allah kai rasool saw farmate hain ""lan mahdio illa issa "" mahdi as hi issa as hain ..
aur quran pak main hazrat issa as ki wafat ka khula khula zikr hai ."falamma tawffetani kunta anta rakiba alaihim "sura maida ayat 117:118..
koi wafat kai baad wapis is jahan main nahi aat ..
gairat ki jaa hai kai issa hon zinda asman par ..
madfoon ho zamin main shah-e-jahan(saw) hamara ...
Luqmanb04 7 months ago
@Luqmanb04 Wafaat ka koi tassawar kisi riwayat ya taleem mai nhi mila, na he kisi dour mai Ummah ka es bat pa ijmah raha hai. Tafseer bir Raayay Kufr hai, es per hamisha say ijmah raha hai!
Esa(as) na murdoun ko zinda kiya! Kon khta hai nhi ata! Jb Rub ka hukam hota hai, sb aata hai! Or Aik din ya daleel b pori hojayaygi or Ghulam Ahmadi aisy he kahain gy jaisy ya video daikh kr khty hain!
artistdigital 7 months ago
@artistdigital : agar wafat ka tassuwar nahi mila to batae kai kis tarah asman par jana maan lia aap nai ? sura al imran main allah farmata hai ""ya issa inni mutwafika wa rafioka illyya .." is main pahlai wafat hai baad main rafa hai AAP RAFA KAI LAFZ SAI UTHA LAINAI KAI MAINA KARTE HAIN JAB KAI YAHAN RAFA RUHANI HAI NA KAI JISMANI ..
AUR ALLAH KIS SIMT (TARAF) HAI ?
jidhar hazrat issa as ko lai gaya ?aur jo aap kahte hain kai allah kadir hai to mirza sahab as ko nabi banane main kadir nahi ?
Luqmanb04 7 months ago
@Luqmanb04 Hazrat Muhammad(saw) ki Nabowat or Risalat ko tamaam Nabowat or Risalat per Muhr bna k laga dia! Agr kisi or Nabi k anay ki koi daleel hoti tou jo log Nabi(saw) k sth thy, un mai aisa koi tasawar paya jata, ya ummah mai aisa Ijmah lazmi paya jata! Lakin jb b kisi na Nabowat o Risalat ka dawa kiya, Abhaab(ra) na Jihad ka direct elaan kiya!
Asmaan per Uthayay janay ka Ijmah Ummah mai her dour mai rha hai Os bandy ki roohani or jismani dalel mazaq hai jo Shaitan or Jin k wajud ka ...
artistdigital 7 months ago
@artistdigital :aap ki baat manta hun kai nabuwat khatam, to hazrat issa as jin ko quran farmata hai "rasoolan alla bani israial" kiun aaingae ?hazrat issa as kai aanai sai mohre nabuwat nahi tutte kya ?baad main aanai wala khatam hoga yan hazoor saw khatam hongay ??aur phir quran sai "rasolan alla bani israil wale ayat nikal daingai kya ?
khatam AFZALIYAT KAI LIA HOTA HAI khatam kai lia nahi .
Luqmanb04 7 months ago
@Luqmanb04 Mai jawab daita hon na!
Esa(as) Ummati k tour per ayaingy, Nabi ya Rasool k tour pay nhi, or esi daleel ko qaim krny k liya wo Mahdi(ra) k pechy Namaz parhain gy! Khatam koi afzaliat mafzaliat k liya nhi hota! Kon c tafsir ha ya? Kis riwayat mai hai?
Khaatim ka matlab "Seal", "Mohar Band". Agr es k or matlb nikalty tou Ashaab(ra) Jihad na krty kaazibeen k khilaf.
Sura 3, ki ayat 144 or 145 ko mila k parhta hon or bata hon k ya kya khti hai!
artistdigital 7 months ago
@artistdigital.وَمَن يُطِعِ ٱللَّهَ وَٱلرَّسُولَ فَأُوْلَـٰٓٮِٕكَ مَعَ ٱلَّذِينَ أَنۡعَمَ ٱللَّهُ عَلَيۡہِم مِّنَ ٱلنَّبِيِّـۧنَ وَٱلصِّدِّيقِينَ وَٱلشُّہَدَآءِ وَٱلصَّـٰلِحِينَۚ وَحَسُنَ أُوْلَـٰٓٮِٕكَ رَفِيقً۬ا
اور جو بھی اللہ کی اور اِس رسول کی اطاعت کرے تو یہی وہ لوگ ہیں جو اُن لوگوں کے ساتھ ہوں گے جن پر اللہ نے انعام کیا ہے (یعنی) نبیوں میں سے، صدیقوں میں سے، شہیدوں میں سے اور صالحین میں سے۔ اور یہ بہت ہی اچھے ساتھی ہیں
Luqmanb04 7 months ago
@Luqmanb04 O Bhai, Sura Ali Imran, 144 or 145 sa ya matlb Ghulam Ahmad he nikal skta hai. :)
Kon c Tafsir sa daikhain es ko?? Agr Allah na Esa(as) ko Zinda uthaa liya to wo dunya pa na rahy naa??? Or es mai es bat pa zor diya he nhi gaya! Es tary tou Arboun paighambar ayaingy! Her banda apni tafsir pakar k layayga!
artistdigital 7 months ago
@artistdigital :bhai mere tamaam tafsir aap kai ulema ki hi parhe hain jamaat ki tafseer ki to baat hi nahi ki ..
mohar afzaliyat kai lia hi to hai na jis tarah kahte hain khatamul aulia ..khatamul muhaddaiseen ..khatamul itabba ..khatamul masjid ..etc etc .aur aap kahte hain khatam karnai wala hum kahte hain afzal saab sai bahtar .tamaam nabiyyo ki mohar-e-tasdeeq .
144 main kya hai zara parh kar batana ..
jazakallah ..
Luqmanb04 7 months ago
@Luqmanb04 Jab tafsir ki baat he nhi ki tou Quran kon samjhayay ga? Ghulam Ahmad? Kis ayat ka kya pas e manzar hai or kis hadith k pechay kya muharikaat hain, kon batayay ga? Ghulam Ahmad?
Sab sa phly tou hamain ya daikhna hoga na k ya Ghulam Ahmad hai kon, or os k pas kya sanad ha or os ki zindagi ki tamaam tareekh parhni hogi naa? Phr discussion k liya ya daikhna hoga k akhir kon sa mayaar rakha jayay jis ki bina per janchaa jayay?
artistdigital 7 months ago
@Luqmanb04 Kon c tafsir mai hai k Esa(as) Zameen per he hain? Kon c tafsir mai hai k Esa(as) fout hogyay hain ya unhain Naozbillah, qatl kr diya gya hai? Kis dour mai aisi kisi bat per ijmah raha hai? Kis tafseer mai hai k Jin or Shaitan or Insan aik chez k naam hain? Kis dour mai aisi kisi bat per ijmah e ummah raha hai! Ghulam Ahmad nai jo kaha hai wo batain mojoud hain na os k followers mai? Ijmah hai un batoun pa na? Mai Qadyaniyoun mai firqay nikaloun?
artistdigital 7 months ago
@artistdigital :aap mujh ko quran paak ki wo ayat batadai jis sai sabit ho kai issa as zinda bamain jismae ansare ASMAN par moujud hain ..wazai rahe kai us ayat main lafz ASMAN ho ..
warna RAFA kai maine siraf darjat bulande kai lia hote hain na kai jism samait asman par lai jane kai >>
woh ayat woh hadis batae jis sai sabit ho kai lafz ASMAN sarahat kai sath moujud hai ..??
mirza sahab ki tafsser paish karoga to aap kahte hain kai yah galat hai is lia aap kai ulema sai istambat karta hun ..
Luqmanb04 7 months ago
@artistdigital aur aab koi nabi nahi jo hazoor saw kai deen ko khatam karnai wala ho .
na hi koi nabi shariyyat-e-muhammadi saw ko khatam karnai wala ho ga ..
han aa sakta hai to ummate nabi> hazrat issa as ummate nahi 'rasolan alla bani israil hain ..
koi nabi bhi aai ga to ummate muhammadiyya main sai hazoor saw ka tabai nabi ..
sura nisa ki ayat ka misdak 'wamainuttiallaho wale ayat kai tabai aap ko abhi arsal karta hun urdu main is ayat ko ...
Luqmanb04 7 months ago
@Luqmanb04 Hazrat Isa(as) Rasoolan bani Israel thy! Bani Israel nai unhay reject kiya! Ab Isa(as) Nabi ban kr nhi ayaingy! Mehdi(ra) Nabi nhi hongy or Isa(as) un k pechy namaz parh kr es bat ki daleel qaim kraingy k wo Nabi k haisiat sa nhi balki Muhammad(saw) k ummati ki haisiyat sa ayay hain! Wo apni Zindagi mai Dajaal ka khatma karingy or Zameen per unki Zindagi mai 40 saala aman qaim hoga! Mahdi(ra) Khurasaan k lashkar k leader houngy or Ghazwa e hind mai Jihad kringy!
artistdigital 7 months ago
@artistdigital : (1)to phir issa as ki kya galte hai kai un ko un ki nabuwat sai hata kar siraf ummate bana kar bhaija jai ..
quran to farmata hai "khaleduna fiha "jannat hamesha rahnai ki jagah hai kisiko nikala nahi jai ga aap bila wajah issa as ko jannat sai nikal rahe hain .
dua to hazrat mussa as nai ki the kai ummate muhammadiyya main nabi nahi to ummate hi bana kar bhaij ..allah nai inkar kar dia aap pahle aa chukai ho .
hazrat issa as nai to koi dua nahi ki .con
Luqmanb04 7 months ago
@artistdigital :(2) agar koi koum nabi ka inkar kare to kya allah us ki nabuwat ko raad kar daita hay ??
har nabi nai apni kom ko paigame haq dia mannana na manna un kam hai nabi ki nabuwat par farak nahi aata ..
sahi muslim ki hadis kitabul fitan safa 460 main saw farmate hain aanai wala nabi ullah ho ga us kai ashab bhi hongay ..to hum thora hi mirza sahab as ko khud nabi bana rahe hain balki hazoor saw khud is ka faisla farma chukai hai 1432 saal pahle ..
Luqmanb04 7 months ago
@Luqmanb04 1432 saal phly, ya os k bad aj tak koi aisa faisla nhi howa!
Isa(as) ka maqaam Nabi wala hamaisha rahayga, lakin jb wo ayain gy tou Nabi k haisiat sa nhi! Deen mukamal hogya Hijjat ul Wida k moqay pa! Ab Mahdi(ra) Khorasan sa uthny waly laskhar ko lead kraingy or Musalman khob nuqsaan uthayaingy or utha rhaingy jb Isa(as) ka Nazool hoga or wo Dajjal ko khatim kringy or apni zindagi mai 40 sala aman ka dour daikhaingy, or Islam mukamal tour par Ghalib hoga!
artistdigital 7 months ago
@artistdigital yah haqiqat hai kai deen mukammal ho gaya ..to phir khilafate rashda ki kya zarurat the ? aaj musalman hazrat issa as ki aamad kai kiun muntazir hai ?
khurasan sai uthnai wala lashkar talwaro wala nahi ho ga balki woh ruhani lashkar hoga ..jo islam ki tabligh kai lia uthega ..taraki kai lia uthega woh imam mahdi as kai sath hoga ..
hazoor saw ko allah nai kai moujazat sai nawaza magar is tarah ka moujza nahi dikhaya kai 23 saal main islam dunia ka mazhab ho jata issa as 40 saal !
Luqmanb04 7 months ago
@Luqmanb04 :) Khilafat Rashda political chez hai! Aj hai koi Khilafat e Rashda? Tou Islam b nhi hai?
Tableegh k liya Ghulam Ahmad ki zarorat nhi ha! Tableegh k liya aik dunya her zamany mai kam krti ayi hai! Aj b Tableeghi jumaat ki tadaad mai sari qadyani gum hojayin! :)
Ya os dour ki paishgoyiyan hain jis mai mojzat aam hojayaingy! Faislay k waqt ki bat hai! Jis tarah ya jinn ki hazri ki video oper hai na, es sa croroun guna barh k, zahir mai aisy mojzy hongy jo aqal ko paidal kr dngy!
artistdigital 7 months ago
@Luqmanb04 Imam Mahdi(ra) ka zahoor or unki dajjal k khilaaf uthny walay khurasani lashkar ki sipa saalari, or Dajjal sa jang, akhri waqt ki nishaniyoun mai sa hai! Or 40 saala Aman k waqt mai sa Imam Mahdi(ra) b wo waqt daikhaingy! Kyn k Dajjal jab pory zor mai hoga or Imam Mahdi(ra) k lashkar lar rha hoga tou Isa(as) ka zahoor hoga, jin ki saans sa Dajjal halaaq hojayayga!
Isa(as) k zahoor ki jaga per b mustanid asnaad mojoud hain!
artistdigital 7 months ago
@artistdigital bilkul sahi mahdi as ka lashkar lar raha hoga dajjal ki fooj kai sath dajjal kon hai ? kya yah issae kom nahi jo aaj islam ko nauzubilla nabood karnai kai darpae hai ? aur jab mirza sahab as nai dawa kia tab musalman islam ko chor kar isseyat main shamil nahi ho rahe the aur aaj bhi kahte hain kai sacha deen us ka jis ka nabi zinda jis main aaj ka musalman un kai sath kande sai kandha mila kar chalta hain siraf ahmadi musalman kahte hain kai hamara nabi saw ruhani tour par zinda
Luqmanb04 7 months ago
@Luqmanb04 :) Conversions her dour mai hotein hai! Apny Sheikh saab ko daikh lain! Unhoun na tehqeeq ki or aj apni tehqeeq dunya ko bata rhy hain! Dajjal ka symbol, 1 ankh! Aik hath mai roti aik mai talwaar, Israel ki saltanat ko Saudi Arab tk phailayayga lakin Makkah or Medina mai dakhil nhi hosky ga! Zameen sa kahayga, khol apny khazaany or zameen apny khazaany khol dyga! Mousam b os k tabeh hoga! Mashaikh khty hn k ya aik system b hskta ha or aik skhs b, jo khudai k dawa kryga!
artistdigital 7 months ago
@artistdigital shaikh sahab nai koi tahkiq nahi ki balki un ka gussa hai kiun unho nai mujh ko block kia is lai kai main mirza sahab ki tahreero ko sahi sabit karta tha ..tang aa gai the mujh sai .raha dajjal ka mamla to yah saab khuc ho chuka hai aaj issae kom roteyon kai pahar lai kar pakistan ko khared rahe hain arab bhi gulam hai us ka .kiun na sari muslim hakumato nai aik ho kar saddam hussain ki shadat ko galt kaha kiun pakistan bhek mangta hai us sai khud kafil kiun nahi hota ?
Luqmanb04 7 months ago
@Luqmanb04 Nahi bhaijan! Abi sab nhi howa! Mahdi(ra) sa Ka'aby k andar logoun na bait nhi ki, Abi Khursan mai kali pagri waloun k lashkar ki sarparasti Mahdi(ra) na nhi ki, abi Isa(as) nai Dajjal ko Khatam nhi kea or apni zindagi mai 40 saala Aman qaim nhi kea! Dajjal ka system achuka hai, or ab baqi paishangoyiyoun k intezar hai!
artistdigital 7 months ago
@Luqmanb04 Tm log Dajjal k sath hogy or Munkary Imam Mahdi(ra) or Munkar e Isa(AS) hogy! :)
Mry pas itny hawalay hain k ap sheikh saab ko bhol jayaingy! Main na kaha na k sirf Jinnat o Shiateen wali baat pa mai Ghulam Ahmad ko taa Qayamat rad krta hon, or Allah(swt) ko es per Gawah banata hn! :)
artistdigital 7 months ago
@artistdigital(1)pyare bhai jab koi jawab nahi hota to aap log yahi kam karte hain kai mirza sahab kogaliyyan daite hain ..maion allah ko gawah kar kai kahta hun kai aap koi ilzam sabit hi nahi kar sakte ,,
sireaf aap kai ulema nai jo gande books likhe hain un ko samnai rakhte ho warna mirza sahab kai waqt kai aalimo ki tahreero ko parh kar daikhe mirza sahab ki books ko parh kar daikhe baat wazai ho jai gi .inshaallah ..rahe baat dajjal ki to mere bhai un ka sath aap daite hain CONTI>>
Luqmanb04 7 months ago
@Luqmanb04 Agr abujahal rad krta tha Nabi(saw) ko tou eska mtlb ya nhi ha k muslima kazab ya Ghulam Ahmad k pechy chalna farz hogya ha! Ma na kaha na k osy rad krny k liya, mry liya os ki jin or shaitan ki definition he kafi ha! Mai na idhr Shahadat di ha or Allah(swt) ko os pa gawah banaya hai!! Nabowat or Risalat Nabi(saw) per Khatm ha or es ka munkar Islam ka munkar ha!
artistdigital 6 months ago
@artistdigital :hamara mazhab hai"" lailla ha illalla muhammadur rasululla""is kai ilawa jo aap ilzamat daite hain baibunyad hain issai aur yahuddi hazoor saw ki baist kai waqt kya kahte the yahi na kai hamare paas to kitab hai nabi hai hum tere( saw )kai khuda ko kiu mane ..rasool-e-arabi saw kai rad main woh loog hazrat aaisha ra ko bhi ilzam ka shikar banate the hazoor saw ko bhi naouzubilla jaddugar shar aur janai kya kya elzamat daite the..kya hazoor saw ki shan azmat risalat rad hui?
Luqmanb04 6 months ago
@Luqmanb04 :) Gohar Shahi ka naam suna ha? Wo b Mahdi hai! Kya khayal ha, os k pechy jain? Wo en points pa zyada pora utarta ha! Gohar Shahi tou Mahdi hony k daway krta howa b nhi phira! Wo tou os 1 bat pa pora utarta ha k Mahdi(ra), Mahdi hony ka dawa nhi kringy, blky log unhain pehchanain gy or ba zid ho k baid kringy! Ghulam Ahmad sa ziada Haqq Gohar Shahi ka nhi ha?
Os per Emaan lay ana? Kis jaga likha ha ya? Hawala? :)
artistdigital 6 months ago
@artistdigital :(1)gohar shai nai kabhi hazoor saw ki rawayat kai mutabik imam mahdi honai ka dawa nahi kia na hi quran pak ki pakiza talim kai mutabik baat ki hai un ka dawa siraf sufiat ki talim kai mutabik tasawwuf ki talim par mabni hai .
phir gohar sahab kai lia allah talla nai woh nishan nahi zahir kia jis kai bara main hazoor saw nai farmaya tha .
yani ramzan kai mahina main suraj aur chand ko un ki mukarrara tarikh main sai darmayani tarikho ko grahan lagna jo 1894 main ho chuka .CON
Luqmanb04 6 months ago
@Luqmanb04 Huzoor(saw) ki riwayat k mutabiq, Imam Mahdi(ra) na elaan nhi krna!
artistdigital 6 months ago
This has been flagged as spam show
@artistdigital : mahtamem darulalum dawband mohd tayyab sahab farmate hain : hazoor saw ki shan mahaz nabuwat hi nahi nikalte balki nabuwat bakhs bhi nikalte hai kai jo bhi nabuwat ki istaidad paya hua fard aap kai samne aa gaya nabi ho gaya yahi shan khatam ki hai aap saw ki yah faiz rasani sarchashm-e-kamalat-e-nabuwathone ki imtayaze shan agaz-e-bashariyat sai shuru hui to intahae kainat tak ja pahunchi(((aftab-e-nabuwat safa 109: 111)in ki books sai hi khch hasil karlo yah to ahmadi nahi.
Luqmanb04 5 months ago
@artistdigital :hazoor saw farmate hain main to khatamul anbi tab bhi tha jab hazrat adam miti aur pani main lath path the kya matlab hai khatam ka zamani lihaz sai to hazoor saw khatam hain hi yahan maksad martabi lihaz sai afzal ka hai qasim sahab nanotvi aur muhammad tayyab sahab ka bhiyahi maksad hai in tahrerat main aur yahi hum ahmadi mante hain kai khatamul anbia rasool-e-arabi saw khatam ba aitabar martabi alla aur arfa mukam rakhte hain jo aur kisi nabi ko hasil nahi (mohar /seal)
Luqmanb04 5 months ago
@Luqmanb04 Jab kisi chez pa seal lag jati ha tou os k neech kuch nhi hota! Zamaany k lihaaz sa thy ya bat 100% thek ha! :) Matlb ya ha k jis zamany ma mohr lagni thi, lag gyi. Ab un k bad koi dosra nabi ya rasool nhi ayaga! Nabi(saw) ki Rooh e Mubarik ko bht phly takhleeq kiya gya tha or un per Nabowat Khtm krny ka faisla b! Jb Nabi(saw) dunya ma ayay, Noboowat o Risaalat pa khatmay ki mohr lag gyi. Eska mafhoom ya ha! :)
artistdigital 5 months ago
@artistdigital :is ka matlab to yah hua kai qasim sahab nonotvi mohammad tayyab sahab aur digar ulema ibnai arabi yahan tak kai hazrat aaisha RA bhi khatam kai maine na samajhte the ?
aishabibi ka kaul hai aai logo yah to kaho kai saw khatamul anbia hain magar yah na kaho kai aap kai baad koi nabi nahi (duray mansoor ..
qasim sahab bhi isi akida par hain seal ka matlab hai kai saw ki baisat sai pahle bhi tamaam anbia aap kai wasf kai mohtaj the yani saw ki tasdeek kai bina koi nabi nahi .
Luqmanb04 5 months ago
@artistdigital :yahibaat to main kahta hun kai hazoor saw to khatam tab bhi the jab hazrat adam as takhliq kai awaleen dour main the tab bhi khatam kai maine mohar hi to tha yan koi aur ? mohar tha na us kai baad bhi nabi aate hi rahe to mohar to baimaina hui na ..
isi lia aaima nai is kai maine zamani nahi martabi lihaz sai lia hain afzaliyat ba aitabare martabi hi fazilat rakhte hai ..
yani guzashta nabi aap saw kai faiz kai mohtaj magar aa kisi kai mohtaj nahi ...con
Luqmanb04 5 months ago
@artistdigital con : quran pak ba awaz buland kahta hai kai "la nfarriku baina ahdim minrosolay"quran main kahe nahi kai hazoor saw kai baad aane wale nabi par iman na lana
kiun nahi allah talla nai is ki nafi farmai?aur bhi to quran kai kai mukamat the .gharaz sura nisa ki ayat 69 is kai mukhalif tasad paida karte hai jo aap ka muakkif hai un 4 darjaat main sai "minnan nabieen "ko nikal dain to saddiq shohda salaiheen sab ki nafi lazim ho jate hai magar allah kai kalam main kabhi tasad nahi
Luqmanb04 5 months ago
@artistdigital :Rasol-e-arabi khatamul anbia saw nai farmaya aai ali tun khatamul owlia hai aur main khatamul anbia .to khatam kai maine bhi yahan yahi karne chahia kai walayat bhi band.(mishkat kanzarulamal)saw kai sahib zade wafat pate hain san hijri 9 ko ayat 33:40 nazil hote hain san hijri 5 us waqt bhi aap farmate hain ibrahem zinda hota to yaqinan saddiq nabi hota .aap saw nouzbilla bhul gay kai ayat khatamul anbia nazil ho chuki to yah nabuwat ki saf lipat chuki ?
Luqmanb04 5 months ago
@artistdigital;;aur phir aap hi to is seal ko tor rahe hain hazrat issa as ka zaria .zamana kis ka khatam kahega saw ko yah issa as ko zahir hai aap kahte hain kai zamani lihaz sai khatam to khatam to issa as huai na. mustakil nabi the issa as shariyat nazil hui the un par. yah to toheen hai allah kai rasoolsaw ki agar martaba kai lihaz sai mane to tamaam nabiyyon kai faiz band siraf khatamul anbia saw ka faiz jari ab islam aur quran ki khidmat kai lia ummate nabi aa sakta hai ...
Luqmanb04 5 months ago
@Luqmanb04 Agr Isa(as) na dobara aa kr nabowat ka dawa kiya tou koi musalmaan unhy nhi manay ga! Isa(as) wohi Isa ibne Maryam hongy, lakin Umati ki haisiyat sa ayaingy, na k nabi ya rasool ki haisiat sa! Seal nhi toot rhi yahan!
artistdigital 5 months ago
@artistdigital>>Agr Isa(as) na dobara aa kr nabowat ka dawa kiya toui .yah batae kai nabi ka lafaz aane wale kai mutalik kis nai farmaya khatamul anbia saw nai. yah to hazoor saw ki wazai tour par nafarmani hoge .hazoor saw nai khud 4 baar akhare zamana main aane wale ko "NABIULLAH" farnaya aur us kai ashab bhi hongay ( sahi muslim kitabul fitan safa 460 alama wahidduddeen sahab ki shara) ..
allah kai rasool jis ko nabi kahe aap us kai inkare baan rahe hain..tahqeeq karle bhai ...
Luqmanb04 5 months ago
@Luqmanb04 Nabiullah esliya farmaya k koi or khara ho kr ya bat na kry k mai wo hn jis ka wada k baray ma bataya gaya ha! Nabiullah Isa(as) sa matlb ha Isa ibne Maryam(as) :)
artistdigital 5 months ago
@Luqmanb04 Isa(as) k nazool k bary ma kitni riwayaat hn? Kahan hoga zahoor? jaga? Os waqt kya krain gy wo aa k? Unhoun na apni zindagi ma kya kam mukamal krna ha? Aik shaks ko 2 2 namoun sa pukaarna mantaq wa daleel sa bahir ha, or dono k aa k alag alag kaam krna b hadis sa sabit ha! Deen ma ya kaam nhi chlta k kuch lay lo or kuch chor do!
artistdigital 5 months ago
@artistdigital yah koi dalil nahi kai is lia essa as ka nam nabi kaha kai koi dawa na kardai ..
allah is par kadir nahi kai dawa bhi kare tab bhi allah us ko nabi na banai ?
aap kai ulema saw kai sahibzada ibrahim kai bara main farmai hadis kai bhi yahi maine karte hain kai is lia wafat dai di ta kai nabi na ban jai ..allah chahe tab hi to nabi ho sakta hai yan apni marzi sai koi dawa kar sakta hai allah us ko tabah karnae ki salahiyat nahi rakhta kya ??
Luqmanb04 5 months ago
@Luqmanb04 Isa(as) pa shariat nazil nhi hwi. Isa(as) na Mosa(as) ki shariyat ki itibaa ki ha! :)
Ghulam Ahmad k baghair, Islam behtareen chal rha ha!
artistdigital 5 months ago
This has been flagged as spam show
@artistdigital : tamaam nabiyyon kai faiz band siraf khatamul anbia saw ka faiz jari ab islam aur quran ki khidmat kai lia ummate nabi aa sakta haiaap bhi wahi akida rakhte hain main janta hun kai issa as par shariyat nazil nahi hui ap mussa as ki shariyat kai tabay nabi the yah main aap sai kahlawana chahta tha kiun kai mussa as kai tabay nabi aa sakte hain to hazoor saw kai bara main to sura nisa ki ayat 69 main wazahat hai 'annamallaho alaihim "mirza sb bhi to ummate nabi ka dawa karte ha.
Luqmanb04 5 months ago
@artistdigital :farzi Essa as ki baat yah hai kai hazrat aaisha RA ka kol hai kai Essa as nai 120 saal ki umar pai (durrai mansoor)quran "tawaffi kai lafz sai Essa as ki wafat zahir karta hai ."yaa Essa inni muttawafika wa rafiyyo ka illaya "alimran 55tawaffi pahle hai aur Rafa baad main aur jab allah faal ho aur mukhatib koi zai ruh to wafat kai hi maine hote hain (arabi qaida >lisanul arab) digar arabi lugaat ki books main bhi daikh lain..........
Luqmanb04 5 months ago
@artistdigital :in ayat-e-karima ki roshni main us hadis pak saw ko daikhe....
Luqmanb04 5 months ago
@artistdigital (2) aur hazoor saw ki paishangoiyon kai aain mutabik mirza sahab as ko allah tallah nai imam mahdi banaya .
13ve sadi kai khatam par 14ve kai agaz par .
aur hazoor saw nai farmaya tha kai woh hakam aur adal hoga ummat ko aik hath par jama kare ga .
jang ka khatma kardaiga .hazoor saw kaii zamana main bhi yahi issai the aaj bhi yahi dajjal hain sumaliya ho misar ho iraq ho pakistan ho rotiyyo kai pahar nahi rakhta sath ?
gohar shah sahab nai koi is tarah ka kam kia hai ?
Luqmanb04 6 months ago
@Luqmanb04 Agr Dajjal Nabi(saw) k dor mai b tha tou phr os k any ki paishgoi ki zaroorat he nhi thi! Gohar Shahi na logoun ko Allah k zikr pa lagaya or firqa wariat sa door khuda ki taraf logoun ko bulaaya!
Ghulam Ahmad kon sa aman laya? :) Kahan jama kiya ha ummat ko? "Yahi ha", "Wohi ha", "Ya matlab ha or wo matlab ha" k elawa kya kea ha?
Huzoor(saw) na bht kch farmaaya ha, Mahdi or Dajjal k bary mai! Or kuch lay lo or kuch chor do k khilaaf b bht kuch farmaya ha!
artistdigital 5 months ago
@Luqmanb04 Agr Dajjal Nabi(saw) k dor mai b tha tou phr os k any ki paishgoi ki zaroorat he nhi thi! Gohar Shahi na logoun ko Allah k zikr pa lagaya or firqa wariat sa door khuda ki taraf logoun ko bulaaya!
Ghulam Ahmad kon sa aman laya? :) Kahan jama kiya ha ummat ko? "Yahi ha", "Wohi ha", "Ya matlab ha or wo matlab ha" k elawa kya kea ha?
Huzoor(saw) na bht kch farmaaya ha, Mahdi or Dajjal k bary mai! Or kuch lay lo or kuch chor do k khilaaf b bht kuch farmaya ha!
artistdigital 5 months ago
@artistdigital(2) hum nahi kiun kai hum quran kai kayal hain hadis kai kayal hai jis ki ruh sai hazrat issa as wafat paa chukai hain ..phir aap ka farzi DAJJAL hadis pak kai zahre maino kai mutabik jo karte hain abhi to us ki MAA BHI PAIDA NAHI HUI JO US KO JANAM DAIGE
to wo dajjal to bahut dur hai .han jo tassawur un hadis pak ka hum karte hain us kai mutabik dajjal bhi aa chuka aur us ka gadha bhi aa chuka . aur yahi waqt hai toba ka ..abujahal bhi to rad karta tha saw ko.saw ki zindage main
Luqmanb04 7 months ago
@Luqmanb04 Ghulam Ahmad nai aisa kya kr diya jo os na Muslamanoun ko esai hony sa bachaa liya?? :)
Shah Wali ullah(ra) sa manazray tk mai tou aa na ska! Ghulam Ahmad ka koi teacher tha ya nhi?? :) Os nai iLm hasil kiya ya nhi? Wo tou kafi arsy tk isaayoun k sath manazry krta rha, or apni zindagi mai kitni bar apny aqaaid ki tardeed ki ha os na? :) Mai paidal nhi hn!
artistdigital 7 months ago
@artistdigital :musalmano ko aik qurani dalil di kai ta kyamat rahne wala deen islam hai ruhani tour par hamare nabi saw zinda hain .musalmano ko baidar kia jab hi to ahle hadis kai aalim muhammad husain sahab batalvi nai kaha tha kai yah shaks islam ki jis tarah khidmat kar raha hai 1400 kai zamana main kisi nai nahi ki .(ishate sunna )aaj dunia kai 198 mulko main jamaat islam ki sarbulandi kai lia kam kar rahe hain ..
Luqmanb04 7 months ago
@artistdigital : kya is qurani talim kai baraks koi aur paigam hai mirza sahab as ka >> yah qurani talim ka nichor hai mulahza farmae .. nabuwat ke daawedar ki nishaniyan zaroor dekhlena
1=woh apne se pehlon ki tasdeeq karta ho
2=jo uske daawe se pehle shariyat ho uspar amal karta ho
3=tumko meri taraf(ek khuda)ki taraf bulata ho
4=tumpar meri Ayaat ki talawat karta ho ya tumko meri ayaat ki taraf bulata ho
to tum uspar Emaan le ana Aur uski madad karna inkaar na kana.>magar aap bazid hain >
Luqmanb04 6 months ago
@Luqmanb04 Quran ki taleem ko samjhny k liya classical interpretation ko samjhna bht zrori ha, agr koi khud sa tafsir bna kr or apni marzi k tarjumay laga kr matlb nikalayga tou hoskta ha k os k khilaaf bat na ho, lakin agr classical interpretations/translations ko smjha jaya tou bat saaf zaahir jhati ha! :)
Nabowat o Risaalat Nabi(saw) pa khtm ha or es pa kisi Muslim ka iktelaaf nhi rha! :)
artistdigital 5 months ago
@artistdigital .allah farmata hai "Rasolan alla bani israeal" aur aap kahte hain Hazrat Isa(as) Rasoolan bani Israel thy! Bani Israel nai unhay reject kiya! kya kom kai na mane par allah nabi ki nabuwat ko mansokh kardaeta hai ..ba farzae muhal woh issa as jinh par injeel nazil hue jo mustakil nabi the bashariat nabi the un kai aanai par is ayat ko quraan pak main sai nikal daenge yan nouzubilla mansookh samjhaingay .allah kai kalam main to tasad nahi hota phir aap kiun tasad karte hain >>
Luqmanb04 7 months ago
This has been flagged as spam show
@artistdigit >>>>>>....وَمَن يُطِعِ ٱللَّهَ وَٱلرَّسُولَ فَأُوْلَـٰٓٮِٕكَ مَعَ ٱلَّذِينَ أَنۡعَمَ ٱللَّهُ عَلَيۡہِم مِّنَ ٱلنَّبِيِّـۧنَ وَٱلصِّدِّيقِينَ وَٱلشُّہَدَآءِ وَٱلصَّـٰلِحِينَۚ وَحَسُنَ أُوْلَـٰٓٮِٕكَ رَفِيقً۬ا
Surah-Nisa Verse 70 (If you include bismillah in verses otherwise 69
Luqmanb04 7 months ago
@artistdigital : aur jis nabi ki aamad kai aap muntazir hain us ka hulia sahi bukhare ki hadis main rasul-e-arabi saw nai un bayan kia hai kai >jo nabi hazrat musa as kai sath tha us ka rang surkh hai aur baal ghungrale hain ..aur jo akhre zamana main aai ga us massih ka rang GANDUMGO ho ga aur us kai baal kano ki lao tak hongai aur sidhae rasham ki tarah ..is hadis pak sai bhi pata chalta hai kai wo massih aur hain aur yah massih aur hain jis ki bisharat hazoor pak saw nai farmae ..
Luqmanb04 7 months ago
@Luqmanb04 Bhaijan ya Kufria Tafsir bir Rayay apny pas rakhain! Hadith mai ata hai k Ulmaa Ambiyaa k waaris hain. Ya daleel ha Ijmaah e Ummah ki! Mehdi(ra) nai b kuch krna hai or Isa(as) nai b kuch apni zindagi mai aa k krna hai! Koi Qadyani khul kr Ahle Sunnah k Ulmaa k sath manazra nhi krskta! Hadith mai rasty dhond kr new nabi ya rasool ki gunjaish nikalny ki gunjaish nhi hai! :)
Kuch mamloun mai Islam bht clr ha or yhi wja ha k taman maslaqoun na Qadyanioun ko kharij ul islam qarar dyaha
artistdigital 7 months ago
@Luqmanb04 ...wajud ka munkar ho! Jihad wo hai jo Ashaab(ra) nai Rasoolulah(saw) sa sekha! Jab Britain
India pay Qabiz tha, un k khilaf Jihad jaez tha ya nhi?? Ajkal b log hain jo thek jihad krhy hain or aisy b hain jo ghalat hain! Wo alag masla hai! Deeni Masaail ko aik rang nhi diya jata! Her masla mukhtalif hota hai! Baat hai bunyadi aqaaid ki! Islam Aman ka deen b hai, or Jang barayay Aman ka b!
Umar(ra) k alfaaz zaati thy, Ijmah nhi tha! Ijmah Abu Bakr(ra) ki bat per howa tha!
artistdigital 7 months ago
@artistdigital : mirza sahab as kio paidaish hui 1835 main aur 1857 main jihad karnai wale musalman ulema kahan the mirza sahab as nai to dawae nabuwat 1891 main kia ..
1857 main to mirza sahab ki umar siraf 22 saal the aap kai akabar the bazurg jin ka faraz tha kai kisi bhi tarah jihad ka ailan karte aur angraiz ko bhagate magar deli ki haqumat tabbah ho chuki the ayashiyan had sai pare the islam barai naam tha aur kon tha amirulmomeneen jis ka hukum saab mante ??
Luqmanb04 7 months ago
@Luqmanb04 145. And no person can ever die except by Allah's Leave and at an appointed term. And whoever desires a reward in (this) world, We shall give him of it; and whoever desires a reward in the Hereafter, We shall give him thereof. And We shall reward the grateful.
Kahan likha ha?? Kon c tafsir hai ap k pas?? Ya tou or paki daleel hai! >> :And no person can ever die except by Allah's Leave "<<
artistdigital 7 months ago
@artistdigital hum ahmadi hazoor saw aur sahaba ra ki tarah bismilla ko ayat ka hissa mante hain aap log nahi is lia ayat 144 145 ban jate hai ..
"wama muhammadin illa rasoolan kad khalakta hi min kablai hi rusool.""
muhammad saw aik rasool the aur aap say pahlae tamam nabi wafat paa chukai hain...
Luqmanb04 7 months ago
@artistdigital :ummat ka ijma hazoor saw ki wafat par hua jab hazrat umar ra nagge talwar lai kar farmate the jis nai kaha muhammad saw wafat pa chukai hain kardan kalam kar dunga .is baat ka hazrat abbu bakar ra ko pata chala aap nai al imran ki ayat 145 parhe yani muhammad saw aik rasool the aur aap kai baad tamam nabi wafat paa chukai hain tab ja kar hazrat umar nai mana .wafat siraf allah tallah ko nahi issa as to allah kai bande the kiun allah ki sifat main shumar karte hain aap ??
Luqmanb04 7 months ago
@Luqmanb04 Ya pata hai k Nabi(saw) ki Qabr e Mubarik un k hujray mai kyun hai? Hadith mai ata hai k Khuda apni Nabi ki Rooh os jaga qabz krta hai jahan osy dafan hona hota hai! Ya Hadith Abu Bakr(ra) na parhi thi jis k mutabiq Huzoor(saw) ki qabr e mubarik un k hujry mai bani gayi! Kuch smjhy es sa?
artistdigital 7 months ago
This has been flagged as spam show
@artistdigital: mirza sahab ka dawa ummate nabi ka hai
koi alaag sai nabuwat nahi ..hazoor saw ki khalis ittiba main
hamara quran hamara kalima wohi hai jo aap ka hai
hazrat kasim sahab nounotvi bani darulallum dawband apni kitab tahzerunnas main farmate hain so awam kai khayal main saw ka khatem hona bain maina hai magar ahle faham par roshan hoga kai takaddum wa takhure zamani main bilzat khuch fazilat nahi.koi nabi bhi paida ho to khatmiyyate muhammadiyya main koi farak nahi aata
Luqmanb04 5 months ago
@artistdigital :(1)aap aik baat to mante hain kai Essa as ka zahoor hoga to yah kiun nahi mante kai woh rasolan alla bani israiel""(alimran) the guzashta koi nabi alami nabi nahi siraf aik kom kai lia aik waqt kai lia aai .siraf rasol-e-arabi saw rahmatul allamihn hain jo har zamana kai lia hain aur aap saw ka waqt qayamat tak hai .is par sura nisa 69 dalalat karte hai.quran pak farmata hai allah aur allah kai rasool saw ki ita'at kai natija main nabuwat shahadat saddiqiyat salhiat CON
Luqmanb04 5 months ago
@Luqmanb04 Nhi, apni marzi sa itni bari tashreeh nhi ki jati, jab k zahoor ki jaga tk hadis ma mojood ha or ya b k wo kis k pechy namaz parhaingy!
1) Isa(as) na wapas a k sirf Bani Israel ko Tableegh krni ha? Agr hn tou phr wo bilkul Bani Israel k liya Nabi hoty, kyn k Nabi ko jis qoum ki taraf bhaija jata ha unka kaam sirf osi qoum ko ashaat krna hta ha! Ya wo tashreeh ha jo apki bat ko tasleen krny sa nikalti ha!
artistdigital 5 months ago
@artistdigital (2)to bhala kisi nabi ki itti'ba ki zarurat hi kya hai .wazai ho kai jahan hadis pak main Essa aska nam hai us ka matlab hai kai us ki misal hoga aane wala .allah kai rasool saw nai dajjal sai bachnai ka tarika kiun sura kahaf ki shuruate aur akhari 10ayat batai is ki wajah hi yah hai kai us waqt ESSAI kom aruj par hoge aur unkai batil aqida bandai ko khuda manna ko qurani talim sai batil kia jai ga issi lia farmaya wo hakam aur adal hoga (sahi bukhari)con...
Luqmanb04 5 months ago
@Luqmanb04 2) Kon khta ha k misal hoga? Naam ma'aa walida ka naam tk es bat per zor daita ha k any wala kon hoga! Mahdi(ra) kahan sa hngy? Hadeesain send krn? :)
Mai na kaha na k deen mai aisay kam nhi chlta k jahan sa jo marzi ho utha lo, jo chorna chaho chor do, jahan dil kry Tafseer bir'raayay kro or jahan dil kry apni marzi ka tarjuma kro. :)
artistdigital 5 months ago
@artistdigital (3)aur wazahat bhi kar di usi hadis main kai ""immama kum minkum"tumhi main sai tumhara imam ..yani ummat-e-muhammadiya main hi sai aik ummate islah kai lia khara hoga ..yah woh haqiqat hai jo hazoor saw ko khatam afzaliyat kai maino main sabit karte hai ...kai aap ka khatam hona ba dastoor jari aap ki ghulami main aap ki ittiba main aap ki nabuwat ka risalat ka ikrar karta hua ummati nabi aai."la rai ba" yahi haqiqat hai
Luqmanb04 5 months ago
@Luqmanb04 Baat saaf hai! :)
artistdigital 5 months ago
@artistdigital kahan baat saf hai bhai un hadisso kai zahri maino sai pata kya hota hai husaini kahengai hum nahi mante .hadis to is tarah bhi hai kai husaini hogay imam mahdi as to fatmi inkar kar daingai .
phir dusrai firkai to shiao ko waisai hi nouzbilla kafir kahte hain koi un main aane wale ko kis tarah man lai ga.asal haqiqat yah hai kai woh us martaba ka hoga kai jis tarah hazoor saw kai nawaso ra par zulm kia gaya usi tarah is par bhi zulm kia jai ga jo ho raha hai .zahri maine nahi
Luqmanb04 5 months ago
@artistdigital :you and your Imam is from among you......sahi bukhari ki is hadis ka matlab hi yahi hai kai ummate muhammadia main sai hi hoga ..aur ahle ba'iat..ruhani rang main ...zahri maino main nahi ..
Luqmanb04 5 months ago
@Luqmanb04 Saaray Syed Shia nhi hn! Or jb Allah k liya bht asaan ha, aqal k liya mushkil ha!
Agr kisi aik jga Ishaarvi maanay lay b liyay jayain tou zrori nhi k her jga Isharvi maanay he houn. Jo jan kr kuch matlb na nikaaly tou bat bilkul saaf ha, phr jo koi chahy hidayat lay or jo chahy gumrahi lay, Rub ko koi farq nhi parta!
Kafir ki definition bht saaf hai! Daleel e Qat'taee ka munkar kafir ha! Jaisy kaha ma na, bat bilkul saaf ha! Ahadith ma na samny rakh di hn!
artistdigital 5 months ago
@artistdigital ;;;;;;;;;;jab aap mante hain kai allah hi har cheez par kadir hai to kya mirza sahab as ko masheeh-e-moud wa mahdi-e-moud banane par kadir nahi ??
Luqmanb04 5 months ago
@Luqmanb04 Kya Allah es bat per Qadir nhi k baghair Nabowat o Risaalat k Hidayat aam kr daita? Ya her kisi per Wahi ka nazool kray or sb ko khas o khas ma shamil kr lay? Khuda baymaqsad koi kaam nhi krta! Allah dastoor e Elahi k mutabiq kaam krta ha! Hidaayat or Gumrahi k bech aik patli laqeer ha or shaytaan ka sb sa khatarnaak harba yahi ha jb wo es patli laqeer per baith kr gumrahi ko hidayat bana k paish kry or sth es k agr apny na hny ka yaqeen dila dy to gumrahi baykhatar apna kaam kry!
artistdigital 5 months ago
@Luqmanb04 Manadi dainy wala koi b hoskta ha! Manadi daina koi mushkil kaam nhi! :) Her manadi dainay wala ki awaz ko sun k sath nhi diya jata! :)
"Hum" sa kya matlab ha? Kitny logoun ko aik qabr ma sth lay janay ka iraada ha? Rujoo or Emaan infiraadi chez ha!. Farzi Esa wali bat ka jawab ma kaisy dun? Waisy jaisy kufaar ko diya jata ha jo Nabi ki batoun ko farzi khty hn?
artistdigital 5 months ago
@Luqmanb04 Reference?
artistdigital 5 months ago
@artistdigital :sahi bukhari ::::mishkat sharif ::::::kanzar-ul-amal ::: baharul anwar ::::::fatuhate makiya etc ...
Luqmanb04 5 months ago
@Luqmanb04 Hawala number? Ta k mai daikhoun k ilmul Hadith es bary ma kya khta ha!
artistdigital 5 months ago
@artistdigital : ilmul Hadith kai bara main to pata nahi magar :daar kutni jild awal safa 188par imam muhammad bakir ra ki wazahat moujood hai suraj chand kai garahan kai bara main :aima salf ki rai aap lai lain ...
Luqmanb04 5 months ago
@Luqmanb04 Hum Shia fiqh ko nhi manty or Shia kutb qabil e aitbaar nhi! Ahle Tash'hee tou Hazrat Umul Momineen(ra) ko galian tak daity hn or ya kutb Munafiqeen k hathoun ma rhein hn! Aisi koi daleel qat'an motabar nhi!
artistdigital 5 months ago
@artistdigital ;(1)yah haqiqat hai kai imam mohammad bakir ra ahle ba'iat kai daraksha gohar hain magar aap ko aitaraz hai imam bakir to hazoor saw kai 200 saal baad kai imam hain jin ki sanad ki zarurat hi nahi ..magar aap ko aitaraz hai koi baat nahi .;main quran sai hawala daita hun ..
75:8 9main allah farmata hai jab chan bai noor ho jai ga yani garhan lagnai par hi t bai noor hota hai agli ayat main chand aur suraj dono ko bai noor batlaya yani dono ko garahan lagai ga.......
Luqmanb04 5 months ago
@artistdigital aur sura qayama main aur sura taqweer main bayan karda nishaniya puri ho chuki ..moulana hali farmate hain uswaqt kai halat ka tazkirain ilfaz main karte hain ..
wo deen hui bazmain jahan jis sai chiragah ....ab is ki majalis main na bati hai na dia hai...
aur jo khuch aaj tak ahmadiyyo kai sath salok rawan hai us kai bara main bhi mufakir waqtan fa waqtan bayan karte rahe hain chunanche mahi-ud-din arabi fatuhate makiya main kalam daraz hain con....
Luqmanb04 5 months ago
@artistdigital :con.. imam mahdi kai zahoor par siwai ulema kai un ka koi khula khula dushman nahi hoga (fatuhate makkiya jild 3 safa 337..nawab sadiq hasan sahab hajul ikrama main farmate hain ulma-e-waqt imam mahdi as ki mukhalfat main hongai us par kufar aur gumrah hona ka fatwa lagaingay aur kahangay kai yah shaks hamare deen aur millat ko tabah karne wala hai (hajul ikrama safa 336) aap kahte hain kai dawa nahi kare ga yah dawa karne par hi to sab khuch ho ga ...
Luqmanb04 5 months ago
@Luqmanb04 Jb ma na itni ahadith samny rkh di hn tou batoun ki gunjaish nhi bachti!
Imam Baqir(ra) k maqaam sa kisi ko inkaar nhi, lakin her wo hawala jo ahle tash'hee sa ho kr ata ho wo motabir nhi ha, khaas kr her wo hawala jo Sahaba e Karaam(ra) ya Umul Momineen(ra) sa munsalik ho!
Hazrat Ali(ra) na Nahjul Balagha mai khulam khula bayan kiya ha k 99.99% shia murtadeen hn! Agr hawala chahiya tou ma dyskta hn!
artistdigital 5 months ago
@Luqmanb04 :) Tafsir Ibn Khatir sa bayan krta hn:
(When the sun is wound round and its light is lost and is overthrown, and when the stars fall.) (81:1,2) It has been reported from Ibn Mas`ud that he recited the Ayah as, (وَجُمِعَ بَيْنَ الشَّمْسِ وَالْقَمَرِ) (and the sun and the moon will be joined between each other.) Allah said,
(On that Day man will say:"Where (is the refuge) to flee'') meaning, the human will see these horrors on the Day of Judgement and he will want to flee. ..
artistdigital 5 months ago
@artistdigital : suraj aur chand ko jama karne say pahle allah chand ko garahan ki baat farmata hai "wa kashfal kamar" yahan sarahat sai khasuf ka zikar hai jama sai kya maqsad nikalta hai kya dono ko mila dia jai ga nahi balki chand aur suraj kai kashoof aur kahshof ka zikar hai ..is garahan ko bibal nai bhi "mati bab 24 ayat 29:30"" main zikar kia hai hinduo ki kutab main bhi budh mazhab ki books main bhi ....
Luqmanb04 5 months ago
@artistdigital : jo aap nai ahadis paish ki hain un main Essa as ka nam istiaran hai nazool sai murad hazrat Essa as haqiqat main nahi nazool ka lafz to sura talaq main hazoor saw kai mutallik bhi aya hai is ka matlab kai hazoor saw asman sai nazil huai hain ?sura alhadid main allah farmata hai hum nai LOHA nazil farmaya ab kya loha asman sai nazil hua hai ?allah ki sunnat hai kai nabi hamaisha hi paida hote hain asman sai koi nahi aaya karta allah ki sunnat kai khilaf hain aap ki tashrih..
Luqmanb04 5 months ago
@artistdigital :allah ka qanoon hai kai sura ahraf ayat 26 kai issi zamin say tum paida hogay issi main maro gay aur issi sai tum ko nikala jai ga ..sura anbiaayat 35 aur hum nai kisi insan ko tujh sai pahle gair tabai umar nahi bakshi kya agar tu mar jai to woh gair tabai umar tak zinda rahengai. anbia ayat 96aur har basti jis ko hum nai halak kar dia hai us kai mutalik faisla kar dia hai kai us kai basne wale lout kar is dunia main nahi aaingai .CON...
Luqmanb04 5 months ago
@artistdigital :sura momin 100:101aur us waqt jab un main sai kisi ko mout aa jai gi to kahaiga aaimere rab mujhe wapis louta dai ta kai main us jagah jis ko main chor kar aa gaya hun (dunia)munasib hal amal karo har giz aaisa nahi hoga yah siraf aik munh ki baat hai jisy woh kah rahe hain aur un kai piche aik parda hai us din tak kai woh dubara uthe jai (paas woh dunia ki taraf zinda kar kai loutae nahi jaingay)allah kai kanoon aur kalam kai khilaf un hadiso ki tashrih sahi nahi ....
Luqmanb04 5 months ago
@artistdigital :hadis pak ko samajhne kai lia quran pak ki madad zaruri hai kiun kai afzal quran hai baad main hadis kiun kai allah kai kalam main tasad na hai aur na hi paida karne ki koshish karni chahia ..hadis ko qurani QASOUTI par parakhna chahia kiun kai hazoor saw ka kalam qurani talim kai aain mutabik hai ullat nahi..to kis tarah ho sakta hai kai allah kai rasool NOUZBILLA allah kai kalam kai ullat baat kare ?? is lia un hadiso ko qurani QASOUTI PAR PARKHE tab faisla kare ..
Luqmanb04 5 months ago
@artistdigital aur phir agar wo hadis fisi-o-balig kalam nahi istiaran nahi to kahan hai zahri rang main lafz ASMAN aur kis taraf hai allah allah ki koi aik side hai? quran farmata hai "allaho nurossamawate wal aarz"allah noor hai asman aur zamin ka ..us taraf allah hai jis taraf Essa as hain baqi kainaat ?allah ki sifat main shamil karte hain aap log Essa as ko nouzbilla.Essa as insan nahi the kya ?har insan allah kai qanoon sai bandha hua hai .aur us ka qanoon har insan kai sath barabar hai
Luqmanb04 5 months ago
@artistdigital aur phir agar wo hadis fisi-o-balig kalam nahi istiaran nahi to kahan hai zahri rang main lafz ASMAN aur kis taraf hai allah allah ki koi aik side hai? quran farmata hai "allaho nurossamawate wal aarz"allah noor hai asman aur zamin ka ..us taraf allah hai jis taraf Essa as hain baqi kainaat ?allah ki sifat main shamil karte hain aap log Essa as ko nouzbilla.Essa as insan nahi the kya ?har insan allah kai qanoon sai bandha hua hai .aur us ka qanoon har insan kai sath barabar hai
Luqmanb04 5 months ago
@artistdigital :::::: baad naya gar kasai painda buday...
abul qasim muhammad zinda buday..
agar koi wajood apni alla sifat ghubiyyo aur alla ikhlaq ki wajah sai zinda rakhe janai kai kabil tha to woh hamare akka-o-mata khatamul anbia rahmatul allamin sarwari konain sayed-o-mola muhammad-e-arabi SAW..(mirza ghulam ahmad maseeh-e-moud mahd-e-moud as)......
Luqmanb04 5 months ago
@Luqmanb04 Her chez k bech faislay ka aik waqt hota ha! Humaray bech b faislay ka waqt ajayaga! :)
Istarah ki aik ayat phlay b ap na paish ki thi daleel k tor pa k marny waly kbi wapas nhi aty, jis k jawab ma mai na Ambia k hathoun, amr e Rabbi sa mourdoun k zinda hony ka hawala diya tha! :)
Aik general case hota ha or aik specific case hota! Mojzay mai Allah, Qanoon e fitrat ko mowtal kr daity hn! :)
artistdigital 5 months ago
@Luqmanb04 Quran bayshak afzal ha, lakin es ka mtlb ya nhi k insaan apni tafseer bnayay or os ki bina per hadith ko parkhay! :) "Wa At'ti ullaha, Wa Atti ur Rasool"! Isharatan ma naam nhi liya jatay, or phr naam ma'aa walida k naam ko kayi kayi bar dohraaya gya ha!! Sura Ambiya 35 bilkul pori hogi, lakin dobara nazool k bad, jaisay k ahadith wazahat krti hn! Ab nazool k srif aik he matlb nhi! Kitab ka nazool, Lohay ka nazool...! Agr ma b alfaaz ki hair phair krn to barish ka nazool jis ma pani..
artistdigital 5 months ago
@Luqmanb04 ...jis ma pani zameen sa uthaaya jata ha or phr dobara nazool hota ha! Insaan agr Deen ma gumrah hona chahay tou Tafseer bir'Rayay kry, Ahadith ka khud sa mafhoom nikalay, apni marzi k tarjumay kray, jidhr chahy isharatan lay or jidhr chahy laghwi ma'nay lay! Haqq zaahir hai, jo Rujoo kry ikhlaas o Sidq k sth, Haqq batin ha, jo ankhain band kr lay or gumrah rhna chahay! Bara Zaalim ha jo khud per zulam kry logoun ko gumrah kr k! Boht bhari bojh ha!
artistdigital 5 months ago
@artistdigital :mohtaram bhai sahab yah rah-e- farar hai dalil nahi jo aap nai yah farmaya (((Aik general case hota ha or aik specific case hota! Mojzay mai Allah, Qanoon e fitrat ko mowtal kr daity hn! :))) allah kisi fitrat ko nouzbilla muattal nahi karta ..yah nikas ilam ki wajah hai jo aap allah ki sifat main bhi farak kar rahe hain astagfurlla ..KHATAMALLAHO ALA KULUBAI HIM ..IS KAII LAWA KOI JAWAB NAHI AAP KI NA AHLI KA .,.sadakat aap kai samne quran dalil kai tor par rakhi hai ..
Luqmanb04 5 months ago
@Luqmanb04 Islam ma sirf Qur'an nhi! Sunnah, Rewayah ha, ijmah e Umah ha! Sirf